Asslam o alekum friends and members
ap sb se guzarash hay k apni request k bare me best info like novel name, author name, jis digest me novel publish hoa us ka name , month and year, and agr ap ko us novel ki story ya main charecters yad hen to woh btaen ta k ap ka matlooba novel talash krne me asani ho and apni request k poora hone ka sabar se intizar kren k kbi kbi koi novel available ni hota ya us novel k bare me kuch pata ni hota is leay us request me der b ho sakti hay. Meri poori koshish hoti hay k ap ki request jald se jald poori ho sake. baqi sb members se b meri guzarash hay k agr ap koi req dekhen or ap ko us novel ka pata ho to kindly us req pr reply zaroor kren.
Request karne wale members se guzarash hay k
- Request krte hoey sath me apna name zaroor mention kren ta k next time jb ap us req k bare me poochen to hum ko pata ho k ap kis req k bare me pata kr rahe hen.
- Apna email id sath me mention kren ta k bad me ap ko link send kia ja sake.
agr ap ko kahen ksi qisam ki problem ho to ap mujhe mail kr sakte hen
aatish2kx@gmail.com
aatish2kx@gmail.com
ya face book pr mujhe contect kr sakte hen
https://www.facebook.com/aatish2k11 ( IMRAN ALI )
Ap apni request hmare facebook ke page pr b send kr sakte hen
ap sb ke tahawan ka boht shukria.
Ap ka bhai IMRAN ALI
Salam,,mujhe novel chaye kiran ya khawateen meun aya tha month aur year yad nhi......story ye hay hay joint family hoti hay bauht sare cozn hote hein........hero aur heroin bhi cozn hote hein laikin hero ,,heroin ko bilkul pasand nhi kerta ussay ignore kerta hay baqi sab cozn k sath acha hota hay.....laikin wo bhi heroin ko pasand kerta hay show nhi kerta ......story shuru is say hoti hay hero forein country mein rehta hay .....aur aik dailog yad hay ....he said ....wo dushman bhi hay aur dushman e jaan bhi.....heeo apni pasand ki dosri larki se shadi kerta hay .....aur heroin ki hhi kahein aur sshadi horahi hoti hay.......laikin kuch problm hoti hay aur hero second marig heroin sw kerta hay ......unki sahyad baby bhi hoti .....uswaqt hero apni first wifw ko yaad keeta hay......happy ending hoti hay.......plzzzzzz find it.......plzzzzzz...plzzzz
ReplyDeleteNafraton se udhar novel by Mehwish Iftikhar
DeletePlx koi jannat k patty jasa novel ba ta din ya koi aur romantic navel aur novel lamba ho 500 page tak iffat seher mariam aziz umera ah mad riff at siraj ka na ho nabila aziz nabila abrar ko bhi na ho un k mai par chili ho
ReplyDeleteshehr e charah garan by sadia amal
DeleteTeri chah main by rizwana prince
Choona nahi by shaheena chnda mehtab
Koi aisa novel btain jis main...hero heroin bachpan se 1 dosry ko pasand krty hon...phr hero abroad chala jaye or wapis aa kr heroin se shaadi kary...happy ending wala or long ho plz plz...bundle of thanx in advance....
ReplyDeleteKajal say khafa ankhain by fozia ghazal
DeleteDo qadam ka fasla tha by Marriam sajjid
Baharain lout ayi hn by Effat sehar
salam.. mujhe ai nvl chahiye nam yad nhe but story thori yad h k heroin ka fiancy bom blast mai mar jata h or heroin pagal ho jati h lekn phr us ishadi hoti h jis k sath shadi hoti h wobhi aik bachi ka baap hota hyplzzz nvl name bta dy
ReplyDeleteTere asman taley by Nazia kanwal nazi
DeleteAny funny novel ...???
ReplyDeleteKuch hat keh novel by Bushra Gondal
DeleteDil se dil tak by Bushra Ahmed .
Mujhe kundan kar do by Effat Sehar Pasha .
Plz.. mujhe vo novel bta day jis may hero heroin ko us ke engagement walay din ghar walon ko nakli nikkah Nama dekha kar kidnap kar leta hai heroin ke mother abroad may hoti hain us ke mother ke second marriage hoti hai heroin apnay mamo kay ghar rehti hoti hai pakistan may aur us ke engagemnt mamo kay bety kay sath ho re hoti hai vo us ke czn bhe hoti hai us say badla lenay kay liye nikkah karta hai
ReplyDeleteTeri dastaras mein darman by Mehwish Iftikhar
Deleteraqas e bisml or tm akhri jazeera ho ki jan ki epi ka lnk de den
ReplyDelete2nu epiz aik 2 din tk post ho jayen gi inshallah
Deletemujhey ik novel chahiye jis main hero mazoor ho jata ha us ki fiance us ko chr kar chali jati ha bad main us ki shadi heroine se ho jati ha heroine uss ka bohat khayal rakhti ha end main hero theek ho jata
ReplyDeletemohabbat rang badalti hai by syeda shabana sardar
DeleteMujhe ik novel chahiye jis main heroine ka name hiba hota ha woh hero ki cousin hoti ha lekin wo use PAsand nahi us ke father ki dosari wife ki beti hoti ha end main us ko pta chala hata ha or wo ghar chor kar chali jati ha end happy ha
ReplyDeletehero name yd h to btyen nd kis digest ki stry ha ?
Deletehina or hero ka shariq
Deleteplz suggest me some novels .hero army m ho or novel romantic bhi ho
ReplyDeleteGulab sary kaghazi by Rizwana Aftab
DeleteHilal e jurat novel by Umaira Ahmed.
Qayamat ki sehar hony tak by Jahana Aftab
Ajab hain silsilay wafa kay by Fozia Ghazal.
qanita rabia ka ik novel hai jub subah roshan huen .shyed agr me ghlat ni keh rahi us ka link upload kr den plz
ReplyDeleteJab subhen roshan hoen by Qanta Rabia
DeleteAoA plz iss novel kay parts 9,10 bhi post karein thnx Sarab by Kashif Zubair
ReplyDeletejaldi he INSHALLAH next parts b post ho jaen ge plz wait and keep visiting
DeleteSarab novel by Kashif Zubair Part 9
DeleteI want a novel. Is mai 4 sisters hoti hain. Sufia, fareeha, rabia, fouzia. Rabia n fareeha doctor hoti hain. Fareeha jahan job karti hai udhar aik senior doctor uske peecha para hota hai is doctor ka character acha nai hota. Unki mother ki death hogai hoti hai or father unki shaadiyaan nai kar rahe hotay. Fareeha baghawat kar k rabia ki shadi karwane ki tiyari karti hai. Unk abu bht naraaz hotay hain. Bus itna hi parha tha. Plz bata dain ye konsa novel hai
ReplyDeletePlz suggest some romantic novels in which hero is rude but very possessive abt heroine. No cousins story plz. Thank u
ReplyDeleteWoh yaqeen ka ik nea safar novel by Farhat Ishtiaq
DeleteMein mohabbat aur tum novel by Shazia Mustafa
Khula dar mohabbat ka by Noreen Hanif.
Thanx a lot. But i have already read these novels. Can you please suggest some others?
DeleteSalam,
ReplyDeleteMjy novel suggest kr dein jis mai heroine ki shadi us k teacher se ho. Kuch isi type k romantic se or story mai after marriage scene bi ho. Thabks :)
sub requirments ek sath to mushkil hain .ap ye read kr len
DeleteRahat e dil hay tu novel by Nabila Aziz.
Teri justujoo mein nikhar gaey novel by Huma Amir
Teri ulfat mein sanam by Rubina Nadim.
Qafley rah bhool jatey hen novel by Sundas Jabeen.
A.o.A
ReplyDeletezara n nimra
plz mujhy lengthy romantic novels bta den...story bohat achi ho..or or...
dar e dil..main muhabbat or tum..kbi ishq ho to pta chalay...mohabbat dil pe dastak..is k ilawa..ye parh chuki hn main
aey shama koye jana by ushna kosar
Deleteik diya jalye rakhna by maha malik
mohabbat khawab e safar by rukhsna nigar
Or btayn plz..
ReplyDeleteplzzz...kuch aise novals btain jo boht funny hoon aur romantic bhi...jin ko parh ka mood fresh ho jai
ReplyDeletesun aey sajni by memona khursheed
Deletemah e tamam by amna riaz
deep dil k jaly by rashida riffat
thank you thank you so much
DeleteZara khan !!!
DeleteNovel yd nhi hn PR character name yd hn ... Zaly , jalal , khurram , China
Some sort of fun and love also
Dil ki chokhat per novel chaya complete kindlyy :(
ReplyDeleteDil ki chokhat par by Salma Kanwal to available hai but Memona khursheed nahi hai.q k us k ik digest missing hai
DeleteDil ki chokhat par novel by Salma Kanwal
please "yey chaahatein yey shiddatein" type k koi novels bata dein. jinmey heroine age main choti hou hero se.. and romantic novel ho.
DeleteA.O.A i need a novel naam yad nai na hi writer name jst story yad ha ....... hero ar herione ik dosre k neighbours hte ha herione hero ko pyar karti ha bt us ko pata chalta ha k hero ki kahi ar shadi ho rahi ha ar use uske functins attend karne parte ha hero us ko apni friend smjta ha shadi k bd hero ki apni wife k sath jaghre wegaira hte ha ar herione ko us ka uni fellow pasand kar leta ha ar us k ghar rishta bejhta ha i think us ka naam shayan hta ha may be tb hero start feeling that he love heroine ar wo us k nikal wale din kisi hotel me chala jata ha ta k use face na karna pare ..... herione hero ko bulane ki koshish karti ar shayan k sath tym spend karti shayan ne may be bhair jana hta us ki rukshati k kuch din pehle shayan heroine ko talaq de deta widout any reason ar udar hero bhi apni wife ko divorce kar deta at end yeh pata chalta k shayan ki reports apne dost ko khoon dete waqt misplace ho jati ar dr use cancer may be ya hiv diagnose karte so wo safty purpse k liye divorce deta bt bd me pata chalta k yeh sb galti se hota wo heroine se mafi mangta at the end hero ar heroine mil jate ha end k scene me may bhi herione hero k room me jati ar uski cheeze dekhti bcuz she think hero left the country happy ending ha plzzz agar kisi ko pata ha to novel bt dai kindlyyyy
ReplyDeleteMain teri jogan by Hina Malik .
DeleteMujhY koi hawaliaon or waderoon type ka novel chahiye but nabeela aziz aur fil fiya dehleez ke ilawa
ReplyDeleteSorry dil diya dehleez likhna tha
Delete
DeleteDil phoolon ki basti by Nighat Abdullah complete
Shehr e yaran novel by Riffat Siraj.
Shehr e dil ke darwaze novel by Shazia Chaudhary
ab to krden post raqas e bisml or tm akhri jazeera ho ki janki epi plz
ReplyDeleteINSHAALLAH aj digest post huey to epi bhi 1 ya 2 din m kr den gay
DeleteTum akhri jazeera ho by ume maryam
DeleteA.o.A
ReplyDeletemjhy czns..or uni life novels bta den..
End acha ho..or lengthy ho..
Uni life waly novel oper post se dekh len & ye czn waly novels hain
DeleteChahat dil ki chahat novel by Shazia Mustafa
Yeh chahaten yeh shidaten novel by Sumera Shareef Toor
Dasht e aarzu novel by Iqra Sagheer Ahmed
Baharon ke sang sang novel by Iqra Sageer Ahmed
Ek novel chahiye jo kiran me post hua tha
ReplyDeletehero name abbas haider tha and heroine areeba
in k beech koi misunderstanding hojati hai heroine ki maa ki waja se
unka beta b hota hai salman haider
Kaisy kahon apny jiya ki novel by Umme Maryam.
DeleteI want a novel. Is mai 4 sisters hoti hain. Sufia, fareeha, rabia, fouzia. Rabia n fareeha doctor hoti hain. Fareeha jahan job karti hai udhar aik senior doctor uske peecha para hota hai is doctor ka character acha nai hota. Unki mother ki death hogai hoti hai or father unki shaadiyaan nai kar rahe hotay. Fareeha baghawat kar k rabia ki shadi karwane ki tiyari karti hai. Unk abu bht naraaz hotay hain. Bus itna hi parha tha. Plz bata dain ye konsa novel hai.
ReplyDeletePlz is novel.k baray mai b kuch bata dain.
Ap k req abhi guess ni hue .jesy he milti hai link dey den gay
Deletemuje kuch aise novels ke name bata dain jis me larki ki shadi zabardasty ghar wale kar dain aur larki apne ghar walon ka baikat kar de but end thik ho .ye novels me par chuki hun
ReplyDeletena barat beniazi
tery rah guzar ki musafrain
piya ka ghr piyara lagy by syeda tehmina
Deleteaur mousam gushgawar ho gya by subas gull
main hari piya by nayab jelani
Salam,
ReplyDeleteMjy kuch ase novel bata dein jo novel "main hari piya by nayb jilani" se similar hoon ya phr koi ase Novel bata dein jis mai hero "murtaza haider" jsa romantic ho. Thanks in advance
mohabbat ki dhanak orh kar
Deletechalo chahat nibhayen hum
gongay dukh by iqbal bano
Murtaza haider wala novel kon sa hai
DeleteMain hari piya by nayab jelani
DeleteDhundlake chatt gaye by iffat sehar pasha jaisay novels suggest kar dain please.
ReplyDeleteye qareenay ehl e mohabbat kay
Deletekoi lamha khawab nahi hota
dil kay mousam
Pllzzzz shafaq iftikhar ka dareech e mohabbat complete upload kerdain
ReplyDeleteNext epi INSHAALLAH march m post ho ge.
DeleteMujhe aik story chahiye...naam yaad nhi...heroine do behnain hoti hai...jis mein heroine barhi hoti hai aur bht ziddi hoti hai...jo cheez pasand aati hai...ussay hasil kr k rehti hai...hero uss ka czn hota hai aur financially heroine se kam hota hai...woh heroine ki choti behan ko lyk kiya krta hai...magr heroine hero ko lyk kiya krti hai aur zid mein aa k uss se shadi kr laiti hai...hero shadi k baad uss se distant rehta hai...heroine uss ko degrade krnay k liye uss pe medically unfit honay ka ilzaam lagati hai...jo hero sun leta hai...phr woh uss pe ghussay mein aa k bht zulm krta hai...magr heroine sahi ho jati hai baad mein...kafi dair baad hero ko realize hota hai k uss ne uss k sth bht ghalat kiya hai...last scene mein hero heroine ko airport se lanay jata hai...aur unn k twin babies bhi hotay hain...heroine ki choti behn ki bhi shadi ho jati hai...happy ending hai...
ReplyDeleteCheck this
DeleteShahkar by Riffat Siraj
Nhi...yeh nhi hai...
Deleteap thora wait karen jesy hi koi clue mila post o jaega.
DeleteOhh sorry... Yehi novel hai. Thank u so much :)
Deletekuch khoon baha waly novels bta dein jo long hon ...........achy achy plzzz jaldi bta dein
ReplyDeletechand gaghan or chndni by iqra sagher
Deleteeid subh e umed by shaheen sajid
pehla pathar by iqbal bano
plz neechay wali dou novels k mediafire links sae kar dein. eid e suba aur pehla pathar k
Deletemedia add ho gya ha chk kr lain
Deletedosra upr sy lain link
DeletePehla pathar by iqbal bano
Mujhe koi aise novel bata dien jis mein hero herione ghar se bhag ke shadi karte hain or phir unko bhout difficulties hoti hain thora long ho but no happy ending
ReplyDeleteaisa to aik hi yaad ha
Deleteik meri chahat thi by lubna jadoon
Mujhe koi aise novel bata dien jis mein heroine ko apni shakal ko lekar complex ho
ReplyDeletehum apni tarz k jogi hain by aliya hira
Deletejaan e jaan by iqra sagher ahmed
teri berukhi k daiyar mn by seema munaf
Thank you very much sare novels bhout ache hain
DeleteAoa plz mjhe aik novl bta dein.. story us ki yun thi k hero kafi bhno aklota bhai hota hai or sb ka bht ladla hota hai us ki engagement us ki chacha ki beti heroine se hoti hai mgr heroine use blkl pasnd nahi krti woh apne dosre taya k bete or tai ki baton me a jati hai hero larki ki uni me comp ka professr bhi hota hai ... us k scnd taya k bete ja nam rafey hota hai or woh use kdnap bhi krne ki koshish krta hai ... heroine ka trp jata hai tu hero bhi sth jata hai raste me kch lg un ki bs pe hotng krte hain..... hero ka nam umer tha or heroine ka yd nahi
ReplyDeletetum sang naina lagy by farhana naz malik
Deletedareechae mohabbat ki feb ki episode ka link de dain plzzzzzz
ReplyDeletewo march mn post hogi ab
Deleteplz upload frhna naz novel list
ReplyDeleteEs link m sub novel hain .
DeleteFarhana Naz Malik
Mjhe aik novl chahiye.... hera ka nam taimoor hota hai or us ki wife us ki shayd czn hoti hai...un k do bache hote hain..... hero kisi bt pe heroin se naraz ho jata hai but happy ending hoti hai....
ReplyDeleteAp kindly digest name and year mention kar den ya phir story thori aur bataen ta k novel talash karny me asani ho.
DeleteSorry bt digest name or year tu yd nahi hai...mgr woh lrki us se is liye shadi krti hai k larke ka joint family systm hota hai or woh shuru se akeli rahi hotti hai....or shayd us lrki ki mothr or dad ne umarah ya haj krne jana hota hai eid k bd woh hero use zbrdasti apne sth gaown le jata hai
DeleteI think it's umme maryam's novel.
DeleteSalam i want a novel, jis m heroin ka name shareen hota hai who 4 sis hoty hain tamkeen sharmeen mehreen unki amma bohat taiz or ladaka hoty hain who betiyon ko tab hi susral bhejty hain jab unk husband wahan hoty hain, sharmeen ki shadhi dawood se hoty hai jo navy m hota hai khawateen m tha late 90s m as fa i remeber main churiya ture angan ki tha name
ReplyDeleteHellloooo
Deleteold nvl ha abi tk nai mla jaisy hi mlta h bta daity hn
Deleteabhi tak nahi milla?
DeleteKab tak mill jaye ga :-(
Deleteakela novel by amna iqbal ahmed need this novel
ReplyDeleteye abi available nai ha jaisyhi hva post ho jaye ga
Deletewa!tng :(
Deleteplz suggeat me novels like kala gulab
ReplyDeleteEs kar e junoon mein novel by Sundas Jabeen.
DeleteTeri ulfat mein sanam by Rubina Nadim.
Teri justujoo mein nikhar gaey novel by Huma Amir
Main hari piya novel by Nayab Jelani.
me ye par chuki hun plz suggest some others
Deletees page pe aur bhi bhot se novel mention hain ap un main se parh len.
Deletesalam! kindly mujhe long romentic novel bta dein jis main hero heroin main khandani dushmani ho but purani ho cz new sb main parh chuki hu or dil pholoon ki basti n chand gagan or chandni k elawa ho plz 5,6 suggest kr dejiye ga ...... i m waiting
ReplyDeleteAp yeh novel parh len pehly. Bahd me hum ap ko aur b novel suggest karen gy.
DeleteChehron kay aieny by Nayab Jelani
Rasam by Nabeela Aziz
Bisat e dil bhi ajeeb shey hai by Afshan Afridi
thanx ...........but maine ye bhi parhy huey hain :( 2000 say pehly koi suggest kr dein kindly.....
Deleteap thora wait karen main ap ko search kar k or bi novels baya don ga.
Deletekindly upload riztaon ka mousam, i forget k writer name :-(
ReplyDeleteRiazaton ka mousam novel by Zumar Naeem
Deletei read a love story that is ik middle class gal hoti hy.wo university ki student hoti hy,wo uni k function my perform karti hy,ik larka us ki pic ly lyta hy......boy rich hota hy us k parents k pass us k liye time ni hota..boy gal ko ander he ander pyar karny lagta hy,ik bar uni my bat karta hy tu gal avoid karti hy..wo apny dost k sath mil kar gal ko uttha ly ta hy or gal bolti hy me is nikkah ko ni manti me talak ly kar rahon gi....bahar sy boy k papa bi atay hy us ki is harkat k bad or gal ko agree karny....
ReplyDeleteJesy hi apki story ka koi clue milta hai hum ap ko bata dengy
Deletebhai kuch pta chala iss novel ka .........................?
DeleteWaiting
DeleteHi I read a novel in a digest can u please tell the name and year of the digest...... the story goes like
ReplyDeleteThe main lead(girl) is a teacher and goes on a school trip with her students during the trip their bus is hijacked and the girl and a student is kidnapped the heroine escapes and meets a police officer in the jungle ........ cant remember rest of the story but the teacher and police officer get married I guess but it is a happy ending.
if someone can help me with the story will be grateful :)
It's maryam aziz's novel.hero is daud and heroine is zainab I think.
Deletetum sang mehkny lagy rasty by mariam aziz
DeleteThanks for ur help
Deletecan u suggest some other stories of the same plot where the main lead(male) is a dominant possessive type of character and the main lead is the same as the one in this story
upr pg pe chk krain aisy nvlz dye hvy hn
DeleteSalam plz mjhe yeh bta dein k bedaag novel ks mnth or digest me publish hua tha
ReplyDeleteapko search kr k bta daity hn
DeleteBedaagh novel by Nabila Aziz Kiran Digest me publish hua tha
DeletePlz mnth bta dein
Deleteaik 2 din tk apko bta dain gy keep visiting :)
DeleteEk jovel tha jsme heroin hero ko jo k uska husbamlnd h uske free hone p uspe hath uthati h uska nam bata den
ReplyDeleteAJ
story to share krain kch or character names yd h to btyen
DeleteIsme herpin ki dusri shadi thi apne husband k bhai se, or is scene m vo kitchen m khari chae bana rahi hoti h hero ata h usk paas to vo ghabra jati h or usko thappar mar deti h, marne k baad usy andaza hota h usne kia koiya h vo usse maafi mangti h, hero end m usy maaf krdeta h
Deletemohabbat ka sukhan by amna riaz
Deletemujhe chahat e dil ha tu or main muhabbat aur tum ka thora brief den dan k ye kis chez se interlink ha
ReplyDeleterahat e dil ha tu ka poch ri hn ap ?
Deletemain mohabbat or tm aik sy zda writerz ny likha h ic name sy
writer name mention kr dain
shazia mustafa ka ha dono
Deleteshazia ka chahat dil ki chahat k nam se sy ha nvl jo ap bta ri hn us sy nai ha
Delete(2nd nvl ) ic mn aik hero herion k father k pas job krta ha she likes her but hero response ni krta although he likes her too end mn thk ho jta h
2nd hero herion are married family clashes ki wja sy dnu ko prblmz hoti hn.herion ki sis ko hero ka bhai like krta ha or shaki krta ha zabrdasti happy ending
Aoa mughy aik novel chaiza story kuch yun hai ky larki ki mother ki death ho jati hai ur usky mamu ussy lainy aty hain wo unky sath chali jati hai mamu ky teen baity hoty hain usky mamu ki wife koi khas response show nhi karti .... Choty baity ka naam ik think ali hoti hai wo larki ko apni behan bana laita hai ... Hero second number wala hota hai uski girlfriend hoti hai par wo apni is cousin heorine ko like karna shru kar daita hai ..... Aik scene main larki usky sath apni kisi relative ki death par bhi jati hai wahan hero confess karta hai that he loves her .... Aik ur scenes main hero ky choty bhai ko uni main aik larka shoot kar daita heroine bht roti hai ... Bht duain karti hai everybody got impressed ... happy ending hoti hai par mughy bhai ky accident sy agy novel bhool gaya hai :-( plz koi is ka naam bata dy story of this novel resemble to humko teri nazar main rehna hai but novel is not exactly same plz mughy just name bata daina ... Link beshak na dain
ReplyDeletechk this
Deletekaho ik din by ghazala jaleel rao
Thnx alot zara :-)
DeletePlz koi romantic kor czn wale short novls bta dein
ReplyDeletemohabbat humsafar meri by anila kiran
Deletemujy kundan kar do by effat sehar
do nut khut dil by sara jabeen
riaztoun ka mausam k page missing hn 192 to onwards plz fix kr dain..
ReplyDelete192 k bd chk krain 209 pg h numbering galat ha bk mn koi page miss nai ha
Deletebt novel andr sy missing hai kyun k read krtay huay scene change o gay thy
Deletebook form ka nvl ha ml gya to add ho jayen gy otherwsie u'll have to compromise :(
DeleteIs novel ka naam bata dein plzz..mjhe iska sirf ek scene yaad hai: Heroine bus stand pr rozana khadi hoti hai and ek ladka use humesha dekhta rehta hai.Ladki usse pareshan hoti hai.Ek din shayad heroine ka dhyan nhi hota to ladka use batata hai ki apki bus aagyi.Mujhe bas itna hi yaad hai.Novel ka name bata dijiye.
ReplyDeletechk this
Deletetm jo aye to manzilain laye by ambreen amber
Thnk u!!
Deletemjhe aik story chahiye uska sirf aik scene yaad hai aur who b sahi se nahin bhut pehlay kah parhi thi....... usme aik larki kuch doston k sath kisi aadmi ko kidnap karte hain mazaak k tor p aur phir shayad us larki ki usi aadmi se shadi hoti hai aur who shayad police officer hota hy hero heroine ka naam nae yaad
ReplyDeleteSilsiley roshni k by nabila abrar raja.Hero ka naam suleman aur heroine narmeen.
DeleteSilsile roshni ke novel by Nabeela Abar Raja
DeleteAssalam u alikum dard gar by umme mariyam jese novels bat dyn plzzz..... Raomatic novel ho... Thankzzzz
ReplyDeleteChand lamhe chura len novel by Hina Malik
DeleteZindagi tum ho by Madeha Tariq .
Wapsi by Umme Maryam.
Salam,
ReplyDeletemjy khoon baha wale novels bata dein, jo romantic hoon.
plx, phela pathar, qaflay rah bhool jate hain nahi hoon. thanks in advance :)
Woh ik sitara e meharban novel by Mehwish Iftikhar
DeleteBisat e dil bhi ajeeb shay hay novel by Afshan Afridi
Dil ne tanha jheeli rat novel by Lubna Jadoon
Ap Umme Maryam. & Nabila Aziz. ko prh len .us k zaida ter novels esy he hoty hain .
Pls suggest some novels in which heroine goes through physical and mental torture like dardgar. Thanks
ReplyDeletebus ik sanam harjai by ume maryam
Deletekasa e dil by sundas jabeen
zindagi tum ho by madiha tariq
Please please koi asay novels k name bata dien jis mien baray bhaii ya walid sahab buhat gussay walay hoon please hina ya rida digest k long novels hoon please
ReplyDeleteaik novel ka pata krna tha.... jis main heroin aur uska bacha aik house ki annexe main rhtey hen aur hero jo house owner hota hai.... kabi kabi aata hota hain aur use heroin pasand aate hain wo heroin ko tang krta ha but heroin uska iradon sa darti rhte hai...end main hero ko ahsas hota ha ka wo heroin ko pyar krta ha...happy end tha.
ReplyDeleteCheck this
DeleteJhari Jharna Jheel Kanwal By Farhat Chaudhary.
muje ek novel chahye jis me hero herion ka cousin hota hai aur us se nafrat karta hai kun ke use pata chalta hai ke us ki maa tawaif thi ishayed .lekin larki ko ni pata hota wo apni chachi ko hi apni ma samajty hai.par jab use sachai ka pata chalta hai to wo ghar chur kar chali jaty hai aur us ke jane ke bad hero ko pata chalta hai ke wo us se mohabbta karta hai aur eik dialogue ata hai jis me hero kehta hai ke wo thi tu sab kuch tha par wo nahi to kuch ni
ReplyDeleteKuch khawab dil mein by Saba Javed
DeleteTum ko chaha tha tum ko chahein ge by rabia khan ka download lnk me koi masla hai use thek kr dein ....plz plz plz ..mene phle bhi request ki thi
ReplyDeleteLink theek kr dea hai check kr len
DeleteTum ko chaha hai tumhi ko chahen gay novel by Rabia Khan
S,
ReplyDeleteplz aik novel he jis me heroin ki shadi apne czn se hote he r phr wo out of country chali jati he r wahan us k sath bht bura salook hota he uska husband already married hota he r us ki sas b bht gandi hte he phr aik din wo waha se bhag jate he r aik angreez ko mil jate he jo hero hota he r bigra howa hota bht bt es ka khiyal rakhta he r phr heroin ko pakistan pohnchata he. end pe hero pakistan ata he r wo heroin ka czn hota he jis ka kise ko nai pata hota he. happy end tha. plz es novel ka name bta dn
hayee wo badguman mera by nabila aziz
Deletethnk yew soo much me ye story kb se dhond rai the thnks alot.
Deleteplz ai novel ka name bta dn jis me heroin ka name roshaney hota he r pahle scene me sshadi hote he r wo bht nervous hote he phr wo apne husband se bht dar k rhte he husband bht loving hota he bt wo phr darti hote he larko se. happy end tha.
ReplyDeletehum kesy rakhwaly hain by nabila aziz
Deletethnk yew soo much Zara. ye mere all tym favo story he. and yew guys are fabulous. gud luck.
Deletelooking for a novel from the 2000's, i dont remember the name nor the names of the main characters, sorry. However h/H were cousins. heroine kh dad divorced her mom, when she was young, woh buhat saalon baad jb unn sai milnay aatay hain tou daikhtay hain kh heroine ki maa nai heroine ko buhat buray haal mai rakha hoa hota, aur taqreeban pshyciatric patient bna dia hota hai, usskh father ussay zabardasti lai jatay hain and than he begs his nephew kh woh unnki beti sai shaadi krlay, the h/H get married, but heroine kaafi ziada mentally sick hoi wi hoti hai, hero ussai wapis normal pr laanay ki koshsh krta hai.It has a happy ending
ReplyDeletechk this
DeleteMeharban by nabila aziz
This was it it...you're the best..thank you.
DeleteI'm looking for a novel jo kay shuaa ya khawateen mai aya tha probably in 2004,2005 or 2006. us mai two sisters hoti hain (yusra??? or something like that) unki magni two brothers k sath hu hoti hai lekin dono ne unko nahi dekha hua. Sisters mai se ek sister dusri ki chez pe hamesha nazar rakhti hai (like agar unki mother shampoo wagera le kr ati hain ek k liye to dusrii kehti hai k mujhe dai do). Anyways, isi lye unki amma ne unko tasveer bhi nahi dikhai larkon ki. Jahan rishta tai hua hota wahan unki jan'nay wali bhi hoti hain jo k achi wali sister ko yeh keh kr sath le jati hain k wahan doosri wali sister ka mangaiter hoga lekin us achi wali larki ka nahi hoga. She also tells them that one of the brother has a clean shaved face while the other has facial hair, she doesn't remember which one though. wahan ja kr jo larka hota hai wo clean shaved hota hai or sub usay dosri sister k fiancé k name se bulatay hain(hadi, hadid, ahad????) but in reality wo achi wali sister ka hi match hota hai. She starts liking him but feels really bad so she goes home. wahan pe usko pata chalta hai ko wo kon hai q k uski dosri sister apnay finace se online baatain krti hai or uski pic bhi dekh li hai or wo apnay finace se bht khush hoti hai. Achi wali sister ko phir call ati hai larkay ki k im actually your fiancé. If anyone has even a remote idea what I am talking about please tell me. Thanks.
ReplyDeleteThe lord of the ring downloadable nhi hn is site mai ....
ReplyDeleteKoi 2nd site hu to link de dy
Thnx
link fix kr k apko bta daity hn
Deleteneed a novel of kiran digest hero name umair heroine name narmeen
ReplyDeletekch stry b share krain
Deletedilon k milan qamrosh ashok jaisa koi novel upload karden
ReplyDeletehero ik professor hota hai uska nam taimoor hota hai herion ka nam jia hota hai hero apni cousn ko pasand karta hota hai lekin wo cousn abroad chali jati hai parhne k liye phir hero ki shadi herion se hojati hai jo k wo b cousn hi hoti hai happy end tha kindly post kar den
ReplyDeletekindly post kar den
DeleteDer lagi aane mein lekan by Rizwana Irshad
Deletemujay aik novel ke bare main poochna hai uss main hero ka naam shariq hussain hai he is a lawyer his father is IG his one brother is ssp and thd the other one is a barister and his father name is shafat hussain.
ReplyDeleteIts Bassat by MA Rahat.
DeletePlZ tell
ReplyDeleteHi, Zara, Imran bhai kyaap log meri ek help ker sakty hen... plzzzz
ReplyDeleteKya ap log btaa sakty hen k agr mai apni likhi hui poetry ya novel kisi digest mai dena chahu to kesy doon cz maine khawateen or shuaa digest k ofc ka num. or id net se search kerny ki koshish ki thi but mujhy mila nai....
Plzz agr ap kch help ker saken to....
ap digest chk krain end ya strt mn likha hoga unka postal address wahan pe post kr dain apni writing id wagira koi nai ha wo jst through post hi accpt krty hn nvl
DeleteAOA.
ReplyDeletePlz kuch aesy novels suggest karen ji mai hero or heroine czns hon or unki age mai 15-16 yrz ka dfrnc ho or heroine hero ko hamesha bhai kehti ho hero bhi usy behn hi samjhy mgr phr sdnly hero ko realize ho ke wo heroine se pyar kerta hai phr kaffi mehnat k bad unki shadi ho..... plz novel boht romantic ho
plz plz plz meri rqst puri ker den
ye to ap ny sari stry khd hi bna li ha mjy to hisar e mohabt by nabila aziz hi yd h aisa
DeleteYeh parha hua hai Zara... ap koi bs aesa bta den jis mai hero heroine ki age mai boht fark ho or hero pehly heroine ko like krny lgy.... plz
Deletein pages pr jitny bhi hain almost sary parhy huy maine plz in k elawa btayen or long naa hon. plz
Plz Zara, Imran bhai koi to btaa de mujhy.... plzzz plzz plz
ReplyDeletekia kinara doosra darya ka by zohra mumtaz complete episode upload kersakty ap log or kia ye kitaabi shakal me available hy
ReplyDeleteplz reply me
mje aik novel ka name bta dein.heroin ka naam Rubab hota hai.wo apni maa or behn ke sath taya or chacha ke ghar me rehti hai. uske father ki death ho chuki hai.uski maa or behn ghar ka sara kaam krte hain.ghar wale b acha behave ni krte in ke sath.achanak se uski zcns uske sath acha behave krne lgti hain.aik din Rubab ko zabardasti apni gari me bitha kr le jati hain. wo usko ksi galat jaga pr le jati hain. police wahan raid krti hai orsb ko le jati hai.sara ilzam Rubab pr dal dia jata hai lkn wo kuch ni bolti.police wala use bht marta hai. ghar jane ke baad uske taya b use bht marte hain ye dekh kr uski maa ki death ho jati hai. phr wo log Rubab ki shdi aik aise admi se kr dete hain jsne apni pehli biwi ko qatal kia hota hai..shadi ki raat Rubab ko pta chalta hai ke uski shadi us police wale se hui hai jsne police station ma isko mara tha.
ReplyDeletefurther story ka ni pta. plzzz mje ye novel dhond den.
I'll be thankful to uh.
zard zamano k sawera nam hain is novel ka
DeleteKoii plz mujhy Aab-e-Hayat ki ab tak ki story bta sakta hai???
ReplyDeleteImama or Salar ka kya hua hai???
deykhyay mainay kafi dafa request post ki hai. aik novel bata dein jismey larkay ka naam mehraam shah hota hai. larki aur larkay ki families main dushmani hoti hai. larki larkay se bilkul shadi nae karna chati magar shadi hojati hai. romantic hai. feudal culture pe hai. jaldi bata dein plz.
ReplyDeleteChehron kay aieny by Nayab Jelani
Deletefeudal system ki romantic story bata dein koi jismey heroine apnay husband se kafi darti ho romantic story ho. shart novel type.
ReplyDeletemjhe ek novel ka naam pata karna tha hero ka naam wahaj hota hain or heroine ka naam ashnab hota hain ye dono czn hoty hain or larki may be lahore ese kisi sher mein rehti or larka bhi larki apne exam de kar apne dadihal chali jati hain waha us ke sab czn hoty hain bhot sharati hoty hain but larki ke samne achy banty hain....phir larka larki ko muhabbat ho jati hain or phir kis galat fehmi ki waja se larki larke ko chor kar wapis apne parents ke paas a jati hain ......then happy ending hota hain mjhe novel ka naam chahiye plz plz plz jaldi
ReplyDeleteI have a request i don't novel name but i remember the story.hero ka nam mujtaba hota hy or herion ka yaad nai, hero ka nikkah herion se us k parents zabardasti krte hy herion ki maa ki bimari ki waja se, hero na toh herion ko like krta hy or na hi qubool krta hy, hero ke 2 bhai hote hy jin ki herion se buht banti hy or herion ki b un se buht banti hy lekin herion hero se darti hy, hero ki ek dost hoti hy jise hero like krta hy or herion ko ignore krta hy toh hero k parents herion ki fikar me herion ki shaafi hero se krne ki bajae us k bhai se krna chahte hy, jis ka nam auhad hota hy, ye baat hero ko nagawar guzarti hy or wo jealous hota hy kyunk wo herion ko lika krna shru ho jata hy phir hero herion ko drata hy lekin end pe herion raazi ho jati hy or happy ending. Plz tell me novel name.
ReplyDeletethanks
Hum ko hay teri nazar mein rehna by Maryam Aziz
DeleteHi
ReplyDeleteI'm looking for a novel in which the fathers of hero and heroine are friends. Heroine comes to live at hero's house. Hero is called azan and heroine is called Anabat Raqeem. On his father's insistence, hero marries heroine but he doesn't like her. Then hero's father suffers from heart attack and the hero blames heroine and sends her to her parents house. Heroine's uncle (taya) wants heroine to get married to his son, who is already married, for the property. He forces his brother to get the heroine divorced from hero and marry her to his son otherwise he will kill hero. Then heroine decides to ask for divorce so she can save hero's life. But then hero sends his parents to heroine's house to get her back and they find out that heroines uncle has a road accident. Novel ends on a happy note. I read this novel online but can't remember it's name. please reply
thank you
Plzz reply!!
DeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDeleteAoa. Mujhy ek story ka nam pta krna ha sirf story yad ha. Hina kiran ya anchal ma thi.larki ka koi bhi nhi hota uski Phopho ka beta un k sth rehta ha larki usko apna bhi hi smjti ha or us se bohat fre b hoti ha larka b usko apni choti behan ki trha smjta larki ki kuch rishtydar usko tokti ha k wo Kn sa tmhra sagha bhi ha ye bat larki ki maa b sun leti ha or wo b larki ko tokti ha bhi k samny ne tamez se rha kro phr wo larky se mohabbat krny lgti ha or us se shadi krna chahti ha jb larky ko pta chlta ha to wo nhi manta to larki khudkushi kr leti ha us k ghr waly majborn us ka nikah larky se krwa dety ha par wo bad ma abroad chla jta ha or phr larki ki maa us se achy se bat b nhi krti larki ko chup lg jati ha larki apni education mukaml kar k kisi clg ma job krny lgti ha phr sb ghr waly koshish kr kr larky ko wapis bola lety ha. Bs itni hi pta ha mujhy. Plz plz is ka nam bta de ne complet krni ha story.
ReplyDelete