FAMOUS URDU NOVELS: REQUEST FOR NOVELS PAGE 39

HERE YOU CAN SEARCH FOR THE NOVELS LINKS

REQUEST FOR NOVELS PAGE 39




Asslam o alekum friends and members
ap sb se guzarash hay k apni request k bare me best info like novel name, author name, jis digest me novel publish hoa us ka name , month and year, and agr ap ko us novel ki story ya main charecters yad hen to woh btaen ta k ap ka matlooba novel talash krne me asani ho and apni request k poora hone ka sabar se intizar kren k kbi kbi koi novel available ni hota ya us novel k bare me kuch pata ni hota is leay us request me der b ho sakti hay. Meri poori koshish hoti hay k ap ki request jald se jald poori ho sake. baqi sb members se b meri guzarash hay k agr ap koi req dekhen or ap ko us novel ka pata ho to kindly us req pr reply zaroor kren. 

Request karne wale members se guzarash hay k 
  • Request krte hoey sath me apna name zaroor mention kren ta k next time jb ap us req k bare me poochen to hum ko pata ho k ap kis req k bare me pata kr rahe hen.
  • Apna email id sath me mention kren ta k bad me ap ko link send kia ja sake.

agr ap ko kahen ksi qisam ki problem ho to ap mujhe mail kr sakte hen
aatish2kx@gmail.com  

ya face book pr mujhe contect kr sakte hen
  
https://www.facebook.com/aatish2k11 ( IMRAN ALI )

Ap apni request hmare facebook ke page pr b send kr sakte hen 

ap sb ke tahawan ka boht shukria.

Ap ka bhai 
IMRAN ALI




239 comments:

  1. Aoa.ek novel chaiye tha heroine hero ki dadi ki dost ki granddaughter hoti hai aur hero ki dadi usko apney ghr ley ati hai hero aur uska cuz kafi freindly hotey hai apse mai but dadi hero ko pasand nai karti hoti aur hero ki mother bi hero kay father ki death kay bad bilkul chup ho jati hai hero start liking heroine but heroine is already enjaged to her father's freind son.uskay bad hero kafi upset ho jata hai hero ki dadi aur mother bi thk ho jatey hai heroine ki waka sey.happy ending hoti hai kay hero ko pata chalta hai kay heroine ki enjagement hatam ho gai hai toh hero heroine ko braclet deta hai shyed eid hoti hai tab.kindly yeh novel dhond dey

    ReplyDelete
  2. AssalamuAlaikum-WaRahmatullawhe-WaaBarakaatuhu
    Mujhe ek novel ka naam bta de...laraib momin ki hai....jisme heroine ko ek admi hero ke ghar chori karne bhejta hai ...hero bahut ameer hai isme...hero ko pta chal jata hai ki ye mere ghar kis maqsad se aayi hai but usse kuch nhi bolta hai....happy ending hai...please please is novel ka naam bta de...

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      Search kr rahi INSHAALLAH jaldi mil jaey ga

      Delete
    2. InShaaALLAH...
      MAine bas aapko remind karane k liye yeh msg kr rha hu.

      Delete
  3. aoa. mjhe ek novle ka link chahye, nam mjhe yad nh, i thnk aanchal ya shuwa m prha tha, 2 sistrs hoti hain un ka ek czn unki city m job k lye ata h but separate house m rehta hai, un k ghr ata jata h heroine ki bari sis ki like krta hai n us se engagmnt hu jati hai kch days bad uska chota bhai b es city m ajata h as unka new ghr construction pr hota h yahan eslye ata h.heroine ko us k choty bhai se chir hoti hai , hero thora attitude wla n proudy hota h but heroine ko like krta batata nh hai, bari sis ki shadi k bad es ki engagmnt u jti h hero se r yh nfrat krti hai us se, phr suddnly heroine k parents ki death hu jati h to uska nikah hero se hu jata h. phr wo usko psnd krne lgti hai, kindly es novel ka link upload kr dein...plzzzzzzzzzzzzzz

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      jesy he milta hai ap ko link deti hon

      Delete
    2. That's the novel, thnk u soooooo much :)

      Delete
    3. Nimra yeh link main open karti hon to kiran kitab ka link ata ha plz sahi kar day

      Delete
  4. mjhay aik novel chahiay jis mn hero heroine uni mn parrhtay hain heroine pehlay hero se chirrti hai unhain aik assignment ikathi banani parrti hai wo hero k father k office ja k b kuch kaam krtay hain related to assignment...phr ahista ahista unki understanding develop ho jati hai... heroine ki aik best frnd hoti wo kahin or chali jati bachpan mn e but heroine us se hr bat share krti hai wo kafi bold hoti opposite of heroine.. hero heroine ki engagement ho jati hai tab b heroine hr baat apni bestie ko btati hai jab wo bestie hero se milti usay wo pasand ajata hai hero b us mn interest lainay lgta hai heroine ko ignore krta hai aik din heroine office mn kuch bhool jati hai tau hero apnay frnd se keh raha hota hai k mn ne us se (heroine) engagement krk ghalti ki...heroine engagement ring wapis kr daiti tab hero realize hota k how much he loved him... phr us se muafi mangta hai he asks her to give him a second chance.... plz agar name pta tau bta dain... 2011 to 2014 k kisi digest mn tha... names i dont remember.

    ReplyDelete
  5. Hey, I wanna know if express drama Pashemam is based on novel , if yes then plz give me the link of the novel. Thank you!

    ReplyDelete
  6. Mein ne pehle bhi is novel ki request ki thi kindly ye novel dhon dein plz....
    Kindly tell me the name of novel which is published in Aanchal.heroine name is Seema and hero name is Sangraiz Shah and he is in police. Seema' s father is a gangster

    ReplyDelete
    Replies
    1. Me search kr rahi hon kya chracter name yehi hain? ye to last year june m req aye thi tub se abhi tk ni mila .

      Delete
  7. mujhe kuch aise novels bta dein jin mein hero aur heroin ka nikah bachpn mein ho jaye aur they pretenting to hate each other but actually they love each others plz kuch aise novels suggest kr dein.....!

    ReplyDelete
  8. salam,meney yahan hi kuch days pehly ik novel thora sa prha tha ab name bhol gai hun ,agr possible ho to plz link bta dein uski stori kuch youn ti k ik dada hotey hein jinka name I gues syed wajahat hota hai unoun k shadian ki hoti hein ,jo dusri ki hoti hein usko chor atty hein bad me hero unki second wife se jo beti hoti hein unko dada se milwata hai and uni s daughter ki beti ko hero pasand krta hai .

    ReplyDelete
  9. salam . please mjy asy novel k nam dain jin hero ko larki gharib smj k love kry per bad m hero ameer nikly. thanks

    ReplyDelete
  10. AOA.mjhe novel ka name nahi pata na hi writer ka but the story is heroine 4 behnain hoti hain unk father professor hote hain(shariq name hai i guess) unka ek student hota hai jo kay heroine ko mehndi wale din kidnap kr leta hai(heroine k fiance ka name ayaz hai) kiunk heroine ne use thappar mara hta hai jb wo drunk hta hai aur heroine ko koi aur larki smj leta hai but later wo use maafi k tor per kuch(dinner) offer krta hai but wo jahtak deti hai smthng but kidnap krne k baad jb use pata chalta hai k wo shariq sahab ki beti hai tu wo use chor deta hai but heroine ki shadi toot jati hai aur wo us se shadi krleta hai but heroine k parents ko nahi pata hota hai k yeh wohi larka hai jisne unki beti ko kidnap kia tha .. heroine use hate krti hai aur kehti hai k wo apne parents ko us k bare mei bta de gi but then ek din hero ka accident hta hai and then hero use apni story sunata hai (uski late mom ka nam i guess saeera hota hai) and then she forgives her n all....please if you can find the story tell me please..

    ReplyDelete
  11. Nimra after marriage walay lengthy novels bataiega jo aanchal ya hina k hon or boht Saray link dijieyga plz nimra g....

    ReplyDelete
    Replies
    1. Siso me free hoty he links deti hon

      Delete
    2. Nimra ji ap kb free ak week to hogaya hy Hayna....

      Delete
    3. kya episodic novel hon ? ap bta do me check kerti hon rat m

      Delete
    4. Ji episodic base hon to acha hy, ya bhalay mukaml novel hon mgr lengthy hon or 3,4 novels k link dijayga to hon plz....

      Delete
  12. Mahay tamam types novels k link dn 5, 6 novels hon plz

    ReplyDelete
  13. Recently jo episodic base novels khatam huway hn unka link dn jo aanchal me publish huway hon is k elawa tuta huwa tara ki ab tk ki episodes ka link dain ak sath sari episodes hon thank u in advance

    ReplyDelete
  14. MAin ne previous page per bhi request ki thi ........... kindly Mjhy kuch aisy novels k link day dain jin main larki hero ko apna bhai samjhti ho jo umar main us sy bara ho, but kuch reasons ki waja sy unki shadi ho jay... hero larki k sath rude ho aur larki innocent ho... after sometime larka usy pasand karny lag jay... kuch is type 5 6 novels k link day dain please.............................

    and 2 nd request is hero name is taimoor and girl name is sawaira, taimoor bht rude hota hai and wo herion sy kisi majboori ki waja sy shadi kar leta hai aur us ko apny ghar le ata hai but ghar pe wo kisi ko bhi apny aur heroin k nikkah k bary main ni batata, larki us sy bht darti hai....aik scene main ghar main taimoor ki shadi ki tyarian ho rhi hoti hain aur larki in sab ki waja sy bht upst hoti hai...after sometime shadi sy phly hero ko realize hota hai k wo heroin k sath galat kar raha hai... is sy ziada mjhy yad ni.

    ReplyDelete
    Replies
    1. me search kr rahi ap ka novel abhi tk ni mila.

      Delete
    2. Ap ne abhi tak koi reply ni kia.... even meri 1st request tou pori kar dain.

      Delete
    3. Mere Zindagi Hai Tu by Sheren Malik
      Apki first req jesa novel hai...

      Delete
  15. koi is story ka name bata day. hero apne parents se naraz ho kar ghar chor deta hai rent per rehta hai but heroin us se kafi rudely baat karti hai hero bht irritate hota hai.hero un ki help bhe karta hai jb heroin k father bemar hota hai but hero ek dam wo ghar chor k chala jata hai phr kafi arsay k bad wo heroin ko ek jab interview mein milta hai. plz name bata day koi.

    ReplyDelete
    Replies
    1. somebody reply plzzzzzz

      Delete
    2. me search kr rahi hon kya kise chracter k name yad hai

      Delete
    3. name nae yaad hero ki sis ki death hojati hai jis liye usy emergency mein jana parta hai or heroin ka ek chota bhai bhe hota hai.

      Delete
    4. Its "Hum to aise hi hein" by Sadaf Ijaz.

      Delete
  16. AoA MAin ne previous page per bhi request ki thi ka mujay aik noval kay bary main bata dayan mujay noval ka nam or writer ka nam bh yad nahi hai yah noval 2000 say phaly ka hai sirf storie thori se yad haiha hiron ka nam hoor hota hai or hiro kay do name hoty hain ak sani or dosra nam zain hiro tacher hota hahiron us ke studant hoti hai hiro apny gar say naraz ho kr kisi dosri jgha karydr ban jata hai aur jis ky gar main rhata hai wo khatoon us ki shadi apny muhaly main rhany wli larki say krwa dati hai jo k hiron hoti hai plazzzzzzzzzzzzz zaroor batain

    ReplyDelete
    Replies
    1. AssalamuAlaikum Nimra Ali ya wo noval nahi hai wo noval 2 parts main aya tha hiroen kan nam hooria nhi hoor hota hai hero nik name is sani and real name is zain wo gar main btya bgar shadi kar lata hai

      Delete
  17. aisey type k novels batadein jis mein hero rude ho zid pori krni ya ana ko tskeen k liye heroine sennikah karein ao herion us se supressed rehti ho happy ending ho obioysly

    ReplyDelete
  18. salam Kindly Janjua house by Saima Akram ka novel jaisa khuch novels suggest ker dain

    ReplyDelete
  19. Mujhe aik novel chahiye hai us mein heroine ke 2 kids hote hain but uska hubby aik actress se shadi kar leta hai magar apni wife ko nahi batata lekin uske husband ka cousin heroine ko bata deta hai or woh heroine ki nand ko pasand bhi karta hai heroine jab apne husband se larti hai to use ghar se nikal deta hai or woh apne parents ke pass ajati hai jahan usko bhout problems hoti hai phir woh is shadi ko accept kar ke ghar wapis ajati hai iska aik scene yeh tha ke uski nand apne kisi professor ko pasand karti hai to woh usko bhout bezat karta hai or last mein barish ki rat mein woh apne husband ko ghar se nikal deti hai badla lene ke liye or kehti hai yad karo woh waqt jab mein kamzor thi to tumne mujhe nikala tha ab yeh ghar mere nam hai please kisi ko agar iska nam yad hai to bata de kiu meine yeh isi blog pe parha tha

    ReplyDelete
    Replies
    1. me search kr rahi jesy he milta hai inform kr don ge.

      Delete
    2. Yeh novel meine jo aik novel mein bhout 4 to 5 stories hoti hain us mein parha tha

      Delete
  20. aoa. i read this episodic novel long ago in a digest probably in early 2000s. larki painter hoti hai, nca main parh rai hoti hai. larka textile mill ka malik hota hai. wo interns higher krne k liye nca ata hai jahan larki ka teacher usse larki se milwata hai. magar larke ko lagta hai k wo uski baat ghoor se nai sun rai aur wo offend ho jata hai aur larki k designs nai dekhta aur office se b nikal deta hai. phir usko wase hi wo design milte hain aur wo bilkul waise hi hote hain jaise usse chaiye the. phir usko aik exhibition par larki ki paintings pasand aa jati hain aur wo khreed b leta hai. magar larki ko pata chal jata hai aur wo un pe se sold k tags hatwa deti hai.
    larki apni maa k sath akeli rehti hai.aur kafi ghareeb b hoti hai. aur kisi wajah se apni maa se naraz b hai.
    iske sath koi aur parallell story b chal rai thi shayed kisi aur country main magar muje yad nai hai.
    please help me. if you can find it. it will b great.

    ReplyDelete
  21. Kindly suggest me novels like jo ishq mae beeti woh ishq hi jane by naila tariq!

    ReplyDelete
    Replies
    1. es type k wohi old hai .ap previous pages pr dekh len

      Delete
  22. Ek novel chahiye tha...mujhe sirf story yaad hai thori si na hi name yaad hai aur na hi writer ka name yaad hai na hi digest .... hero ka naam zarar aur herion ka naam maida... herion ki behan ki shadi hoti hai hero k chhotay bhai se wahan pe herion hero se takra jaati hai aur usay khoob sunaati hai par jab usay pata chalta hai k yeh wohi zarar hai jo mere behnoi ka bhai hai to wo pareshaan ho jaati hai kyun k zarar ghussay ka boht tezz hota hai aur koi boht bada politician hota hai... sab us se dartay hain wo sirf aadhay ghantay k liye apne bhai ki shaadi mein aata hai phir chala jata hai... phir herion apni behan k sath uskay sasurai thori si na hi name yaad hai aur na hi writer ka name yaad hai na hi .ch jaati hai kyun k zarar ghussay ka boht tezz hota hai aur koi boht bada politician
    hota hay.
    PIZZAZZ SOME ONE HELP

    ReplyDelete
    Replies
    1. ye novel ni mila hr page pr btaya hai.

      Delete
    2. sorry don't get mad, i thought may be other reader will look at it and may be able to help.

      Delete
  23. salam pakeezza digest july 2010 or june 2010 ka link mil sakta hay

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      Sorry available ni hai koe novel chahaey to bta den may be posted ho

      Delete
  24. salam . main ny pahly b request ki thi k kuch asy novel link dian jin m larki hero ko gharib smj k love kry pr bad m hero ameer nikly. kindly hum pardasi logo ko reply kr diya krn . amjad UAE

    ReplyDelete
  25. Jo ishq mein beeti wo ishq hi jany by Naila Tariq ki story detail me plz btadein

    ReplyDelete
    Replies
    1. well story kuch istarha hai ke Ahmed hussain and Fatima ik beulad couple hota hai ik subha ahmed ko ik bachi koray ke dhair per milti hai who us ko ghar le atey hain and us ki buhat achi parwarish kartey hain magar ahmed ki family us bachi ko kabol nahi kartey us bachi ka naam hurman hota hai kuch arsey bad who apna shehar chor detey hain abhi hurman college mein hoti hain tu ahmed ki behan ki death ho jati hai un ka ik hi beta hota arish jis ko ahmed apney ghar le atein hain who hurman se 2 saal chota hota hai hurman us ki buhat insult karti hai who hurman ko buhat like karta hai like crazy and ahmed hussain ke kehney per us se shaadi kar leti hai but not happy us ko complex hota cause us ki real family ka pata nahi hota arish us ko us ki lost family se milata hai story isi ke irdgird ghomti hai.Is mein ik couple uaman and bela bhi hain jo family issues ki wajha se court marriage kar letey hain aur bad mein family se cut off ho kar un ko problems face karney partey hain.But happy ending hai.

      Delete
  26. salam ,ik novel tha jis me hero cricketer tha or stairs se girney se wo coma me chala jatta hai bhot months bad wapis atta hai coma se phr theak ho kr team me wapis ata hai ,coma me janey ki waja se physically wo bhot change bhi dkhny lgta hai matlb wo young hota hai kaafi bt aged lgny lgta hai grey hair etc ki wja se usny ik bacha bhi adopt kia hota hai jo I guess us ki cousin ka hota hai jis ki dfeath ho gai hoti hei ,hero and herioine ki call pe batt hoa krti ti ,herion nfrt krti hei hero se k usny flirt kia but end happy hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. I think you are talking about Saans Sakin Thi by Nimra Ahmad.

      Delete
    2. YESSSSSS, yehi hai thankyou so so much :-)

      Delete
  27. aoa
    aik nove hai jis mei hero n heroine czns hain heroine apni mom k sath reht hoti ae n hero ki bht frankness hai us ki fmly k sath ........aik scene mei heroine koi shadi b attend karti hai shayd .......hero ka name umr hai (nt cnfrm) last scene mei heroine bht ro ri hoti hai aur hero diamond ki ring deta hai ..........kuch months phle ap hi k kisi page se parha tha .....

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      me check kerti hon

      Delete
    2. ni ye wo ni hai ................is mei heroine kisi ofice mei job b karti hoti hai aur kisi apartment mei rhte ae ..... last scene mei heroine ko hero us k ghr se le k ata hai apne ghar aur phr ring pehnata hai........rashidda riffat ka ha i guess hero name umar and ik aur character tha koi hamza

      Delete
  28. aoa
    mein ne aj se atleast 7 years phle novel parha tha pakeeza digest mei jis mei jo heroine ki shadi kisi aged bandy se hoti hai aur uski ye 2nd wife hoti ae isko wo alag portion bna k deta hai long story the means is mei in k bacho ki shadi b hoti ae aur heroine ka nam mehr un nis ya is type ka kuch tha

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      check ker rahi hon mily to link deti hon

      Delete
    2. yeh tou shayad hum p drama bhi aya tha naa. adnan sidiqui arij fatma lead mein thay
      afsos mujhe naam yaad nahi hai

      Delete
  29. suggest some nvls jin ki story tjhe juzve zindagi kar lun type ki ho ....ya heroine is novel jesi ho ........plex

    ReplyDelete
  30. muje aik novel ka bata den us mein hero heroin cousins hote hn heroin ki age hero se zayada hoti hai wo usee as chota bhai treat karti hai lakin hero uss pasand karna suro ho jata hai heroin ki engagement ho jati hai lakin hero ki wajha se toot jati hai happy ending hai plzzzzzzzzzzzzzz iss ka naam bta den

    ReplyDelete
    Replies
    1. search kr rahy hain novel mily to link dety hain

      Delete
    2. iss novel mein hero k father ki death ho jati hai wo dusre gar mein shift ho jata hai shayad hero ki sister ki shaadi hoti to sub gar wale chale jate hn to hero heroin ko lene ata character names yaad nai hn

      Delete
  31. pehle b request ki hai lakin koi reply nai karta!!!!!

    ReplyDelete
    Replies
    1. jub novel mil jaey to link dey dety hain & ap koe chracter name btayen agr yad hai .esy to bohat se novel hain

      Delete
    2. character name koi yaad nai hai :(

      Delete
    3. ap sare novels k naam bata den plzzz

      Delete
  32. salam
    plz 80s k digest bhi upload karien thnx

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      kuch posted hain wo check keay ap ny ya link don

      Delete
  33. suggest some worth reading novels except umaira ahmed cux i have read all of them

    ReplyDelete
  34. Mje aik novel chahye jis m heroine apni maa ya shayd dadi k sath rehti h inky sath heroin k Abu ka czn b rehta h r heroin usy chachu kehti h phr uski maa/ dadi ki death ho jati h to heroin ka nikah usi chachu s hojata e jab k heroin ko ni pta Hota k wo uska asli chachu nahi h bt usky Abu ka czn h nikah s phly hero usy bchi smj k pyar krta h r toffees wgera b Lata e usky liye happy ending th kindly ye dhond dein

    ReplyDelete
  35. Aanchal keun nahi apload horaha....pehlay to jaldi hojata tha plzzz march ka upload kerdwin.....special new epi of toota hiwa tara by sameera sharif toor...

    ReplyDelete
    Replies
    1. Idary walon ny mna kea hai 1 month late post hota hai march k 2oth k bd INSHAALLAH post ho jaey ga

      Delete
  36. please suggest me some novels like kuch ishq mae rang-e-junoon bhi tha or tum akhari jazeera ho...

    ReplyDelete
  37. salam, me ney last page pe bhi reqst ki ti bt apny links nhi novels k dei the or kaha tha k mey check krti hun so phir se reqst krrei hun, SAANS ,SARAK OR SAKOOT typ k novels ya stories bta dein js me hero k sath koi mishap hua ho ,exact wo nhi to kuch esa k mtlb uspe tasadad hua ho kidnapping etc kuch esa,or agr is genre k novels nhi to kuch esy novels bta dein jisme hero and herion ik hi ghar me rehtei houn ya neighbors houn ,hero possasive ho kafi herion se pyar bhi krta ho bhot ,serious typ ka ho ,new houn to better as puraney mostly prh cuki bt aagr new nhi to chalein jo apk pass woi dein dein hope so is br ull help me .thanks

    ReplyDelete
  38. Please aise novels bta dein jin mein hero heroine se nafrat krta ho bt kisi badlay k liye shadi kr le.heroine ko boht ziada torture krta ho.marta ho.kisi se milne na de.aur end mein heroine beqasoor niklay.ziada long beshak na ho.

    ReplyDelete
  39. Please kuch ishq rang e junoon bhi tha is type ki novels suggest kr dain old ho ya new ho is type ke novels suggest kr dain please I hope ap meri request puri karengi me ne is se pehle b ap se request ki thi please sis thanks

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sis ap ne reply nhi kiya please bata dain

      Delete
  40. Salam...mjhe ek novel chahye us mein 2 step sisters hoti hain unk father ne 2 shadiyan ki hoti hain aur dono se unki ek ek beti hoti hai 2nd marriage unhon ne ek nurse se ki hoti hai jo k beti paida hone k bad ghar chor k bhaag jati hain tu un dono ko 1st wife hi parvarish krti hain...jab step sis ki shadi hoti hai tu wo kisi (Salman) k sath bhag jati hai tu doosri beti ko uski jagah shadi krna parti hain but uska husband accept nahi krta nahi mother-in-law but kuch arse baad doosri larki jo bhagi hoti hain wapis aa jati hai n kehti hain mei salman ko chor ayi hoon n all aur ab mei shadi krloon gi ap (uski sis k husband ) se kaho k wo use talaq dede mein shadi kroon gi usk sath but wo talaq nahi deta..happy end tha....yeh aanchal magazine ublish hua tha.....plzzz mjhe agr ap bta saken yeh knsa novel hai...yeh short story thi....

    ReplyDelete
  41. Hello ! plz 2 episodic novels btaen like Dil ke mousam and tumhein dil ne pukara hai...

    ReplyDelete
  42. Hey, kiya ap mujhay khoon baha type ke 2 3 novels bata sakti please.

    ReplyDelete
  43. dil lagi drama on ary digital by faiza iftikhar kiya ye novel hai ya script ?????? agr novel hai tu kon sa ????

    ReplyDelete
  44. hi friends, does anyone know the drama "tum yad aye" if it is a novel base or not

    ReplyDelete
  45. aoa mein ne bht arse pehle story parhi thi shuaa ya khawateen mein us mein yeh hota hai k hero adopted hota hai wo foreigner lagta hai dikhne mein us k parents ki death ho jati hai tou heroine k dada use le ate hain. hero ko heroine pasand hoti hai mgr wo usay hmesha haqarat ki nazar se daikhti hai. wo us k saath family bisiness bhi sambhalti hai. uski baat nahi manti r 1 deal ki wja se bht loss hota hai tou hero usay dant'ta hain.. phr heroine k khayalaat badal jate hain ramzan mein jab hero eitekaaf mein baith'ta hai tou wo us k aftari bhi bna kr bhejti hai r chand raat ko us k kamre mein card r phool bhi rakhne jati hai mgr wo usay pakar leta hai..
    us k ilawa rida digest mein ek romantic comedy parhi thi jis mein bht saari cznz hoti hain un k naam shuaa, pakeza, kiran, rida r hina hote hain r un k male czns un k namoon ka mazak urate hain.. isi shumre mein ek r kahani thi chand k bare mein naam bhi kuch aisa hi tha wo lrki kafi mard maar kisim ki hoti hai.. maa ki death hojati hai r baap mulk se bahar chala jata hai wo joint family mein rehti hai r sab se lar k apna haq wasool krti hai mein ne iska ek hi part parha tha.. kindly agr possible ho tou dhoond dainn.. thanx

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      dono novel jesy milty hain ap ko inform kr don ge

      Delete
  46. Is novel ka name bata den please. I'll be grateful. Heroin name was maida, uske cousin basit uspe buri nazar rkhty hn. Maida k father isn't alive. But shayd koi Dada k friend apny bety se shadi Kara dety hn maida ki. Exect story yad nahi. Thanks AJ.

    ReplyDelete
    Replies
    1. nabila abrar ka novel hai yeh iss p drama bhi bna tha meri dulari.. mujhe naam nahi yaad

      Delete
    2. heroinr ka naam maida nahi aabdaar tha r hero ka naam yawar malik tha

      Delete
    3. jesy he milta hai link dey don ge

      Delete
    4. Hum jo moatabar thahray by nabila abar

      Delete
  47. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  48. tum kon piya novel ki story detail me bta dein please

    ReplyDelete
    Replies
    1. s novel k end pr Alma (herion mar jati hai) es novel k theme koe khas ni laken novel m poetry & dilouge bohat zaberdast hain Alma ik innocent se larki hai .apny father k bat k man rakhty huey us ny Ramish (hero ) k mother ko rishty se inkar kr dea.mager es k bawajod Ramish k muhabbat sari zindagi es k sath rahi & Zariab jo k shyed us ka husband tha us pr aitbar ni kea.es k ik dilouge k kuch log sari zindagi sath rethy huey ajnabi rethy hain bohat zaberdast tha Alma ik zinda lash bn gae .any way pora novel sad hai

      Delete
  49. Please mjhe Band quba khulny lagi janan type k kuch novels suggest kr den...

    ReplyDelete
  50. Aoa ! 'safar raigan to hai ' complete novel ka link de den plz

    ReplyDelete
  51. Aoa,plz muje is novel ka bta de mai bht time se ise dhoond rahe hu,hero ka name doctor mustafa or heroine ka name sabas hota h.dono ka nikah ho chuka hota hai bt hero ko wo achi na lagti,dono czns hote hai or joint family mai rehte hai,heroine laubali type larki hoti hai,,,mai ne ye story bht pehle pari the mgr sirf aik episode,shayad 2005 ya 2006 k kisi digest mai ae the ya pata nai,,mgr plz plz plz muje jaldi se is story ka bta de,,,

    ReplyDelete
  52. aoa muje iss novel ka naam bata den 3 yan 4 dostain aik college mein parh re hoti hn aik din wo apne ideal discuss kar re hoti hero wahan se he larki ko pasand krta hai wo un ki he university mein parta hai lakin us ne kabi show nai kiya hota k wo heroin ko pasand karta hai 14 feb ko a k wo purpose karta hai plz iss ka naam bata den

    ReplyDelete
  53. kindly kuch aese novels bta dein jinnmein heroin ka czn us ka teacher ya boss wagera ho ....
    and after marriage novels bta dein ..
    pehly wale mostly parhe huay hain

    ReplyDelete
  54. muja kuch novel batya jin ki story kis kadar tuja caha jasa ho

    ReplyDelete
    Replies
    1. check kerty hain ap bta sakti hain ye kis tra k hai

      Delete
  55. Hero heroine ki shadi ho chuki hoti hy Lenin hero apni college ki class fellow ko pas and krta hy. Halaart ki waja se shadi ho jati hy Lenin Mian biwi ka rishta Nahi hota. All din hero ki class fellow ghar ati hy toh who heroine ko apni cousin Bol kr milwata hy woh heroine ki khoobsurti se bohat impress hoti hy aur kehti hy ke mei Larki Nahi Larki hoti toh mera dil tum pe aa Jata. Jab bad ad mei usse pasta Chalta he ke woh heroine hero ki biwi hy toh woh usse rishta khatam kr Deti hy. Happy ending hoti hero ko heroine se pyaar ho Jata hy. Thora Purana novel hy novel ka naam yard hy na writer ka aur na kisi character ka bus story yard hy. Any suggestions?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Shia ya khawateen digest mei Kari time Peale publish hoe thi not sure though

      Delete
    2. Thanks so much!! This is exactly what I was looking for,thanks a bunch!

      Delete
  56. AOA...mjhe ik novel k bare main pouchna tha jo shayed anchal digest main aya tha us main hero ka umer tha...wo kis wadera type family se belong karta hai..heroine isi k gaon main rehti hai aur uski dor ki rishtedar bhi hoti hai...heroine k father ne is ki baat gaon k ik gunde se taye kar di hoti hai jo pehle se shadi shuda hota hai..aur woh herou=ine aur uski maa ko tang karta hota hai..
    hero, heroine ko is k rishtedaro k pas chorne kis pahari ilaqe main bhi jata hai... bad main ghar walon ki marzi se wahin unki shadi hoti hai, bad main jirge k faisley k baad ghar aate huye heroine k mother ka murder ho jata hai..
    happy ending thi ye

    ReplyDelete
  57. Its Dhal Gai Phir Hijr Ki Raat by Sameera Shareef Toor.

    ReplyDelete
  58. toota hoa tara saima ikram ka nvl kab tk khatam hoga n pls iski story bata de??
    pls reply de dijye ga mjhe.itni br req ki but kisi ne fulfill ni ab kindly iska ans de dijye ga....

    ReplyDelete
    Replies
    1. ye to sumera ka hai or kuch pta ni kub kthm ho ga me story check kerti phr btati hon

      Delete
  59. AOA, I am looking for a novel that i had read a while ago, it was about a girl and her cousion, she used to hate him, he was always jealous of her how she used to always compete with him and used to do top. one time she had to stay at his house and he used his computer, after that he asked for her hand and she was surprised and she also got to an accident and called him for help. PLZ HELP THANK YOU

    ReplyDelete
    Replies
    1. aisa ek novel farhat ishtiaq ka bhi tha naa... yaa shayad mujhe galat fehmi hui hai

      Delete
    2. thank you so much BUT this is not the novel, may be Hira awan is right maybe it is her.

      Delete
    3. iski story kuch youn ti k hero har cheaz me outstanding hota hai mtlb studies mein bhi and bki extra curricular activities me bhi ... heroin rehney atti hai to uska computer use krti hai ,wo so jati hai to hero uska kam bhot acceh se kr k suba complete deta hai ...heroin ko mature larkeiy pasand hotey hein wo hero ko immature smjti hai .unki engagement bhi hojati hai ..

      Delete
    4. Its yeh Khuwab to ik sarab hein by Farhat Ishtiaq.

      Delete
  60. Salam, kiya ap mujhay plz kuch aisi 2 3 storiea bata saktay hain jin mein larki ki shadi kisi majburi mein larkay se hui ho wo usay nafrat karti ho aur larka bhi boht rude ho uss par shak karta ho aur ussay marta bhi ho lekin larki phir bhi uski ek bat na sunti ho air ussay darti na ho plz kiya ap ye request jaldi puri saktay hao actuallay mairay holidays hain to socha novel par lun to phir badh mein oar nahi paun gi thankyou☺

    ReplyDelete
  61. Salam mujhe aik novel ka naam bta dain story ka naam ya hero heroine ka naam yad nahi hero and heroine czn hote hain joint family main rehte hain hero heroine ko hassen aalam kehta hai pr heroine ye bat nahi janti k wo is naam se kis ko pukarta hai un k ghar main aik notice board hota hai jis pe un czn ki galtiyan likhi jati hai or un ki dadi un ki galtiyon ko mutabiq un saza deti hai plz is novel ka naam bta day

    ReplyDelete
  62. salam ,please mujh kuch essay novels bta dein jin me hero k sath bacpan me ulm hua ho bho ,kidnapping ya kuch bhi jisseh wo serious typ ka hogya ho bt heroin se bhot pyr krta ho and bho romantic typ ka novel ho .saans sarak or sakoot prh chuki is liey usk ilawa plz bta dein .

    ReplyDelete
  63. Asalam o alaikum bhai and sis plz iffat sehar tahir ki az mir butt ki series ki agar koi story 2014 se ab tak agar koi story publish howi hai to plz link day dain

    ReplyDelete
  64. Hi muje iss type k novels batayein jiss mein heroine ke parents na Hon ya Hon tw step hon ya phir family mein koi b aisa jo uss k sath bht bura behave krte Hon bought innocent c ho.novel happy ending wale hon 4,5 hone chahiye I hope aap meri he rest zaroor puri Karen he because this is my 1st thanks n take care

    ReplyDelete
    Replies
    1. phely bhi koe read keay hain ?

      Delete
    2. Yes but just one n I don't know the name plz suggest me more novels of this kind plz

      Delete
  65. Novel ka name bata den
    1- hero name was adarsh, he was a doctor and want a doctor wife too. But uski shadi ek larki se Tay hojati h Jo shadi k din bhag jati h then bahi mushawrat se uski shadi us larki ko choti sis *lead role* se hojati h, she is a doctor too, and he liked him while he saw her for the first time.
    2- hero name was nosherwan and uski heroin se shadi hojati hn. And they both didn't accept it. Zyada story yad nahi
    Please if possible iska link share krden
    Thanks alot AJ

    ReplyDelete
  66. Plz muje aisle novels batayein no both romantic hon or new hon thanks

    ReplyDelete
  67. please suggest me some novels like agar woh meherbaan hota or band quba khulny lagi janan....

    ReplyDelete
  68. Aoa sis plz aik story ka link day dein story kuch yun thi heroine joint family main rehti hai us ki mother ki death ho chuki hoti hai wo sirf 2 sisters hoti hai heroine apni sis se choti hoti hai un ki phopho bahir rehti hain un k 2bete hoty hain wo apne bare bete ki shadi heroine ki bari sis se karne k liye Pakistan ati hai heroine ki bari sis uni main kidi ko pasand karti hai pr ghar main wo kisi ko nahi batati jb un ki phupho pk ati hai to wo heroine ko batati hai k wo kisi ko pasand karti hai or wo larka abhi job nahi karta is liye ghar wale nahi mane gay heroine ja k apne czn ko kehti ha jo hero hai k wo us ki sis se shadi se inkar kar day wo wajah pochta hai to wo usse bta deti hai hero ko hetoine achi lagti hai aik din heroine apne chachak bete k liye gift lene jati hai hero k saath hero ghar walon ko mana kar us ki sis ka rishta ussi larke se karwa deta hai or us ki or heroine ki bhi shadi end pe ho rahi joti hai

    ReplyDelete
  69. Salam kuch asi novel k naam bta de jo heroine hero s choti ho jtni novels apko pta plz plz uski naam bta de

    ReplyDelete
  70. Salaam.
    Wanted to know that BASHIR MOMIN was a script based or its a novel?

    ReplyDelete
  71. aoa!
    muje iss novel ka naam bata den kaafi saal pehle parha tha larka syed family se belong karta hai us ka sath university mein us k gaon ki aik christian larki parhti hai wo us ka kaafi insult karta hai wo khubsoorat nai hoti hai baad mein larki death ho jati hai to pata chalta k wo larki muslim ho chuki thi larke ko har tarf wo he nazar ati hai phir wo ummrah karne jata hai to pir thek ho jata hai plzz plzz is ka naam bata den kisi character ka naam yaad nai hai

    ReplyDelete
  72. salam
    heroin ka naam shayad mishaal hota hai hero us k chacho ka beeta hota hai aik he gar mein rehte hote hn hero ki age heroin se kuch kam hoti hai wo dono ek dusre se bohat attach hote hn pir heroin ki engagement ho jati hai to hero ko ehsas hota hai k wo heroin ko like karta hai pir wo gar se bahir rehna suro kar dena hai hero k father ki death us k bachpan mein he ho jati hai heroin use chota bhai samjti hoti hai lakin pir us k fiancee ko itaraz hota hai k wo her cheez hero ki pasand ki kyon karti hai wo use blame karta hai k wo hero ko like karti hai to wo engagement tor deti hai baad mein jab usse sachi ka pata chalta hai k hero use like karta hai to wo us se naraz ho jati hai to hero apni behn aur ammi k sath dusre gar chala jata kaafi saal guzar jate hn pir hero ki behn ki shaadi hoti hai sub gar wale wahan gae hote hn to hero a k heroin ko manata hai aur sath le kar jata hai plz name bata den

    ReplyDelete

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...