FAMOUS URDU NOVELS: REQUEST FOR NOVELS PAGE 44

HERE YOU CAN SEARCH FOR THE NOVELS LINKS

REQUEST FOR NOVELS PAGE 44




Asslam o alekum friends and members
ap sb se guzarash hay k apni request k bare me best info like novel name, author name, jis digest me novel publish hoa us ka name , month and year, and agr ap ko us novel ki story ya main charecters yad hen to woh btaen ta k ap ka matlooba novel talash krne me asani ho and apni request k poora hone ka sabar se intizar kren k kbi kbi koi novel available ni hota ya us novel k bare me kuch pata ni hota is leay us request me der b ho sakti hay. Meri poori koshish hoti hay k ap ki request jald se jald poori ho sake. baqi sb members se b meri guzarash hay k agr ap koi req dekhen or ap ko us novel ka pata ho to kindly us req pr reply zaroor kren. 

Request karne wale members se guzarash hay k 
  • Request krte hoey sath me apna name zaroor mention kren ta k next time jb ap us req k bare me poochen to hum ko pata ho k ap kis req k bare me pata kr rahe hen.
  • Apna email id sath me mention kren ta k bad me ap ko link send kia ja sake.

agr ap ko kahen ksi qisam ki problem ho to ap mujhe mail kr sakte hen
aatish2kx@gmail.com  

ya face book pr mujhe contect kr sakte hen
  
https://www.facebook.com/aatish2k11 ( IMRAN ALI )

Ap apni request hmare facebook ke page pr b send kr sakte hen yahan

ap sb ke tahawan ka boht shukria.

Ap ka bhai 
IMRAN ALI




315 comments:

  1. A.A mjy nvls batae jis m hero rich manerles proudy ho larki midle clas ho hero usy lve krta ho tease bhi larki like na krti ho r hppy ending ho

    ReplyDelete
    Replies
    1. WAlekum aslam
      nechy links dey deay hain

      Delete
    2. plzzz aesy novels k name bta dain jin ma hero pathan ho ..... and first sight love na ho .

      Delete
  2. please mujhe ye novel roop mausam ka sanwar jane do ka link de dein aur mujhe rida 2004 ka june aur july ka digest bhe

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sorry rida available ni hai
      & Roop mausam ka sanwar jane do by naushaba tariq ye bhi available ni hai

      Delete
  3. Aoa
    Mujhy plz plzz es novel ka name bata dain.is ki I think sirf aik ya do episode hi thain.hero name armaghan hota hay.heroine name nahe yaad.heroine kidnap ho jati hai.aur hero b I think un logun ka sathti hota hay.lakin wo heroine ki help karta hay .HAPPY ending tha.yeh kafi old digest main story perhi the .shayad 2000 se pehly k kisi digest main the ya es years k qareeb hi koi year tha.
    Plz plz mujhy es novel ka name bata dain plz

    ReplyDelete
  4. Assalam o alikum

    Pehly b request ki the.story name yaad nahe hay.lakin story esay hai k joint family hay.hero bhot careless aur immature sa hota hay wo apny taya ki beti ko pasand karta hay.dono agefellow hoty hain.hero ki cousin hero se shadi se inkar kar dyti hay aur us larki ki kahain aur shadi ho jati hai.wo larki shadi se esliya inkar karti hay k hero bhot careless aur immature hai.hero bhot depressed hota hay.wo phr apni studies par bhot dehan dyta hay.us gher main us k taya ki
    Granddaughter b rehti hoti hay wo hero se 12 saal.choti hoti hay.wo jab thori bari hoti hay tu hero ko pasand karny lag jati hay.hero pehly bhot ghussa karta hay lakun end main wo man jata hay.HAPPY ending tha.aur aik hi episode wala novel tha.plz mujhy es story ka name bata dain

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      ni mila tha ab dobara check kerty hain

      Delete
  5. Aoa
    Amna iqbal ahmed k koi aur novels aye hain
    Like :
    Soldier
    Ajeeb shaks
    Us ka gher
    Zahina
    Plz zara jaldi.bata dain

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      sorry wohi old hai or en m se bhi koe available ni hai

      Delete
  6. Aoa .please mujhy nafratun se udhar by mehwish Iftakhar type k novel bata dain .HAPPY ending b ho.ya koi bhot achy se romantic novels bata dain jin ko perh k dil khus ho jaye.
    Please meri request pay b nazar rakhain

    ReplyDelete
  7. ek novel ka naam bta den agar kisi k pata hai t larki ka nam parishey hta hai r larkey ka shanzil dn czn hte hain shanzil us se shadi karna chahte hai pr w us se chirti hai parishey ki dn bari behnen b shanzil ki bhabhi hti hai parishey k father ki death ho jati ha accident me ye sun k mther ko b heart attack ho jata hai wo hspital me hi un ka nikkah karwa deti hn

    ReplyDelete
    Replies
    1. Its Bikhray Chahat K Rung by Nazia Mughal. Now just pray and hope that someone won`t delete my comment before you read.

      Delete
    2. Bikhre chahat k rung by nazia mughal

      Delete
    3. ye wo novel ni ha

      Delete
    4. ap yeh novel dobara check kren plz ye match kr rha hai

      Delete
    5. ap link open kr k dekhen ye dsri story hai is me hero wasi hai

      Delete
  8. A.A nimra meri req ka reply kb mily ga m ne 43 pge pr req ki rply nhi mila r ab 1st 1st req ki ab bhi rply nhi mila

    ReplyDelete
  9. Mujhe kuch novels chaie
    1. Ye jasoosi ya suspense digest main aaya tha kuch time pehle jis main hero crickter hota hai aur uska baap cricket board ka chairman aur uski gf team coach ki beti hoti hai. Team tour p india jati hai. Indian intelligence ka ek chief hero ke peeche par jata hai q ke phle wo b crickter tha mgr khel main hero ke baap ki ball lgne ki wajah s hamesha klie bahir hojata hai. Ek martaba hotel ke swimming pool man lrki ko bhejta h taake hero ke sath us lrki ki pics kheenche aur hero klie masla peda kare. Aage ki story nahi pata
    2. Y novel b suspense ya jasoosi main aaya tha isme hero aur heroine bachpan se akathe hote hain. Heroine hero ke baap ke dost ki beti hoti hai. Heroine ka baap propert pr larai ki wajah s shehar s door dost ke sth gaon m rhta h. Hero apne baap k dost k mashware pr army m select hota h. Heroine ki maan ke rishtedar unhe unki zameen ki wajah s tang krte hn qke us zameen ke neeche kuch natural resources hote hn. Wo lrki ke baap ko dhamkate hn k heroine ki shadi hmare bete s krdo mgr heroine k maa baap inkar krdete hain aur wo rishtedar dhamkian dete chle jate hn. Ek din wo rishtedar unke ghr p hmla kardete hn aur sb maare jate hn siwaae heroine aur hero ke baap k. Hero adla lene jata h aur un sab ko maar deta h. Phr hero ko intelligence wale blackmail karte hn aur apne lie kaam krwate hn. Hero ke baap aur bv jo k heroine ko islamabad m ghr dete hn aur hero ek flat m rhat h. Phle wo ek model ko qatal krta h. Is s aage ki story pta ni.
    3. Ye story kiran main ya kisi aur digest main aai do bhai hote aur unki csn hoti cousin ek bhai s pyar krti hai jb k dusra bhai csn s. Csn js bhai s pyar krti h wo laparwah hota h jb k dusra bhai bohat khayal rkhne wala. Csn js bhai s pyar krti h wo uske khilone tor deta hai jb k dusra bahi csn ko nai khilone la kr deta h. Larki js muhabbat krti hai usse jahan tk mjhe yaad h engagement hojati h aur larka bhr chla jata h aur wahan shadi krleta h. Yahan kisi ko pta ni hota. Ek din unke ghr m party p uska pol khulta hai aur phr heroine k dusre bhai s shadi hojati h.
    4. Y story 2 boys csn aur ek girl csn ki h. Done csn ek hi csn s love krte hn mgr ek csn kh ni pata aur sochta h kch bn jaaon phr girl s kahunga mgr dusra csn girl ko purpose krdeta hai aur dono ki mangani ki khabar phel jati h. Phle csn ko pta chl jata hai aur wo us csn s lrne phnch jata h k usne tmne mera haq mara h. Csn usse offer krta h k agr tm lrki s krna chahte ho to main peecha hat jata hn mgr wo jawab dedeta h. Is lrke ke behan ki shadi us lrke ke bhai s hoti jo csn s shadi krta h. Is p b dusra csn msla karta hain mgr uski behan us larke s pyar krti h. End phle csn ka beta aur dusre csn ki beti apas m love krte hn mgr ek dusre s izhar ni krte aur lrki apne baap ki pasand s shadi krleti h aur larke s khti h main apne papa ko hurt ni kr skti.
    5. ek novel chaie jo 2009 m t20 worldcup jeetne k baad aaya tha jis m czn hote hn. larki ka baap uski shadi dusri jagah krna chahta h wo ameer hota h mgr unhe cricket wagera m koi interest ni hota h wo business m busy hote hn. Larki aur larke baap m kuch ikhtilaf hota h. Ek scene main y hota h k 1992 worldcup ke final wale time main larki ka baap usi larke baap ko call krta hai to wo business meeting main hota hai aur 2009 wc m b yhi hota h. Ek scene m yun b hota hai k hero betha misbah ki tareef kr rha hota h jb k heroine kitchen m y smjh rhi hoti h k misbah koi larki hai aur hero kese kisi lrki k baare m aese baate kr rha h mgr jb andar jati h to pata chlta h misbah larka aur crickter h. end m uska baap uski shadi czn s krta h ameer larke s ni. y novel dhund den aur y 2009 m hi aaya tha.
    ye plz jaldi dhunde.

    ReplyDelete
  10. assalamualikum..
    mein ne upar bhi yeah novels ki request ki hai..
    plz aise novels bata dijiye jisme hero heroine ka guardian hota hai..
    mohtabar lagi teri wafa by laraib moim
    ab keh jo bahar aai by nisha khursheed
    mehrbaan by nabela aziz
    plz iss jaise or novels batadijiye..plzz
    Reply soonnnn

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      kya hero ka guardian hona zarori hai? esy tu specific novel mushkil se milen gay me phr bhi check kerti hon

      Delete
    2. haan..plz ..aisi hi novel chahiye..mein ne ab tak 5 times request bhejdi hai..plz...shikaste fatiha mein bhi hero pehle guardian hota hai...plz aise novels batadijiye

      Delete
  11. plz mjhy asy novel bta den sid ma story sad si ho yeh hero eh heroein kisi aik ka character bht mazloom sa ho but ending happy ho

    ReplyDelete
  12. please aik novel bta dein us mai aik larky ki story hy jo apny nana ky sath rhta hy us ka parents ki death ho chuki hy or bhi cousines sath raty hy but us ky nana us sy bht nafrat krty hy ku ky us ki maa ny pasand ki shadi ki hoti hy ......plz bta dein agr ap ko pata hy

    ReplyDelete
  13. AsSaLaM O ALaiKuM..........
    Me PehLy Bhe Request Kr Chuki Hun But Stil No ReponSe :(
    Plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz Is Br Request Puri Kr Den...
    MuJhy KuCh Asay NoveLs Bta Den Jin Main HerOine BhT BolD Aur ConfiDent hO
    Kisi Sy Na Dare, BaLky LarKy Us K Attitude Ki Wajah Se Us Se Bt KrTe Huy DarTe hOn.
    BuT HerO Us Se ZaDa Gharoor Wala hO,UsKa Sara Attitude Khatam Kr De, Wo SuDhar De Usy...
    ThankS In ADvanCe

    ReplyDelete
    Replies
    1. W.A Teri ulfat mein sanam nvl read kre

      Delete
  14. Aik story ka naam bta dy jisain heroine ki maa ka business hota hai hero gaon ka rehne wala hita hai heroine ki maa k office main job karta hai kisi problem ki wajah se heroine ki maa heroine ki shadi hero se karwati hai k jb problem hal ho jy gi to wo heroine ko divorce kr dy ga bad dono aik dosre ko pasand karne lag jate hai pr aik dosre ko batate nahi hai shadi k bad heroine gaon main hi rehti hai end main jb problemhal ho jati hai to heroine ki maa hero se divorce ka kehti hai r wo nahi deta happy end hota hai

    ReplyDelete
  15. New drama serial "LAAJ" script based hai ya novel? And what about my request on page #38 plz?!

    ReplyDelete
    Replies
    1. Laaj script based hai & ap ka req novel abhi ni mila

      Delete
    2. Ok thanks. And plz let me know jab mil jaye my requested novel.

      Delete
  16. Can U Upload Mout K Sodagar By Aqleem Aleem Full Episode. Plz

    ReplyDelete
  17. Mujhe aik novel ka naam bta dain ap k blog pe perha tha 2sis hoti hain parents ki death ho chuki hoti hai bari khala ya mamo k saath rehti or choti chacho k saathbari mangni us k chacho k bete se hoti hai phir inkar ho jata hai to mami ya khalo us ka nikkah zabardasti apne bete se kar dete hain jo razi nahi hota phir kuch time k bad us ki bhabhi hero ko ehsaas dilane k liye heroine k saath bura salook karti hai hero kisi dosri city main job karta hai jb wo ye dekhta hai to usse saath ly jata hai end pe hero usse batata hai k wo shoro se hi heroine ko pasand karta hai pr tb hero ka baap usse dantta hai or ye kehta hai hai k ye behan hai tumhari wagaira happy end tha

    ReplyDelete
    Replies
    1. Its Mohabbat Hasil-e-Zeest by Amna Riaz.

      Delete
    2. Muje bhi story interesting lagi to read kara mene bhi but its totally different jo requested novel hai yeh woh ni hai

      Delete
    3. thanks to inform me .me check kerti hon

      Delete
  18. hello nimra h r u? please asy novel btain jin m heroin hero ko gareeb smjy par bad m usy pta chly k hero to boht rich hai. mean end suspense type ho............. please reply zaror krna .. thanks

    ReplyDelete
  19. Salam, nmujhy salman aur purwa wala novel wala chahiye jis me salman police force me hota hai aur purwa criminal ki beti hoti hai uska bap don hota hai wo apni beti ki shadi salman sy kerwata hai salman bhi information leny k liy shadi kerta hai side stories b theen please ye shaid nabeela abrar ya nighat abdulla ka hai I would appreciate agar jaldi response aye thankyou

    ReplyDelete
  20. Aoa
    How r u.
    Pehly b main nay request ki the.lakin aap ny koi response nahe dia :(
    Mujhy Hisab e dil rehny do novel by Nabeela Aziz k novel type koi bhot achy se novel ki list bata dain .main aj kal main hi free hub plz zara jaldi bata dain .aap ki meharbani hoge
    Meeri aur bhi request hain.plz plz agr wo b puri kar dain
    1) story aur character name nahe yaad.
    Story esay hai k heroine ki engagement hero se ho jati hay.hero us k Father k dost ka beta hota hay.heroine k abu bhot conservative family se belong karty hain.hero k ghr ka mahool bhot open hota hay.wo engagement k baad heroine se milny par zor dyta hay .heroine us se nahe milna chati hoti lakin heroine ki maa us k Father ko bina bataye us se milny ki ijazat dy dyti hay.phr wo har dosary din us se milny chala ata hay.heroine k abu ko yeh sab nahe pata hota.aik heroine k abu hero k ghr jaty hain.tu wo hero k room main un ki beti ki wall pay pics dekh k ghusaa karty hain aur engagement tor dyty hain.hero bhot try karta hay lakin wo nahe manty phr hero ki heroine sr shadi tu ho jati hay lakin heroine ka father heroine se kehta hay k ab es ghr k doors us k liya humesha k liya band ho gye hain

    2) yeh story bhot pehly perhi the .story esat hay k hero mazoor hota hay aur wo wheel chair use karta hay.heroine us k ghr kam k liya ati hay.lakin wo males se bhot darti hoti hay.I think us k sath koi mishap hua hota hay.yeh yaad nahe....
    Hero ka bhai b ata hay wo bhot bold hota hay.heroine cute hoti hay tu wo us k sath koi batameezi karny ki kosish b karta hay.lakin hero a kar heroine ko bachata hay.bs mujhy es novel ka yeh dialogue yaad hay k heroine samjhti hay k hero b us ka galat istamal karna chata hay.jab hero ko pata chalta hay tu wo bhot ghussa karta hay .wo heroine se kehta hay k jo insan wheelchair k baghair move b nahe kar sakta wo tumhara kia bighar lay ga....
    Heroine shayd kuch majboori ki waja se b udhr reh rahe hoti hai.HAPPY ending tha.main ny yeh story bhot dhoondi lakin mujhy nahe mili.yeh story main ny I thin 14 or 15 saal pehly perhi the
    Es se b zeyada ild stories k name aap ny bara dia hain plz es ka name b bata dain

    3) aur mujhy plz kuch esay novels ki list b bata dain .jis main hero ki bhot powerful personality ho.heroine cute aur beautiful hho lakin bhot dari sehmi se ho.main nay last pages ki sab stories perh li hain.kuch new bata dain.aur HAPPY ending b hun.
    Plz plz plz meri sab requests puri kar dain

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      check kerty hain
      jo req mil jati hain wo me bta deti hon

      Delete
    2. "Zindagi dhoop tum ghana saya by Farhat Ishtiaq" is matching with ur 3rd request.

      Delete
    3. Farhat ishtiaq ka tu koi novel es name pay nahe hay
      Plz meri request b puri kar dain

      Delete
    4. Kindly second novel ka name bata den mujy b ye chaye

      Delete
  21. Aoa mhjy aik novel ki request karni thi hero ka naam tamoor hota hai WO doctor hota hai heroin bhi doctor hoti hai naam yaad nai hai shyd in k fathers friends hote hain

    ReplyDelete
  22. A.A mjy esy nvls nam batae jis m hero ki shadi kisi r se ho jae heroine hero se lve krti ho r apni feling use na btati ho end m uski shadi hero se ho jae ya use like krne lg jae

    ReplyDelete
  23. AOA nimra mujhy ek novel chahye nam mujhy yaad nhi hain us mein larki ka nam i think zoha hota hai us mein sb czns hoty hain ek ghr mein rahty hain heroine ka bhai thora gusy wala hota hai uski shadi hoti hai un ki ek czn sy jo hamisha usko tang karti rahti hain.. un k ghr mein ek or larki hoti hai woh gao say aaye hoti hai un k ghr mein rahti hai uska nam gori hota hai.. or heroine ko uska ek czn pasnd karta hai. or woh gori k sath time pass karta hai jb heroin ko pata chalta hai to mana kar deti hai. end mein heroin ki shadi apny teacher say hoti hai. plz mujhy iska nam bata dain nimra plzz thanku

    ReplyDelete
  24. A.A mri req ka rply jldi kre plzzzzz nimra hero ki shadi kisi r se ho jae........heroine ki shadi hero se ho jae ya lve krne lg jae

    ReplyDelete
  25. Novel aye ishq hme barbad na kar rida digest ki new episode kyu nhi a rhi??

    ReplyDelete
  26. AOA mhjy ek novel ke bara mein pata karna tha hero ka naam talaal or heroin ka naam rabil that WO aapas mein csn the larki hero ko like karti hai lekin harp kisi or ko like karta hai larki ki shadi kahin or ho rhi hoti ha lekin lekin WO larka his we shadi ho rhi hati ha inkar kar deta hai or phir hero ki shadi us we ho jati happy end tha or hero last mein larki me lye shopping karts ha jis mein wo
    sub much laal rang ka leta hai or larki phir us we larai karti hai

    ReplyDelete
  27. Please upload kharzar novel by abdul rab batti published in jassoossi digest

    ReplyDelete
    Replies
    1. Jasoosi digest ka month & year yad hai?

      Delete
    2. Ye silsalewar long novel that since kind story this.herion ka Nam links tha long novel tha.i think 2004-2006 me tha

      Delete
  28. Hi please upload aitebar e wafa and Sara saien in complete novel form

    ReplyDelete
  29. ASSLAM U ALAIKUM.hina digest auguest kb tk upload ho gi ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      INSHAALLAH enhi 3 ya 4 din m post ho jaey ga

      Delete
  30. Asslam u alaikum plz Koe 2 ya 3 novel bata deny jis men hero handicap ho

    ReplyDelete
  31. AoA is month ka aanchal digest kab upload hoga

    ReplyDelete
  32. A.A nimra mri req ka rply kb mily ga

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      koe specific type novels thy tu INSHAALLAH aj free hoty he bta don ge .

      Delete
  33. AOA
    BAND QUBA KHULNE LAGIE TYP NVL BTA DEIN

    ReplyDelete
  34. aoo. novel nam yad ni heroin hero ko gari sy takr marti hai hero us ko ameer hony k tany deta hai. heroin usy hospital ly k jati hai aur phr gar chor k jati hai roz us ka pta krny b ati hai aur usy pyar ho jata hai hero akela hoa hai . heroin k abu beti k majbor krny pr shadi kr k taulaq tor deta hai aik din hero ka ccedent hota hai aur operation k lie pasy chai hoty han to heroin bap sy is shrt py leti h k wo bad m hero sy talaq ly gi. kuch asa hi novel ha. aur same story jasy novel aur b btain please thanks

    ReplyDelete
  35. 1-Waleed aur zainab wali story post kar dain .zainab waleed ki bewa bhabhi hoti hai.jis se bad main waleed ki shadi ho jati hai


    2-aik aur story thi us main heroien hero k0 waleed chachoo keh k bulati hai jis se bad kain heroien ki shadi ho jati hai

    ReplyDelete
  36. Plz name some novels in which hero weds with his beva bhabi or heroin weds with her late sis's husband. Thanks.

    ReplyDelete
  37. AOA. mjhe aik novel chaiye tha.koi name yaad nahi bus aik scene yaad hai k heroien kitchen main chae bana rahi hoti hai aur YE song ga rahi hoti hai WO ISHQ JO HUM SE ROOTH GIYA hero peeche khara sun raha hota hai.iss baat per heroien khud per baad main ghussa hoti hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. assalamualikum...can u tell me its story please

      Delete
    2. Story yeh hai k bundi apnay cousin se nafrat karti thi kiyoun k woh hur waqt usko trouble mein kar deta tha. Phir larka studies k liye abroad chala jata hai. Larki apnay ko change kar k bohat responsible ho jati hai. Larka wapis ata hai to ghar k baray inki shadi pakki kar detay hein. Acha novel hai. Tottaly worth reading.

      Delete
    3. ohhh...I already read it...THANK U SARAH

      Delete
  38. Ek novel th jisme hero RJ hota h or heroin usko pasand krti h. Jbke usko dekha hua b nahi hota shayd awaz ki vaja se. Heroin hero ki pasand k mutabiq apni wardrobe m Navy blue and white color k ilawa sb nikal deti h. Regular caller hoti h. End m shayd bacha koi hero ko Papa kehtah to heroin shock ho k vahan se chali jati h r accident hojata h.

    ReplyDelete
  39. i want novel on which hum tv drama kathputhli is base
    writer is faiza iftikhar probably
    reply as soon as possible

    ReplyDelete
    Replies
    1. Script based hai & faiza ny Hum & ary dono pr script dea es bar

      Delete
  40. Aoa
    Plzz mja bta dain k drama galti ary pa jo hay wo novel based hai ya nai ?

    ReplyDelete
  41. Aoa

    Plzz mujhy umme maryum subas gul aur sundas jabeen k bhot achy romantic novels ki list bata dain.happy ending b hun.last pages k main perh chuki hun.koi new bata dain
    Plz plz zara jaldi bata dain

    ReplyDelete
  42. AOA
    BAND QUBA KHULNE LAGIE TYP NVL BTA DEIN

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      new tu koe ni hain wohi old hain .dekhti hon aj may be koe new mil jaey

      Delete
  43. AoA,muje eik novel ka name bata de larki ka nam aayna hota hai or larke ka nam shah mir,dono czns hote hai but do o ki aik dosre se nai banti,pir larka out of country chala jata hai,peche aik din larki hospital ja rahe hoti hai or us ka accident ho jata hai jis ki waja se us ki dono tange zaya ho jate hai,pir larka ata hai or us se shadi karta hai happy ending hai plz name bta de is story ka,ye novel ya to shuaa digest ka hai ya khawateen ka hai,plzzz jaldi bataeyega,

    ReplyDelete
  44. A.A Nimra nvls nhi mly kya aap ne kha k fre ho k bataen gi ab tk nhi btaya

    ReplyDelete
  45. hero ka name Ali gardazi aur heorienvname HEER siyal hota hai.donoo quaid e azam university main perty hain

    plz yeh novel doond dyen
    dear nimra thanks

    ReplyDelete
  46. ek novel mae hero ki shaadi heroine se forcefully kra di jati hai woh apne parents ki waja se shaadi krta hai or kisi or larki ko like bhi krta hota hai but phir woh apni biwi ko like krna start ke dena but confess nae kr rha hota tu uske papa hero ko jhoot bolte hain k woh heroine ki shaadi hero k chote bhai se kr rahe hain tu usko divorce deni hogi jis pe hero ko buhat ghussa ata hai or woh larki k ghr ja kr bolta hai k woh yeh kbhi nae kre gy happy ending thi novel ki...

    ReplyDelete
    Replies
    1. Its Humko Hai Teri Nazar Mein Rehna by Maryam Aziz.

      Delete
  47. please asy novel bta dy jis ma herioen mazloon si ho but happy ending ho

    ReplyDelete
  48. yeh request maine fb page pr parhi thi hero heroin ki bhabhi ka bhai hota hai wo heroin ko kafi pasand karta hai kafi romantic novel hai shadi k bad heroin ko ko pata chalta hai k hero ismaglar hai wo us se nafrat karti hai aur sab ko bata ne ka kahti hai tab hero usey us k bhai ki jan lene ki dhamki deta hai.hero kafi romantic hota hai plz agar kisi ko iss novel ka pata hoto guide kare shukriya

    ReplyDelete
  49. A.A mjy nvl k nam btae plzzzzzz hero nam rohan wo bos hota hai uski biwi employ unke bech hr wqt larai hoti hai heroine hero pr shk krti hai k wo kisi m involve hai hero apne dost ki help krta hai jb heroin ko pta chlta hai to wo ana ka problm bata leti hai end pe hero drama krta hai r heroin wapis a jati hai

    ReplyDelete
  50. AOA
    ek stoy thi character ky name madam Afindi
    shaeryar afindi
    saiqa

    ReplyDelete
  51. salam plzz mujhy kuch new ese novel bata dean jis nain hero bigra howa ameerzada ho or larki bohat sweet sy ho.....plzz reply this time...

    ReplyDelete
  52. Salam
    Main ne takreebun 2 saal pahle akhbar e jehan ke 2 novels ki request ki thi jo ap ne pori nai ki thi main ne bhut search ki hai mujhe nai mil rahey yeh novels 1994 se 1996 ke darmiyan publish huey the aik novel main thar ki LarkI hoti hai love story thi.or dosra novel hero heroine se deal pe marriage karta hai ke us ki mother ke samne show kare ke woh marriad hain to badly main woh us ki sister ka ilaj Karadega jo ke beMar thi.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      Akhbar e jhan k novel ni milty q k wo available ni hoty.hum phr bhi ik bar phr koshesh kerty hain ;

      Delete
    2. Oh thx alot dosra novel wohi hai jo mujhe chahye tha so sweet of u.please please pahle wala novel bhi search Kur dein us ki story main Larka bhut rich hota hai or LarkI thar se ATI hai us ka end is Tarah hota hai ke Larki wapis apne Gaon chali Jati hai us ki shadi hoti hai us ko Pata nai hota us ki shadi hero se hui hai woh juggi main bethi hoti hai to us ka husband us ke pass ata hai to use Pata Chalta hai ke us ki shadi hero se hui hai.

      Delete
  53. Aslam rahi novel MUNIRA chahiay

    ReplyDelete
  54. salam
    plz suggest me some novels like sans sarak aur sakoot by Naila Tariq.
    Thanks in adv.

    ReplyDelete
  55. Assalamo Alaikum, Mujhe ek novel ki talaash hai. Unfortunately mujhe siwai us ke chand scenes ke or kuch yaad nahi. Is kahani ke markazi kirdaar apas mein cousins hote hain or shayad unki mangni ya nikah hochuka hota hai. Heroine hero ko itna pasand nahi karti, shayad uski sakht mizaji ki waja se. Heroine ki ek dost hoti hai, jiska naam, ghaliban, Sanober hota hai, wo bohat liberal (azaad khayal) or bebaak qism ki hoti hai or heroine par uski buri sohbat ka thora asar bhi hota hai. Sanober hero ko pasand karti hai, or usay seduce karne ki koshish karti hai, magar wo uske advances ko reject kardeta hai. Sanober ka ek cousin hota hai, Jo bohat buray character ka hota hai or jis ke saath Sanober ghalat relation rakhti hai. Wo cousin heroine par buri nazar rakhta hai. Sanober cousin ke saath milkar, heroine ko phansa kar bewaqoof banati hai. Wo cousin usay ek jaga (shyed kisi club mein) bulate hain jahan wo uski izzat par haath daalna chahta hai. Magar hero usay bachaleta hai. Ek scene mein raat ke waqt hero heroine ko chatt par sakhti se daant raha hota hai. Ending happy hoti hai. P.S: Hosakta hai manfi kirdaar wali larki ka naam Sanober na ho! Buray cousin ka naam shyed Jahanzaib tha.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Check this aitbar ka mausam by waryal khan

      Delete
  56. Aoa
    Arzo nikhar gye by asia saleem qurashi ka novel us k page theek terha se clear nahe hain.koi sahi aur clear pages wala yeh novel upload hay
    Plz reply kar k jaldi bata dain

    ReplyDelete
  57. request for novels in which heroine is boss of hero..plzzzzz

    ReplyDelete
    Replies
    1. check kerti hon esy novels jis m herion boss ho

      Delete
  58. salam api kesi ho ap api mujhe dilon ka Milan type ki stories bata dain please ya phir tum akhri Jazeera ho main hero 'jehan' type ho aisi stories bata dain please please apiiii

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      ap Qamrosh k sub novels read kren ik jesy hain & Jehan jesy novel me dekhti hon

      Delete
  59. AOA mujhe ik novel chaye us ka nam bhol gia hay qmrosh ashok ka hay rida digest main publish hoa tha characters ka nam hamud salar aur montaha larki ka nam hay dosra couple mehrib aur larki ka nam mujhe yad nahi plzzz is novel ka nam bta dain

    ReplyDelete
    Replies
    1. Qamrosh ka nahi Shazia Mustafa ka novel hai. Naam yad nahi just Google it.

      Delete
    2. main ne kafi try kia ha par mujhe nahi mil raha plzz ap log kosish kray na

      Delete
  60. band quba typ nvl plz

    ReplyDelete
  61. i want to knw the novel name in which heroine act kay us kay ander bhoot agaya hai i dnt the the writer and novel name

    ReplyDelete
    Replies
    1. check kerti hon .ap ko digest yad hai?

      Delete
    2. nahi yad digest bhi

      Delete
    3. main guman nahi yaqeen hon by nabila abar raja

      Delete
    4. plz can u tell me about this story

      Delete
  62. Please mjhe isse novels bta den jis mae hero ghalt activites mae involve ho but shaadi heroine se marzi se kre or larki ko uski asliyat shaadi k bd mae pta chale..koi bhi story jo isse resemble krti ho!

    ReplyDelete
  63. Assalam o alaikum
    How r u ?
    Plz meri b request koi puri kar dy
    1) story thori se yaad hay .hero name raazi hota hay.heroine name nahe yaad.hero professor hota hay.wesy tu in ki married life normal hoti hai.hero bhot nice hota hay lakin wo apni family barhny k bary main nahe sochta.heroine b es pay compromise kr layti hay .apny aap ko busy karny k liya agay university main admission lay layti hai.wahan aik larka us ko.pasand karny lag jata hay .us ko nahe pata hota k wo married hay.aik din wo us k ghr jata hay tu pata chalta hay k us k teacher ki wife hay yeh.pehly tu use shock lagta hay .phr wo larka khush hota hai k itni nice larki k liya es k teacher jesa hi life partner hona chahiya.
    Phr story kuch esay agay jati hay k sab larki se kehty hain shayad k tum apni family barhao.esay life nahe spend hoti...etc etc.
    Phr heroine hero pay zara zara si bat pay larny lag jati hoti hay .phr wo apny parents k ghr a jati hay aur khula k papers bhej dyti hay.hero ko bhot dukh hota hay.phr end itna yaad hay k hero un papers pay signs karny lagta hay .lakin wo phr chair pay baith jata hay bilkul sakin.udhr heroine ko ghabrahat hony lagti hay wo foran hero k ghr ati hay aur us ky pass jati hay wo bilkul sakin baitha hota hay hath main papers hoty hain khula k wo samjhti hay k hero ny papers pay signs kar dia hay aur hero ko b kuch ho gya hay wo rony lag jati hay.hero ko aik dum hosh ata hay tu usay batata hay k abhi us ny signs nahe kiya.happy ending tha
    2)yeh story bhot zeyada old hay ye 90s k kisi digest main I the .heroine name I think zara hota hay.aur hero name confirm nahe I think faraz hota hay.yeh dono cousins hoty hain.hero heroine k har mamlay main us pay apna faisla dyta hota hay.chahay wo school ho ya college ya subjects konsay rakhny hain.etc etc.heroine in chezoun se bhot cherti hay.wo sochti hay k us ki zindagi k hr kam main apba faisla zaror wo musalat karta hay.university main aik larka us ko pasand karta hay .shayd wo koi wadera type hota hay.hero us ko rokta hay k es se shadi na karay lakin heroine kuch zid main aur kuch wo us larky ko pasand b karny lagti hay.wo hero ko naraz kr k shadi kar layti hai.heroine ko shadi k baaf bhot problems face karni parti hain.hero kisi dosary country chala jata hay.heroine ko divorce ho jati hay .us k baqi sab cousins ki b shadiyun ho jati hain.
    Last ka aik scene mujhy abhi b yaad hay k 20 or 21 oct hoti hay wo apni maa k sath ghr main alone hoti hay aur bhot udas hoti hay usay hero.bhot yaad ata hay .q k hero nay kaha hota hay k 21 oct ko us ki shadi hay wahan hi jis country main wo rehta hay.Autumn season hota hay .aik dam bahir bell bajti hay bahir jati hay tu hero samny khara hota hay.happy ending the yeh story
    Plz in stories k name bata dain .koi aur hi bata day

    ReplyDelete
  64. looking for a novel, start kuch aisa hota hai, When a girl woke up she saw her husband who left her few years a go and she had one son too. Then story is goes on like how he tried to reconcile....

    ReplyDelete
  65. Salam,
    ye mery frst reqst hai i hope pory ho gi. mene kafi arsa pehle eik novel para tha lekin na to hero herion aur na hi writer ka name pata hai bas thry stry yad hai ke shayed larke ki shadi zbdast eik larki se hoty hai jo i think us ki czn thi .larke ka bap zabrdaty shadi karwata hai shayed. eik scene hai jis me larka ya uska bap apne ap ko marna chahte hai pistal se lwkin larki achank bich me akar kehty hai ke ye msla mery waja se hai aap dono mat larain me hud ko hatam kar lety hun.
    Bas itna hi yad hai . plzz koi help kar de.Thank u.

    ReplyDelete
  66. main nay ik novel kafi arse pehle parha tha hero ka name shayad mushif hota hay aur heroine ka name eman ya ujala hota hay hero apni nano k pas rehta hay heroine family problems ki waja se ghar se bhaghti hay aur hero k ghar gus jate hay hero se reqset karti hay ik rat rehny ki us waqat us ki nano ghar may nahi hoti larki us ki nano ki factory main kam b karti hay ye kiran digest main publish hoa tha plzzzz is ka name bta dan

    ReplyDelete
  67. api main qamrosh ashok or qamrosh shehk k sub novels perh chuki hun koi or novels bata dain or jehan type novels ka bhi ap nay nai bataya..novels ka link day dain

    ReplyDelete
  68. Asalamualiakum mjhy 1 story ka link chaheye us me heroine ki shadi hone wale hai n us ki Frnd us ka mind khrab kr dety hai or hero ko call krwa dety hai k wo shadi se mana kr de hero mna nai krta shadi k bad bhi dono k bech misunderstanding rhty hai hero ko heroine ki frnd ki asliat pta chl jaty hai end me heroine frnd ko ph krty hai to wo btaty hai k wo apne shohar k mutabiq zindagi gazar rai hai heroine ko gussa ata hai hero a jata hai n sari baten sun leta hai frnd ko khub baten sunata hai happy ending thy

    ReplyDelete
  69. Salam
    Plz nimra ap meri akhri umeed hain main pakistan main nai hoon yahan bahar purane akhbar e jehan nai mil sakte Plz Plz jis Tarah ap ne aik novel dhoondha haI dosra bhi dhoondh dein ho Sakta hai yeh bhi kisi book form main Agaya ho kafi search Kia hai main ne to kuch hints mile hain Jaise ke shayad novel ka name dasht e junoon tha ho sakta hai bad me novel ka namchange ho gaya ho publishing ke time Plz Plz pizzzzz mana mut kijyega.

    ReplyDelete
  70. Mien phir se apni request repeat kr rhi hun muje maryam aziz ka novel hum ko hai teri nazar mien rehna se related novels k link de dein plzzzzzzzzzzzzzzzzzz

    ReplyDelete
  71. kindly tell me the name of novel in which hero name is shariq he is very flirty man his friend name is raheel his ex wife name is nazia who cheated him and got married with his brother in law
    heroine name is larib who is from middle class

    ReplyDelete
  72. salam i wanna khow the novel in which heros marries to his boss elder daughter bt she didn't adjust wd him as hero is a middle class .she is not happy ed him nd dies duting delivery .hero now marries the younger sis of his wife ..there is happy ending..plz give d name of this novel i have been searching it for very long time ..thanks

    ReplyDelete
  73. Please koi aise happy ending novel suggest Kar dain jis k end main hero heroine k bache hone

    ReplyDelete
  74. ma aik novel parha tha jis ka naam mujh malom nhi par character yad ha story ase shuru hote ha k horoin apni friend ke sath college ma hote ha our waha barish us ke glasses ko gela kar date ho to wo apnifriend ko kahte ha k mere anso bah rahe ha phir wo he friend jis ka nam sara hota ha heroin ko apni bhai jis ka nam shayan hota ha milate ha heroin ka nam rushane hota ha phir heroin ke shadi hero se ho jate ha par horo apni sister sara ka badla lete ha kyu k heroin ka bhai sara ke character k bari ma kechar dalta ha hero heroin ko shadi ke rat boht marta ha aur heroin ka bhai sara ko dhondta ha k wo sara se mafi mangi plz ya novel mujh chahya

    ReplyDelete
  75. dont know the name of story and year but anchal digest ma aye ti..... heroin uni ma badtamezi karne per aik larke ko zakhmi karleti he,,hero police ma hota he wo us larki ke character se satisfied nahi hota but kisi tara unki shadi hojati he kionke larki prb ma hoti he..shadi ki rat hero heroin ke chehre pe polish laga leta he and bht marta he aur uski body ko dosre sheher lejata he aur apni cozin doctor se ilaj karwata he.....hero ki koi past story b hoti he jis ma uski aik psycho couzin usse pasand krti he but hero usse reject karleta he to wo psycho couzin usse baddua deti he ke na tum kabhi sukun se rahoge na usse rehne do ge jisse tum kbhi mihabat karo ge aur khudkushi kar leti he...end is gud plz dhund dijiye

    ReplyDelete
  76. Aimen aur asjad ki story post kar dain plz.aimen asjad k ghar main rehti hai apni khala k pas asjad aur aimen mangetar hain aimen ki dost abeer ko ashad pasand ajata hai asjad b aimen se shadi sw inkar krk abeer ki taraf ho jata hai aik puppy b hai story main jo abeer aimen ko gift karti hai

    ReplyDelete
  77. Aoa muje aik novel chahiye yahin parha tha isi site se nam yad nahi character names bhi yad nahi heroien apnay parents ki ikloti beti hai jo apni khala k betey ko pasand karti hai woh b isko pasand karta hai dono ain bohat dosti hoti hai sath sath gharon main rehtay hain matlab neigbours b hotay hain.hero ka bara bhai shaid asad nam hota hai foreign se ata hai tousko heroien pasand ajati hai woh parents ko rishta le janay ka kehta hai.hero dermyannse hatt jata hai per gum sum.ho jata hai bilkul.per usk bhai ko pata chal jata hai ye dono aik dosrY ko like kertay thy woh bohat gussay hota hai ayr hero heroien ki shadi ya mangni kerwaata hai

    ReplyDelete
  78. Aoa..! kindly,following categories k nvlzz suggest kr dein..
    1) aisy nvlzz jin mein household mein just male members rhty hon..for example..saans sarak sakoot(naila tariq)
    2) aisy nvlzz jin mein hero,heroine se shadi krly,but hero k ghr waly heroine ko accept na karain,n ussy bura behave karain..for example..bedagh(nabila aziz)
    Thanks.. :)

    ReplyDelete
  79. Salaam. Drama "Be Aib" writer Qaisra Hayat is script based or its a novel?!

    ReplyDelete

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...