FAMOUS URDU NOVELS: REQUEST FOR NOVELS PAGE 37

HERE YOU CAN SEARCH FOR THE NOVELS LINKS

REQUEST FOR NOVELS PAGE 37




Asslam o alekum friends and members
ap sb se guzarash hay k apni request k bare me best info like novel name, author name, jis digest me novel publish hoa us ka name , month and year, and agr ap ko us novel ki story ya main charecters yad hen to woh btaen ta k ap ka matlooba novel talash krne me asani ho and apni request k poora hone ka sabar se intizar kren k kbi kbi koi novel available ni hota ya us novel k bare me kuch pata ni hota is leay us request me der b ho sakti hay. Meri poori koshish hoti hay k ap ki request jald se jald poori ho sake. baqi sb members se b meri guzarash hay k agr ap koi req dekhen or ap ko us novel ka pata ho to kindly us req pr reply zaroor kren. 

Request karne wale members se guzarash hay k 
  • Request krte hoey sath me apna name zaroor mention kren ta k next time jb ap us req k bare me poochen to hum ko pata ho k ap kis req k bare me pata kr rahe hen.
  • Apna email id sath me mention kren ta k bad me ap ko link send kia ja sake.

agr ap ko kahen ksi qisam ki problem ho to ap mujhe mail kr sakte hen
aatish2kx@gmail.com  

ya face book pr mujhe contect kr sakte hen
  
https://www.facebook.com/aatish2k11 ( IMRAN ALI )

Ap apni request hmare facebook ke page pr b send kr sakte hen 

ap sb ke tahawan ka boht shukria.

Ap ka bhai 
IMRAN ALI




262 comments:

  1. Aoa.ek novel chaiye hero 7 years bad apni haweli wapis ata hai aur udher heroine ko dekhta hai.heroine clg sey wapis a rahi hoti hai toh hero ki mami ka bhai heroine ko tang karta hai toh hero dekh leta hai aur jab wo andger ati hai toh hero sey takra kar stairs sey gir jati hai.heroine ki mother aur hero ki mother heroine ki safety kay lie usko heroine ki mother kay cuz kay ghr sargodha bhej deti hai.aur udher hero heroine ko propose karta hai aur hero aur heroine ka nikkha ho jata hai aur heroine ki mother ki death ho jati hai aur heroine ka bhai bi wapis a jata hai aur end main hero heroine ko rukhsati kay lie mana leyta hai.hero name is umer and herione name is not in mind.can you find this novel.

    ReplyDelete
  2. Aoa. Mujhy is novel ka name bata dain .... Hero ur heroine cousins hoty hain hero name is SHAHMEER ur heroine us ko MEERO bulatii hai ... Heroine abroad sy ati hai hero village main rahta hai .. Hero ki apni hawali hoti hai ... Heroine hero sy bhttt choti hoti hai ... Heroine ki family modern hoti hai .. Heroine ki engagement howi hoti hai hero heroine ky fiance ko like nhi karta ... Novel ka name I think meri chand raat ho hai paar is naam sy bhtt sy novels hain so kindly is novel ka name bata dain

    ReplyDelete
  3. rude and possesive hero k novels

    ReplyDelete
  4. Salam drama mein adhuri, drama neelam Kinaray and drama yeh mera deewanapan hai based on which novels?

    thank u

    ReplyDelete
  5. salam tere mere beach mein drama based on which novel? thank u

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      novel based ni hai laken Atiya Dawood jo k bohat achi writer hain unhon ny es ka script likha hai .

      Delete
  6. Mene aik novel ki request karni thi. Story kuch yun thi k do bhai hote hain, aik sanjeeda aur dusra thora shokh mizaj ka hota hai. Sanjeeda wala engineer hota hai aur shokh wala doctor. Dono ko shadiyon k bad buhat different biviyan milti hai, shokh walay ki sanjeeda aur sanjeeda wale ko shokh. Bus itni yad hai. Aik ka nam mohid hota hai aur aik larki ka shaid manal. Dhoond dein please.

    ReplyDelete
  7. i need a novel in which hero and heroine both are doctors,heroine gets job in hero hospital who apna ghar chor ke apni khala ke ghar rehti hai wahan se job ke leya apply kerti hai uska selection ho jata hai heroine hero se darti hai heroine ki dosti hero ke bhai ke bachon se hoti hai heroine wahan ke logon se attach ho jati hai ik larki ki death per bohat upset ho jati hai hero ke pochne per sub bata deti hai hero uske bhai ke pass ja ke misunderstanding door ker deta hai happy ending hai

    ReplyDelete
  8. hi, plz contract base marriage novel ka link dede, thank you

    ReplyDelete
  9. Hi, plz khoon baha wale novles ka link dede, thank you

    ReplyDelete
  10. i need another novel hero heroine cousins hote hain hero ki mother heroine ki khala hoti hai khala ki bohat ladli hoti hai hero reserve hota hai khala ki death ke bad hero heroine ko hostal bhej deta hai heroine hero se badil ho jati hai who samajti hai hero usko bhoj samajta hai who indepentant hoti hai hostal mein uski friendship bhi hojati hai hero herine ka khayal rekta hai aur buri jaga se bachata hai hero ka it istitute hota hai end mein hero heroine ko ghar lay ata hai

    ReplyDelete
  11. Its farhat ishtiyaq novel...kab hath mein tera hath nahi...:)

    ReplyDelete
  12. Asslam o alekum
    please mujhe zarnain arzoo ka novel aangan me gulab ka link de dein
    ye novel to ni hai.ap ye check kren .may m name m mistake ho gae ho
    Azaab bany gulab novel by Zarnain Arzoo

    ReplyDelete
  13. hi,
    i had read a novel here many years ago, it was a khan baha one, at the girl brother has killed this person bother and in return they had agreed to mary his sister to him, he does a lot of zulum on his wife, and at the end he finds out it was not her brother after all, it was his body guard. plz give me the name . thank you

    ReplyDelete
  14. Plzzz novel iss dil mein basay ho tum by anum khan....ka complete link dedein....ismein 25epi ke baad ka nahi hay....plzzz im waiting

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ye novel writer ny itna he likha jitna post hua (25 episodes).
      novel publish he itna hua .writer ny personal reasons k wajha se novel complete ni kea

      Delete
  15. Iss dil main basy ho tm by Anum Khan complete nahi hai, pls complete novel dedain
    thanks

    ReplyDelete
  16. AsSaLaM O ALaiKuM...
    Mujhy Aise Novels Bta Den Jin Me Hero Bht Gusse Wala Ho Mgr Heroine Ki Masoomiyat k Aagy Uska Gussa Kam Honw Lag Jaye, Nd Wo Us Ko Chahne LaGy, New Hon , Plzzz Zada Bta Den Isi Type K ThnXx In AdVanCe

    ReplyDelete
    Replies
    1. Qafley rah bhool jatey hen novel by Sundas Jabeen ye chk karein ye kuch kuch isi type ka hai

      Delete
    2. Ye Already Parh Chuki Hun Main

      Delete
  17. Hello, novels is dil me base ho tum by Anum khan is not complete in download option..kindly do check it please

    ReplyDelete
    Replies
    1. Asslam o alekum
      me ny uper bhi explain kea hai writer ny novel complete ni kea.just 25 epi likhi thi.

      Delete
  18. mein kab se aanchal digest mein yeh novel dhoond rehi huon ;;;novel kaffi old ...story kuch jo hai ,,,,Alina 3 bhaiyo ki bahen hoti hain aur Hamza sa cousin hoti hai..par woh colleg mein Asif naam ke larke ke saath bhag jati hai uski help herieon shiza karti hai .phir alina ka bhara bhai shiza aur uski maa ka jeena kharam kar dheta hai .tab hero waleed shiza aur uski ma ki help karta hai aur shiza se nikha kar hleta hai .jab woh shizz ko apne ghar lhege jata hai tab herion ko pata chalta hai ke woh bhi alina ka he bhai hai aur uske saath dhuka hua hai ..us ghar mein sab shiza ke khilaf hote hai bas waleed ki bhari bhabi uska karti hai ...Alina ka aik bacha bhi ho jata hai aur woh aik din shiza se milne jati hai uski maa ke ghar use pata chalta hai woh bht khush hai apne ghar aur kaise waleed ne unki help ki par jab woh album dhekti chok mein rehe jati hai aur bhaiyo ke ghar jati hai shiza ki help karne ...agay ki cast maine nahin parhi .....

    ReplyDelete
    Replies
    1. Hum search krty hain .jesy he mili ap ko link dey den gay INSHAALLAH
      agr year yaad hai to plz mention kr den

      Delete
    2. Year achi tarha yaad Nahin par 1998,,1999 Kuch uske AS pas hai kaffi deer se dhoond rehi huon ,,

      Delete
  19. Your requested URL has been blocked as per the directions received from Department of Telecommunications, Government of India. Please contact administrator for more information.” mai jab bhi down karne jarahi hun mujhe yehi bataraha hai kyu plz batade bahot problem araha hai down karne

    ReplyDelete
  20. Plz mjhe novel apma ho tou Asia hoby Nadia jhangir k similar 2or3 novel suggest kar dyn thnx in adv

    ReplyDelete
  21. mje new romantic novels jo aye hain un k names btaden agr after marriage wali story ho to zyada acha hpga or koi b writer chalega mje bs new novels btaden pls or mje ye poochna he k jb me 36 page pe load more kr rhi hn to kch ho nhi rha mje or comments dekhne hain pr e dekh nhi parhi esa q ??

    ReplyDelete
  22. AsSaLaM O ALaiKuM...
    Mujhy Aise Novels Bta Den Jin Me Hero Bht Gusse Wala Ho Mgr Heroine Ki Masoomiyat k Aagy Uska Gussa Kam Honw Lag Jaye, Nd Wo Us Ko Chahne LaGy, New Hon , Plzzz Nimra Sis, Zada Bta Den Isi Type K ThnXx In AdVanCe

    ReplyDelete
  23. Plzzzz ye bata dein iss dil mein basay hu tum novel by anum khan....keun complete nahi kia....is tarah bech mein keun chor dia

    ReplyDelete
    Replies
    1. me uper detail se btaya hai k novel writer ny complete ni kea personal reason k wajha se.just 25 epi he likhen.

      Delete
  24. ASSALAM U ALIKUM api kesi hain ap? please wohi rastay wohi manzil meri type k novel bata din pleaseeeeeeeee

    ReplyDelete
  25. ek story thi jisme heroine apni khala k ghar rehti ha or unka sirf ek beta hota ha uski maa ki death hui hoti ha or kuch time baad khala ki b death ho jati ha or larki ka cousin se nikah ho jata ha phir us sey us ka baap chup chup k milta ha or us se paisey mangta ha ilaaj k liye end pe baap ka fraud pakra jata ha

    ReplyDelete
  26. Nimra please suggest some novels like zard Paton ka shajar by nayab jellani.... please

    ReplyDelete
  27. Qafley rah bhool jatey hen novel by Sundas Jabeen is type k novel bta dein plex ......jin mei hero is jesa ho

    ReplyDelete
  28. novel tha aik jis mei heroine stairs se gir jati hai taw hero ussay le k jata hai hospital ..............is trha k jitne b novels hain bta dein mei us mei se khud e seach kr lu ge kn sa wala hai cux mjhe aur kuch yaad ni hai related to this novel

    ReplyDelete
  29. pleas mujhe dosheza digest ka novel hai palkoon per thehry khwab by habiba umar ka comple link de dein

    ReplyDelete
    Replies
    1. INSHAALLAH 2 ya 3 dinm digest aa jaey to post kr den gay

      Delete
  30. Please suggest some novels jin main hero shadi k bad heroin k saath zaberdasti part happy ending ho

    ReplyDelete
    Replies
    1. esa novel meri nzr se ni guzra .ap forced marriage waly novel read kr len.me check kerti hon agr koe esa novel hua to ap ko esi post pr inform kr don ge
      Forced marriage novels

      Delete
  31. aoa.i want to ask about a novel.dont remember the name of story or characters.it was episodic novel i think not finish yet.a girl was married to a man in place of her friend who ran away at the wedding night.man stats loving his wife but she thought that his husband love is meant for that friend who ran away.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      me search kr rahi hon abhi tk ni mila koe chracter name yad hai ?

      Delete
    2. Yeh "tere pyar ki khushboo" to nai hai?? by Qamrosh. us me shayad 1 story ye b ti.

      Delete
  32. mjhe aise novel bta dein jin mei hero bht chahta ho bt heroine us ko -ve le ..............ya kuch is type ki


    if possible
    thanx

    ReplyDelete
    Replies
    1. Zindagi ki rehguzar roshan thi by marium aziz....may be its fulfil your request

      Delete
    2. Aoa muje ik story ki talash ha jis ki story kuch yu ha k 1 larki or 3 larky apas ma dost hoty ha yh sab mulk se bahir study k liy gy hoty ha in larko ma se ik larka larki yani k heroin ko pasand kerta ha or heroin bhi kerti ha yh lark heroin ko dhuka deta ha chor kr chala jata ha bad ma dosara larka heroin se magni kerleta ha bad ma wo bhi chor jata ha is k bad tesra larka yani k hero heroin se nikha ker leta ha nikha k roz hi hero ka heroin ko bachty hoye accident ho jata ha story shoro hi accident or nikha se hoti ha plz yh story search kr dy plz plz plz

      Delete
  33. Aik story chahiye usme hero is noman and heroine is mehro she calls him by accident while dialing her friends no they start talking on the phone and are scared their parents will not get them married do court marriage and then when their families come to know they get married properly

    ReplyDelete
    Replies
    1. INSHAALLAH jesy he milti hai link dey den gay .

      Delete
  34. مجھے مسنون زندگی قدم بقدم نامی کتاب کی سخت ضرورت ہے اگر کسی کے پاس پی ڈی ایف فائل میں موجود ہے یا کتابی شکل میں موجود ہے اور اس کو اسکین کرسکتے ہیں تو برائے مہربانی... یہ کتاب اپلوڈ کر دیں یہاں انڈیا میں یہ کتاب دستیاب نہیں ہے..

    ReplyDelete
    Replies
    1. Hum lbrary m check kerty hain available hue to INSHAALLAH jaldi he post kr den gay

      Delete
    2. جزاک اللہ بہن ۔۔۔اگر یہ کتاب یہاں دستیاب ہوتی تو میں آپ کو زحمت نہیں دیتا ۔۔اگر جلدی کردیں توبژی مہربانی ہوگی۔۔۔اور سراب کی 15 جلد کب اپلوڈ ہوگی؟

      Delete
  35. suggest some novels jin mei dialogues bht aalaww ho heart touching emotional type if possible

    ReplyDelete
  36. mjhe aise novel bta dein jin mei hero bht chahta ho bt heroine us ko -ve le ..............ya kuch is type ki


    if possible
    thanx

    ReplyDelete
  37. assalam u alikum api how are you? api zindagi ki rahguzar roshan thi type k novels bata dain please thanks

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      ap maryam aziz k sub novels read kren.esi tra k hain
      Maryam Aziz

      Delete
  38. Aoa mujhe aik novel chahiye tha hero ka name umer tha or woh 9 behno ka aklota bhai hota hai heroin czn hoti hai name yad nahi un kay chachu alag rehte hain or un k bete ka nam rafey hota hai. Heroin k bhai ka name mobi hota hai hero heroin ki uni me hi prhata hai but kisi ko bhi nahi pata hota. Un ka nikkah bhi hua hota hai or end me shadi hoti hai

    ReplyDelete
  39. Aoa. Mujhe pochna hai k mana ka gharana novel hai ya script hai. Thanx

    ReplyDelete
  40. please dilon ka Milan jesay novels bata dain pleaseeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee

    ReplyDelete
    Replies
    1. ap phely ye read kr len q k qamrosh k sub ik jesy hoty hain
      Qamrosh Ashok

      Delete
  41. AOA

    Mujhe ek novel chachiye jo book form mein thi.

    Story kuch yu hai ki ek ladki hoti hai sadiya jo ke doctor hiti hai .Sadia apni maa ke saath rahti hai. Uski shaadi Nadeem naam ke lafke se hoti hai. Nadeem ki ek behan Maria hai jo Sadia se jealous hoti hai aur shaadi ki raat bhai se kehti hai ki lafki badsurat hai. Nadeem yeh sunkar dulhan ko dekhe bagair ghar chod kar chala jata hai.
    Sadia ki maa yeh sunti hai to safme se mar jaati hai aur Sadia apne koi relatie ke paas rehne lagti hai. Wahan uski mulaaqaat Waseem se hoti hai. Jis family ke saath sadia rehti hai us mein jawad unka beta hota hai. Woh sadia ko behnon ki tarah chata hai.
    waseem jawad se kehta hai ke woh sadia se shaadi karna chata hai tab woh sadia ke bare mein waseem ko sab batata hai. Baad mein pata chalta hai ke Nadeem hi Waseem hai. Sadia sab ko chod kar koi village mein jab karti hai aur phir ending mein waseem aakar usko mana leta hai aur happy ending hai.
    Pls. agar kisi ko yeh novel pata ho to batayein. Yeh koi digest mein nahin thi balke alag hi bookform mein thi.
    Thanx

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      me search kerti hon.INSHAALLAH milty he link tag kr don ge

      Delete
  42. aoa
    sis meine aik novel parha tha us mei 2 ya 3 friends hoti hain married ....aur un mei se aik namaz prhti hai shayd aur dusri ko b kehti hoti hai k jb Allah Tala naraz hote hain taw wo insan ko namaz parhne ki toufeeq ni deta ......i guess ye january 2015 k kisi deigest mei tha khawateen digest shayd .........and 8 to 11 pages ka th means chota sa tha agr possible hai taw plex xearch kar dein thanxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx

    ReplyDelete
  43. ishq pagal kar deta hai .............jese novels bta dein plxxxxxxxxxxxxxx

    ReplyDelete
  44. aoa

    plex aise novels suggest kardein jin mei heroine bhtttttt sensitive ho .......kisi baat pe bemar ho jae ya nervous break dwn ho jae like novel maein ni mei keinu aakhan

    ReplyDelete
  45. Plz suggest some novels like me mohabbat aur tm...thanxxx

    ReplyDelete
  46. Hello
    I am looking for a novel since long, naam ya digest yaad nae but storyline kuch yun the ke leading hero is the doctor in novel. Heroin jo kafi khubsorat hai is married to a guy name Jalal (I guess). Jalal psycho hota hai jo apni bv ko marta be hai. Hero jo doctor hai wo heroin ko ussk ilaaj ke silsilay mai milta hai.
    Happy ending the, herion ke doosri shadi doctor se hoti hai. Please help kar den, kafi time se dhondh re hon but mila nae hai ye nove & that is all I can remember.
    Will be waiting for your response anxiously.

    ReplyDelete
  47. Asalam-o-Alikum :)
    Mujhe pata kerna tha ke "tera mera rishta" drama, go geo pe aa raha hai kys wo novel based hai? Aggar hai to uska naam bata dein please and thank you. Aur agar koi aur novel based shows chal rahe hain to kindly unke naam bhi bata dein. (Gul-e-Rana ke ilawa)
    I'd be really thankful.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aik thi misaal abi hum pe khatam hua hai and abi aik new drama aane wala hai aiza khan ka tum kon piya wo b maha malik k novel pe based hai

      Delete
    2. "tera mera rishta" is script based. You can read about it on wikipedia. this drama is loosely based on a true event, they have romanticised the reality.

      Delete
  48. aoa. kuch un novels k naam bata den or share kr den jisme heroine ki dosri shadi dewar ya jaith se ho.

    ReplyDelete
  49. I need all parts of humse hai zamana by samra bukhari. Can't find it. Could u help?? Please!

    ReplyDelete
  50. Please suggest some novels jin main hero rude ho aur wo zaberdasti heroien ko utwa k US se shadi kary yh koi deal ho

    ReplyDelete
  51. Assalamo Alaikum kuch ishq mein range junoon bhi tha
    kuch aise novels suggest kr dain please jis ki love story sheesh aur sarah ki tarah ho please Nimra sis bilkul is novel ki tarah novels suggest kr dain please aisi jitni bhi novels ho unke name bata dain

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      same to mushkil hai anyway me check kerti hon.

      Delete
    2. Assalamo Alaikum Nimra Sis Ap Ne Bataya Nhi Plssss Bata Den

      Delete
  52. Asalam o alaikum...Tujh se mangon main tujh ko novel by Shazia Mustafa...kya yeh noevel complt mil sakti hai please link dain den

    ReplyDelete
  53. Salam wohi rasta wohi manzl jsi novel pta di plz

    ReplyDelete
  54. salam,could you suggest me some long novels jis me hero k sath kuch mishap hoa ho past me like in Saans sarak aur sakoot me tha and hero bhot romantic ho and goodlooking bhi ,I know u will help me out so thanks in advance :-)

    ReplyDelete
  55. hye... please kuch essay lengthy novels bta dijiey jiss me hero and heroine ik hi ghar me rehty hon ,joint family system etc,hero bhot romantic ho or extremist type ka bhi ,and herioun bhi useh pyar krti ho bt openly pyar ka izhaar na hua ho kbi dno me and useh darti bhi ho

    ReplyDelete
    Replies
    1. please new ya puraney phr bta dijeiy ga as mostly mney prheywe jo ap btati links

      Delete
    2. lenghty to wohi famous hain jo chand ik .baqi to short he hoty hain .agr kethi hain to links dey deti hon .

      Delete
    3. chalein wo bhi chalein gy ap links dey dein thanxs :-D

      Delete
  56. Salam
    I am looking for a novel jo mai kafi time se dhondh re ho but mila nae. Muje digest ya characters ke naam yaad nae but story kuch yun the ke heroin aik teacher hai and uska aik students hai jisk chachu heroin ko janty han. Koi purani dushmni ya kuch past se related tha. Draty dhamktay han. Happy ending the novel ke.
    Ayk scene yad hai jahan barish ho re hoti hai and hero offerd hroin a ride to her home, wo scene tab tha jab sari galt fahmian dur ho jati han. Please help kar den.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thank you Nimra apk quick response ke liye lekin ye wo novel nae hai. Kia ap aisy kuch suggest kar sakti han novels jis mai heroin school teacher ho. Maybe un mai se kuch mil jay but this is not the one :(

      Delete
    2. me ne b perha hai ye novel, short tha aur is me hero ki phupho se heroin ka koi relation hota hai. name wgaira yaad nai hai sorry.

      Delete
  57. Asalam o alaikum,
    Plz kuch novels ke links share kar dain jin ki story
    (Ek Mausam Dil Ki Basti Ka) ki tarah ho

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      ap specific btayen k kis type k hon wesy ap esi writer k read kr len sub ik jesy hain otherwise ap type bta do
      Riffat Naheed Sajad

      Delete
  58. a.o.a api shart type k novel bata dain please or ziyada bata dain please..................

    ReplyDelete
  59. PLZ MJHAY AIK NOVEL KA NAME BTA DEIN..STORY ESAY HA K HERO KI 1ST WIFE NE DIVORCE LI HOTI H HERO SAY OR UNKA EK BETA BHI HOTA HAI JO HERO K PAAS HE RAHTA HAI.. HERO K GHAR WALAY ZABARDASTI US KI SHADI HEROINE SE KRWA DETAY HAIN..SHADI HEROINE KI BEST FRIEND KRWATI H JO K HEROINE KI DEWARANI BAN JATI H SHADI K BAAD..HEROINE K PARENTS KI DEATH HO CHUKI HOTI H..US KA EK BHAI BHI HOTA HAI..PAR WO OUT OF COUNTRY HOTA H OR HEROINE KI PARWA B NHE KRTA..HERO KA NAME TEMOOR HOTA H SHAYAD..WO START MEIN ACCEPT NHE KRTA HEROINE KO BUT BAAD MEIN KR LETA H..IS KA NAME BTA DEIN MJHAY PLEASE..

    ReplyDelete
  60. salam baharon k sang sang k jesay novels ka link day dain plz

    ReplyDelete
  61. Salam
    Mujhe aik novel chahiyay - naam yaad nahin. Us mein hero heroine ko university mein dekhta hay aur pasand karnay lagta hay. Voh nahin penchaanta lekin voh ussi ki mankooha hoti hay. Hero ka nikaah heroine is unn ke ghar valon nein kar dya hota hay lekin hero is nikaah ko nahin manta air larki ko paindo keh kar reject kar ke chala jaata hay. Larki ke shayad sussar Phir uss ka admission hero ki university mein Kara deytay hain. Happy ending hay. Please link post kar dein.
    Thanks

    ReplyDelete
  62. Ek novel chahiye tha...mujhe sirf story yaad hai thori si na hi name yaad hai aur na hi writer ka name yaad hai na hi digest .... hero ka naam zarar aur herion ka naam maida... herion ki behan ki shadi hoti hai hero k chhotay bhai se wahan pe herion hero se takra jaati hai aur usay khoob sunaati hai par jab usay pata chalta hai k yeh wohi zarar hai jo mere behnoi ka bhai hai to wo pareshaan ho jaati hai kyun k zarar ghussay ka boht tezz hota hai aur koi boht bada politician hota hai... sab us se dartay hain wo sirf aadhay ghantay k liye apne bhai ki shaadi mein aata hai phir chala jata hai... phir herion apni behan k sath uskay sasuraal jaati hai to hero ki chhoti behan koi jaga na milnay pe usay hero k kamray mein sula deti hai kyun k hero ghar pe nahi hota par wo raat ko aa jata hai. iski shayd 2,3 episodes thi par mai ne sirf aik parhi thi plz mujhe yeh novel zaroor chahiye pls

    ReplyDelete
  63. i really want to read this novel. puzzle help

    ReplyDelete
  64. plzzz help me. I had read a novel on this site, that the hero and heroine are married but he refuses her that she is a "pando" and i have nothing to do with her. he sees her some where and is shocked that it is her. I think her father in-law helps her to go to school and make herself educated.

    ReplyDelete
  65. aoa mjhy aik novel chya jis ma larki ma eng hoti a r larka agriculture ma bs krna chta a bt us k father usy kahty hn k tm na eng ma he krna a usy us ka chacha ka ghr mean heroin k ghr chor jaty h k parho wo har bar fail ho jata r larki jo k aik colleage ma teacher hoti a wo usy parhti a zabardasti phr wo apas ma shadi kr laty hn

    ReplyDelete
  66. aoa mujhe aik novel chahiye tha hero or heroin dono czns hote hain heroin hero se kafi choti hoti hai bt hero heroin ko pasand karta hota hai hero ki aik phupho bhi hoti hain jo apni beti ki shadi hero se karwana chahti hai bt hero apni dadi ki sport se heroin se shadi kr leta hai....
    hero ka nam shaid jahanzaib(not cnfrm) hota hai or heroin ka roshane hota hai

    kindly jaldi dhnd dein

    ReplyDelete
  67. Hi mein ne uper b request ki thi k muje after marriages novel k link de dein but u didn't reply plz fulfill my request thank u

    ReplyDelete
  68. sis plx meri request ka koi tw response dein mein w8 kr re

    ReplyDelete
  69. Please aik novel dhoond dain. Story hay ke heroine gaaon apnay daddhiyal Milnay Aai hoti hay shehr say. Heroine ki mother bohat chirti hain gaaon valon say aur apnay susral say. Heroine sad hoti hay because university mein kisi larkay nay uss ke saath flirt kar ke chor dya hota hay. Voh gaaon mein bohat achi Tara rehti hay. Us ka cousin (hero) ussay chirta hay aur taanay deta hay shehr say honay par. heroine ke father us ka rishta hero se kar daytay hain. Heroine ki maan bohat shor machati hay phone par aur gaaon ke lyay nikal jaati hay apnay betay (Afroz?) ke saath. Lekin heroine aur hero ka nikah kar ke un ke gharara valay unko shehr ravana kar deytay hain. Meanwhile, heroine ke bhai (divorced and do bachon ke baap) ka rishta bhi us ki gaaon mein Rehnay vali cousin ke saath te honay lagta hay. Gaaon vali cousin ki shyad pehlay mangni kisi vaja se Khatam hogai thee. Happy ending hay- hero heroine baarish mein drive kar ke ja rahay hotay hain.
    Thanks

    ReplyDelete
  70. Assalam o alaikum nimra api I hop k aap bilkul theek hongi
    Meri request hai k kuch iss type k nvl btadein jo k boht romantic hon,thode sad scenes b hon or happy ending ho or agr new ho tw or b acha hai thank u take care n AllahHafiz:)

    ReplyDelete
  71. please mujhe shazia chudhry ka novel dareecha e mohabbat ka link de dein

    ReplyDelete
    Replies
    1. Shaazia ch ka to dareecha dil tha jo k incomplete reh gaia tha un k death k wajha se.esleay posted ni hai
      ye dareecha muhabbat samina ka hai
      Dareecha e mohabbat by Samina Asawer.

      Delete
  72. Salam....mujhe aik novel chaye shayd kiran ya khwateen mein aya tha not confrm....story ye thi ke ....villege mein do opposite family ke larka larki bhag ke shadi kerlete hein to larki k ghar wale panchayat mein larke ki behn ki shadi apne bete means larki k bhai se kerwane ki baat kerte hein....wo larki age mein kafi choti hoti hay ...larka educated hota hay ussay ye sab acha nahi lagta aur wo nikkah ke baad larki ko apne sath le jata hay ...aur usay parhata hay.....kafi salon baad larke ka father usay milne ata hay....happy ending hoti hay.....plzzz find it...thanx

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      check kerty hain .

      Delete
    2. Ye novel apki hi kisi req page pe post ho chuka hay ...mein ne kafi searck kia laikin nhi mil raha ....i forgot name plzzz find it....

      Delete
    3. check this

      Woh ek sitara e mehrban by Sundus Jabin


      Delete
  73. aise novels bta dein jin mei hero bht attitude wala ho aur heroine bht lyk krti ho and hero ko end pe pta chale

    ReplyDelete
  74. assalam o alaikum nimra plz aise nvls batadein jin mein hero boht bura ho yani bigdra raess zada ho or herione ko boht tung karta ho happy ending ho

    ReplyDelete
  75. Salaam
    Aik novel bata dein please. Story hay: do behenein hoti hain (stepsisters) heroine bohat naik hoti hay aur uss ki behen bigri hui hoti hay Lekin bohat khubsoorat hoti hay. Un ka baap bigri vali ko favor karta hay aur heroine aur us ki mother ke saath achi nahin hota. Aur unn ko bigri vali beti ke saamnay bayizzat karta hay. Bigri vali ki shadi te hoti hay Lekin voh shadi ki raaat nikah say pehlay bhaag jaati hay. Hero ki shadi phir emergency mein naik vali behen (heroine) ke saath karni par jaati hay. Heroine bohat upset hoti hay. Hero uss ko aur uss ki maan ko blame karta hay shadi ki raaat- ke unhon nay apni sauteli masoom behen ko ghayab karva dya hay. Heroine phir uss say vaada leti hay ke jab Tak uss ki behen mil nahin jaati aur haqeeqat saamnay nahin aati woh intezar karein gay aur phir hero ko usay talaaq dekar ussay faarigh karna hoga. Phir uss ki behen wapis aajaati hay aur saari haqeeqat saamnay ajaati hay. Hero realize karta hay ke voh heroine ko pasand karta hay aur ussay mana layta hay. Happy ending hay. Please link post kar dein.... Thank you so much!!

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      check krty hain .

      Delete
    2. Thanks- Lekin yeh novel nahin tha. Uss novel mein bigri hui behn ka naam shayad Sanam tha aur jab voh bhaagti hay to hero ko majbooran jaantay boojtay uss ki behn say shadi karni parti hay. Please phir say try kar lein. :)

      Delete
    3. Bigri vali behn ki maan Kuching achay khandaan ki nahin hoti

      Delete
  76. Asalam o alaikum,
    (Ek Mausam Dil Ki Basti Ka)type k novels se mean mujhe kuch aisey novel chahiey thay jin main hero reserve type ho aur heroin se bohat mohabbat karta ho but kuch majburi ki wajah se heroin ko bata na pata ho aur heroin usse rude samajhti ho. Thanks for your last response

    ReplyDelete
  77. aoa mjhy kuch asy novel chya jis ma heroin bht choti ho jb us ki shadi ho jay r hero badi age ka ho

    ReplyDelete
  78. Salam pakeeza digest me 1 novel tha name yad ni par hero ka name rafay hota hai r wo doctor hota hai r jis larki se wo mohbbat kata hai uske death hojati hai phir uski cousin usko bhht like karti hai par wo zara rudely bat karta hai r hero jis larki se mohabbat karta hai uske maa baap b doctor hoty hai r wo hero ke is cousin ko bhht pasand karty hai qk wo unko unki apni beti ke tarah lagti hai please yeh novel mujhy chahye

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      me check kerti hon

      Delete
    2. Thank u so much Allah khush rakay apko...mujhy 1 r novel b chahye tha par name yad ni wo shua ya khwateen digest me tha us me larki ke maa ko apni ameeri pe bara ghuror hota hai r gaon me jo uske susrali relatives hoty hai wo usko bhht bury lagty hai wo khud shehr me rehty hai ab wo larki ko apni kisi cousin ke shadi me ya pata ni kya waja hoti hai gaon jana parta hai wahan uska cousin hota hai wo ahista ahista usko like karna shuru kardeti hai lkin phir yun hota hai k wo larka apni kisi gaon wali larki se shadi karleta hai zubaida nam hota hai phir akhir me yeh bataya k larka b mohabbat karta hai larki se par uske maa ne 1 dafa bhht insult ke hoti hai larky ke to wo apni insult ni bhol sakta k me us aurat ke beti ko kese apns lon jis ka rawaya itna hatak amiz tha end itni happy ni plz try your best mujhy chahye novel yeh 2004/05/ year me kisi month me post hua hai shua ya khwateen me

      Delete
  79. Kindly mujhe yeh bta dein k humein apna bna lena by rehana aftab kis month nd digest me aya tha

    ReplyDelete
  80. aoa
    nimra kindly novels bta dein jin mei hero heroine ko kisi tragedy ya logo se bachay ......is type ki .....with happy ending

    ReplyDelete
  81. ye story rida mein publish huwi hai muje s ka nam bata den plx el ladki apne parents k saaat poakistan ati hai uska rishta teh hota hai ladki razi nai hoti ladka b razi nai hota wo usey cho k chala jata hai 5 saal baad aata hai

    ReplyDelete
  82. Aoa. Ek novel ka chahiye story kuch yun hai k ek larki kafi shokh aur chanchal hoti hai laparwah qism ki uski shayad behen ya cousin ka ek larke se chakar hota ha jo ke uske sath wale ghar mein rehta ha ek horein ki behen or larke ke darmiyan jhagra hota hai to heroin larke ko manane adhi raat ko chhut phlang k jati ha larke k ghar pr koi nai hota or wo heroin ka rape kr deta ha itni der mein heroin ke ghar wale or kuch muhalle ke log larke ke ghar aa jate hai or un dono ka nikah krwa kr heroin ko ghar se nikal dete hai heroin ke ghar wale samajhte hain k uska us larke k sath affair ha. Kindly pls is novel bta dein Allah apko jaza de ameen.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sister jawab to dede plsss. Im waiting

      Delete
  83. plzzzzzzzzzzzz muje novel ka nam bata den e story rida mein publish huwi hai muje s ka nam bata den plx el ladki apne parents k saaat poakistan ati hai uska rishta teh hota hai ladki razi nai hoti ladka b razi nai hota wo usey cho k chala jata hai 5 saal baad aata hai

    ReplyDelete
  84. hye... please kuch essay novels bta dijiey jiss me hero and heroine ik hi ghar me rehty hon ,joint family system etc,hero bhot romantic ho or extremist type ka bhi ,and herioun bhi useh pyar krti ho bt openly pyar ka izhaar na hua ho kbi dno me and useh darti bhi ho

    ReplyDelete
  85. aoa
    bin royee ansoo type k novel bta dein plz

    ReplyDelete
  86. plzzzzzzzzzzzz muje novel ka nam bata den e story rida mein publish huwi hai muje s ka nam bata den plx el ladki apne parents k saaat poakistan ati hai uska rishta teh hota hai ladki razi nai hoti ladka b razi nai hota wo usey cho k chala jata hai 5 saal baad aata hai plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz rply

    ReplyDelete

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...