FAMOUS URDU NOVELS: REQUEST FOR NOVELS PAGE 40

HERE YOU CAN SEARCH FOR THE NOVELS LINKS

REQUEST FOR NOVELS PAGE 40




Asslam o alekum friends and members
ap sb se guzarash hay k apni request k bare me best info like novel name, author name, jis digest me novel publish hoa us ka name , month and year, and agr ap ko us novel ki story ya main charecters yad hen to woh btaen ta k ap ka matlooba novel talash krne me asani ho and apni request k poora hone ka sabar se intizar kren k kbi kbi koi novel available ni hota ya us novel k bare me kuch pata ni hota is leay us request me der b ho sakti hay. Meri poori koshish hoti hay k ap ki request jald se jald poori ho sake. baqi sb members se b meri guzarash hay k agr ap koi req dekhen or ap ko us novel ka pata ho to kindly us req pr reply zaroor kren. 

Request karne wale members se guzarash hay k 
  • Request krte hoey sath me apna name zaroor mention kren ta k next time jb ap us req k bare me poochen to hum ko pata ho k ap kis req k bare me pata kr rahe hen.
  • Apna email id sath me mention kren ta k bad me ap ko link send kia ja sake.

agr ap ko kahen ksi qisam ki problem ho to ap mujhe mail kr sakte hen
aatish2kx@gmail.com  

ya face book pr mujhe contect kr sakte hen
  
https://www.facebook.com/aatish2k11 ( IMRAN ALI )

Ap apni request hmare facebook ke page pr b send kr sakte hen 

ap sb ke tahawan ka boht shukria.

Ap ka bhai 
IMRAN ALI




261 comments:

  1. tjhe juzve zindagi kar lu jese ya uski heroine jese novels bta dein

    ReplyDelete
  2. Novel 90's ka h heroien mehro beautiful larko sy bechny k lye panah leti h hero k ghr m jb k mohalay waly ilzam lgaty h tu shaadi krna parti h jb dosry city m auski ammi do sis younger rehti hy jb wo lekar jata h tu auski ammi shaadi ko declare nhi krny deti h qk ajnki bhaji sy hero ki engagment hoe hoti auka naam fizza hota h aik party m aik larka heroien ko touch krta h jez sy wo behosh ho nati h es tarha aunki shaadi declare hoti h end m wo larka heroien ka step bro hota h aur fizza ki shaadi aus sy hoti h bero n heroien ma aik beta hota plz yeh novel bta dy

    ReplyDelete
    Replies
    1. Plzreply im waitinggggggggggggggg

      Delete
  3. Hero name iz khizar hero n heroien ks nikah hota h rukhsati hony wali hoti h k aik cozn shayd auski shaadi p bero lekar vaya hoa hota b rasty m kindnap ho jati aur auski wajha sy hero ko aus sy shaadi krna parti h heroien house job kr rhi hoti h aur talaq ho jati h end p hero k wife phone kr k mehti k auski tabyet set nhi h tu wo jb ghr ata h tu heroien behosh hoti h tu hero ausko hosp lekr jata h phir waha ausko apni wife yaad ati h gu bhagta h ghr k taraf end m wo bhut rota h auski wifd n baby k life risk p hoti h bhut duayen krta h beti hoti h end m heroien kehti h k hero aik hosp m hoty hoye b ausy dekhna nhi aya tu maine aaj apni mohabbat sy azad keya yeh )0's ka ovel h plz bta dyn

    ReplyDelete
  4. mujhe ek novel ka naam bta dein jisme female lead ka name zarqun hai aur writer ka name nabila aziz hai ap mujhe is novel ke naam bta dein plz.....!

    ReplyDelete
  5. salam ,please kuch esey novels ka name bta dein jis me heroine ,hero ko like/pyar krti ho but hero usko pasand na krta ho or ye baat jb usko pta chaley ya esa kuch to wo uski bhot insult krei .usk baad hero kisi or city ya abroad chala jai job ya studies k lie ,kuch yrs bad jb wo wapis aei kisi ki shadi pe ya esa kuch to udr heroine ko dkiey to usko pasand krny lgey and pyar hojai (ya phr jb wo out of country ho tb se hi wo heroine ko miss krny lagey or guilty feel krey usko bezati krny pe ) but heroine useh naraz ho or usko attitude dkati rei. happy ending ho .pichly page pe jo esey novels wo me prh chuki please please please mujh esy novels bta dein .thanking you in advance

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      check kerty hain agr or es type k milty hain to link dey deti hon

      Delete
    2. nimra ek shuaa mein story i thi heroine ka naam alina hota hai r uski maa ki death hochuki hoti hai baap mulk se bahar hota hai r ksi gori se shadi ki hui hoti hai. alina hero ki dost k ghar ja k uski bezati krti hai. us par wo usay thapar marta hai r phir wo us k samne ana bnd kr deti hai. us k baad hero bahar chala jata hai usi doran alina ka accident hota hai r wo mazoor hojati hai... happy ending thi..

      Delete
  6. hi friends, does anyone know if the drama "socha na that" on geo is scripts base.

    ReplyDelete
  7. HI, JUST CHECKING SOEM HOW I CANT SEE ANY COMENTS PASS THE DATE OF 3/22/16 I AM NOT SURE WHY?

    ReplyDelete
    Replies
    1. ap es page pr post kr den .previous page pr limit se zaida comment ho jaen to show ni hoty

      Delete
  8. Hello, can you tell me the concept and little much stroy of mohhabat ruth jaye by abida saein plz, thankyou!!

    ReplyDelete
    Replies
    1. Hero non Muslim hota hai ik larki k leay Muslim hota hai but WO use chor deti hai and at same time uske best friend ki death ho jati hai is leay kafi deppresse hojata hai and bad Mae heroin k sath nikah hota to save her from her relatives.

      Delete
  9. Assalamualaikum Saans sarak aur sakoot is type ke novels suggest kr dain please bilkul isi type ke jitne bhi novels ho please link de dain please meri request ka reply zaror kare thanks

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      es jesa same novel koe bhi ni hai unique se story thi es k

      Delete
  10. salam
    heroin ka naam shayad mishaal hota hai hero us k chacho ka beeta hota hai aik he gar mein rehte hote hn hero ki age heroin se kuch kam hoti hai wo dono ek dusre se bohat attach hote hn pir heroin ki engagement ho jati hai to hero ko ehsas hota hai k wo heroin ko like karta hai pir wo gar se bahir rehna suro kar dena hai hero k father ki death us k bachpan mein he ho jati hai heroin use chota bhai samjti hoti hai lakin pir us k fiancee ko itaraz hota hai k wo her cheez hero ki pasand ki kyon karti hai wo use blame karta hai k wo hero ko like karti hai to wo engagement tor deti hai baad mein jab usse sachi ka pata chalta hai k hero use like karta hai to wo us se naraz ho jati hai to hero apni behn aur ammi k sath dusre gar chala jata kaafi saal guzar jate hn pir hero ki behn ki shaadi hoti hai sub gar wale wahan gae hote hn to hero a k heroin ko manata hai aur sath le kar jata hai plz name bata den

    ReplyDelete
  11. aoa!
    muje iss novel ka naam bata den kaafi saal pehle parha tha larka syed family se belong karta hai us ka sath university mein us k gaon ki aik christian larki parhti hai wo us ka kaafi insult karta hai wo khubsoorat nai hoti hai baad mein larki death ho jati hai to pata chalta k wo larki muslim ho chuki thi larke ko har tarf wo he nazar ati hai phir wo ummrah karne jata hai to pir thek ho jata hai plzz plzz is ka naam bata den kisi character ka naam yaad nai hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. plz plz sis isse check kar den

      Delete
    2. istrh ka ik afsana tha bychance h mjhy name yad reh gya uska..ap wo chck krlein
      mjhy goond tayyaba k khak mein

      Delete
    3. thank u so much ap k pas iss ka link hai to plz de den

      Delete
  12. i am looking for a novel in which heroine's sister on the day of her marriage runs away and heroine has to marry the groom .later on the hero doubts the heroine that she and hers mother were not fair to their step daughter thats why she ran away.heroine debts with hero to prove her innocence

    ReplyDelete
    Replies
    1. koe chracter name ni yad esi to bohat se stories hain ap ye check kren
      Rah noward e shoq novel by Shehnaz Siddique.

      Delete
    2. its not that novel.jo novel mein dhoondh rahi hoon uss mein heroin ka nam ujala ya swera tha.end m uski behn waapis aa jati h lekin ladka apni wife ko divorce dene se mana kar deta hai to heroine naraaz ho kar waapis apne parents ki taraf chali jaati h

      Delete
    3. pakeeza mein i thi esi ek story uska naam tou yaad nahi hai us ki nazam badi achi thi.. kuch yun this maseeha daikh le ab bhi nigah e naaz ne teri mujhe pathar bana daala. naam bhi kuch pathar r moum wala tha

      Delete
  13. muje iss novel ka naam bata den kaafi saal pehle parha tha heroine ki ami uski marzi k khilaf uski shadi kara deyten hain hero ka koi nai hota heroine gusse se shadi k bd apni ami se bat krna band krdeyti hai hero heroine ko le kr dosri city chala jata ha jahan job krta ha karachi i think i don;t remmber much i hope someone can tell me its name thanks

    ReplyDelete
  14. Aoa,plz is novel ka bta de mai ne kafi arsa pehle parha tha,i don't remember hero's name but heroine name was zarya ya is se kuch milta julta,heroine doctor hote h or aik gaown mai kam karte hai,wo us gaown mai apne family walon se chupne k liye wahan hote h q k us ki zabardasti shadi karwae ja rahe hoti h us k already married czn se,or pir us k gaown k clinic mai koi wahan k chodre k betay ko lay kar ate hwo zakhmi hota h,bus mai ne itne hi story parhe h plz plz plz koi muje is novel ka bta de mai kafi time se dhoond rahe hu,,,muje confirm nahi hai but shayad ye kiran digest ki story hai,

    ReplyDelete
  15. Salam, mjy novel chand raat by nayab jilani k type k or novels bata dein please meri ye request puri krdein.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      ni mil rahy jesy he milty hain link dey deti hon.

      Delete
  16. please suggest me some long novels like Yeh chahaten yeh shidaten by Sumaira Sharif Toor....

    ReplyDelete
  17. plz is pg ki 1st req dekh lein

    ReplyDelete
  18. Plz kuch is type ke novels bata dain heroine hero ko apna uncle ya bara bhai manti aur hero umar me heroine se bara bhi hota hai but halat ki wajah se unka nikah ho jata phir shadi k bad dono aik dosre ko pasand karne lagte hain kuch aise novels k link de dain

    ReplyDelete
  19. Hi, plz can you tell me some new jagirdar aur vadera type of novels and i've already read the novels of previous pages i want the ending to be happy and the heroine should be a confident girl not bichari type!! I really love this anf page you people are amazing you've always answers my requests thankyou so much!!♡♡

    ReplyDelete
    Replies
    1. new to es type k ni aye ap es link m check kren esi k type k novels hain may be koe read na kea ho
      Feudal System based Stories

      Delete
  20. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  21. i asked a novel in which hero is haider and based on uni life,this novel publish in kiran plz tell me novel name?

    ReplyDelete
  22. Maine kafi time phele ek novel parha tha jis ki statring mae larka kafi time bd apne ghr wapis ata hai or sbko usko dekh k buhat khush hote expect his wife qk usne larke se talaaq mang kr wapis anne ko kaha hota hai tbhi woh usse dekh k shocked hoti hai or kuch khas yaad nae but itna pta hai larki bhi larke ko pasand krti hai but show nae krti or divorce ki actual reason bhi kuch or hoti hai...

    ReplyDelete
    Replies
    1. Iss novel mae hero or heroine k ghr walao ko misunderstanding ho jati hai k larki kisi or larke ko pasand krti jbke woh larki ka frnd hota hai pr bd mae larki ghusse mae hero ko hamesha yeh jhoot bolti hai k woh ussi ko like krti thi or ab usse divorce chaiye pr end mae I think larke ko sach pta chal jata hai jb woh us larke se milta hai or uska confusion door ho jata hai but naam yaad nae hai novel ka mjhe...

      Delete
  23. salam i want these type of novels which story is like band quba khilney lagi..... please please please i want these type of novels please

    ReplyDelete
  24. Hey ! Last year there was a drama on Geo tv Piya Mann bhaye , that was script based I guess. Can u tell me some novels related to that concept if the drama is not script based plz tell the novel name otherwise just suggest some novels like that.
    Thank You!

    ReplyDelete
  25. Salam yar ik novel ka pouchna tha...hero n heroine cousins hote hain...heroine kafi kam chor hoti hai ghar ka koi kam nhi krti..hero ka proposal ata hai tou wo mana kar rahi hoti hai..but ghar wale nhi mante phir unhi dinon wo apni khala ki taraf jati hai...uski khala bhi kaam choor aaur sust hoti hain unke ghar ki halat bht kharab hoti hai hai...yeh dekh k heroine agle hi din hi wapis ghar a jati hai.aur sudhr jti hai.aur end main uski sb cousins bazar jati hain tou wo rice boil kar rahi hoti tou hero aata hai...aur heroine ka haath jal jata hai tou woh uski help krta hai jb hi sari cousins wapis a jati hain aur unka kafi record lagti hain

    ReplyDelete
  26. Nimra yar phele bhi apke page pe ik novel ki request ki thi jab shayed nhi mila tha....us main twin behn bhai hote hain..unki mother ki death ho chuki hoti hai.hero unka neighbour hota hai...heroine k father kahin gaye hoye hote hain peeche s us ke bhai ka appendix phat jata hai tou woh hero k ghar ja k us se help mangti hai..phir in ki mangni ho jati hai...villian phopho aur unki family hoti hai(phopho i think sotli theen)...heroine ka bhai phopho ki beti ko like krta hai...phopho shart rakhti hain k wo apni beti ki shadi us surat main karen gi jab heroine ki shadi unke sharabi aur awara bete se hogi..heroine k father nhi mante..heroine ka bhai usse kehta hai tm mangni tor do..par woh nhi torti tou woh naraz ho k phopho k sath chala jata hai..heroine ki hero se shadi ho jati hai..wo apne bhai ka intezar karti hai par wo nhi ata..uska ik dewar hota..ji ki nature bilkul us k bhai jesi hoti hai..heroine us se attach ho jati hai..heroine ki saas dewar ki shadi apni nand ki beti se karna chahti hain par dewar kisi aur ko like krta hai tou woh apne dewar ko support krti hai aur hero ki cousin k sath rude behave karti hai..but kuch arse bd us larki se jis ko dewar like krta se breakup ho jata hai aur wo apni czn se shadi k le tayar ho jata hai aur heroine ka behaviour bhi hero ki czn k sath sahi ho jata hai .. but phir hero,heroine p shak krta hai tou heroine ka nervous breakdown ho jata hai...hero bht sharminda ho hai q k wo heroine ki diary parh lete hai jb wo hospital hoti hai..hero ko heroine k khilaf heroine ki phopho ki beti bharkati hai..end main heroine ka bhai bhi wapis a jata hai q k usse phopho ki family ki asliat pta lag jati hai..uski baat end main heroine ki best frnd se tae ho jati hai..jo uski shuru se like krti thi

    ReplyDelete
  27. meine ye req ki the i want some novels jis mei hero heroine se bht zulm ya bura saluk krta o bt heroine bht roti ho r us k ronay se e us ka dil pighal jae
    apne ye nvls btae
    Kari dhoop ka safar by Sana Akhtar
    . Meri Rah ka roshan sitara ho tum by Sana Zafar
    Ishq dua hai by Lubna Jadoon

    bt ye already pare ve hn plz koi aur bta dein plz

    ReplyDelete
    Replies
    1. wohi old novels hain .jo bar bar link deay ja chuky hain .me dobara check kerti hon

      Delete
  28. Salam hero army,police m ho asi novel jtni apko pta hai to plz link de plz

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      me link dey rahi hon army & police officers k novels ka .ap check kr len jitny novels thy ik link m add kr deay hain
      Army based Stories
      Hero Police Officer Based Novels

      Delete
  29. Aoa...plz jo ishq main beeti by naila tariq k novel jese aur novel suggest kar dain...jis main hero ya heroine ik dosre se ishq krte hn...mtlb bht toot kar mohabbat karte hn

    ReplyDelete
  30. aoa!
    iss story ka naam bata den plz heroine job karti hoti hai us ki sis kisi mazar pe jati hai wahan aik jaali peer k pas jati hai heroine apni sister ko sachi batana chati hai wo us mazar par jati hai to koi use wahan se kidnap kar leta hai hero use wahan se baghne mein maadad deta hai baad mein kisi function mein hero use milta hai to pata chalta hai k hero police officer tha yan secret service se tha happy ending hai Thankx in advance

    ReplyDelete
  31. Es ka name bata den. Hero name was Ibrahim, cane from abroad. His mother was foreigner, that's why he looks like white peeps. Heroin name was Maliha I guess. They both are cousins. Heroin brother was Ali. Hero was only child of his father. Ibrahim and maliha gets Wed, but maliha liked someone, so didn't accept it. End was happy.

    ReplyDelete
  32. AOA...plz mjhe hai dil pe inhi qadmon ke nishaan novel by noshaba farooq aziz ka link de dain...it is an episodic novel published in rida digest

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      jitni epi publish hue thi hum ny post kr de hain q k writer ny novel incomplete chor dea tha
      Hain dil par unhi qadmon kay nishan novel by Noshaba Farooq.

      Delete
  33. Plz mj bhi bta dy nimra sis
    Novel ka name ni pta bs hero k ankh k pass choot lgti h heroin kind waja sa kiran digest m prha tha novel

    ReplyDelete
  34. Asalam o Alikum,
    Mujhey bas yeh pata kerna hai ke Dillagi aur Mann Mayal dramas novel based hain ke nahi? Agar hain to please naam bata dein.
    Thank you

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      Script based hain .lken "Dil lagi" faiza iftakhir ny script likha hai

      Delete
    2. Mjhe bhi Manmayal script based chahiye.

      Delete
  35. Dil toot k haara ki last episode post krdain its a novel from kiran digest

    ReplyDelete
    Replies
    1. abhi to kiran ni aya. 15 tk ata hai.jesy he aya INSHAALLAH post kr den gay

      Delete
  36. Aap mujhe mrs sohel khan aur lareb momin ke best novel ka link dete plz

    ReplyDelete
    Replies
    1. Siso en k sub novels achy hain & itny zaida hain bhi ni ap sub read kr len.agr phr bhi name chahaey to bta den me dobara mention kr don ge
      Laraib Momin
      Mrs Sohail Khan

      Delete
    2. Funny and happy ending wale ho plz name suggest krdein....!

      Delete
    3. i am waiting.....! name suggest kr dein plz

      Delete
  37. Yeh novel eng m h author Pakistani plz search kar day I m not finding it for online reading novel is seasons of silence by mamun adil plz nimra

    ReplyDelete
  38. aoa !
    heroine kisi garden jati hai wahan use hero milta hai hero foriegner hota hai heroine shayad apne grand parents k pas ai hoti hai dono date pe jate hn hero heroine ko pen gift karta hai herione usse overcoat type koi cheez deti hai baad mein hero without any reason heroine ko chor k chala jata hai heroine mentally kafi disturb ho jati hai baad mein usse ki shaadi ho jati hai kaafi saal k baad wo apne husband k sath airport pe hoti hai to koi news chal re hoti hai us mein wo hero ko dekhti hai wo usi overcoat mein hota hai aur palestine yan kashmir ka mujahid hota hai
    plz plz us ka naam bata den

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      check kerty hain

      Delete
    2. Biyaba_n main hai muntizre lala kab se by aneeza syyed

      Delete
  39. aoa
    heroine apne relatives k pas foreign country jati hai wahan accident mein wo jangle mein gum ho jati hai wahan hero ne camp lagaya hotah hero usse family k pas pounchata hai baad mein wo pakistan a jati hai us ki engagement ho jati hai us ka mangater use choron k pas chor k chala jata hai hero use bachata hai happy ending hai plz is ka naam bata den

    ReplyDelete
  40. aoa!
    hero college mein parhti hai hero wahan teacher hai un ka nikh ho chuka hota hai lakin kisi ko pata nai hota hai college trip pe jate hn wahan traffic block hoti hai heroine hero ko bhulati hai hai to sub ko pata chalta hai plz is ka naam bata den

    ReplyDelete
  41. aoa
    novel ka name bta dy jis main hero ki shadi heroine ki phupho sy hti hai bt phupho ki death ho jati hai thn hero ki shadi heroine sy ho jati hai bt wo usy blkl psnd nai krta
    us main hero ka aik beta b hta hai jis sy heroine kafu attach hti hai

    ReplyDelete
  42. M ny 1 novel ka nam puchna h jis m heroin ka nam i think ume laila hota h or hero ka bra bhai hero or heroin ki shadi kra deta h jis pe heroin boht gussa hoti h hero pe recently hi complete hoa hai

    ReplyDelete
  43. Paniyon k musafir by shazia choudhary jaisee aur b novels k link post kar dain plz

    ReplyDelete
    Replies
    1. No reply.....y???

      Delete
    2. jesy he milty hain sham tk link dey don ge INSHAALLAH

      Delete
  44. please suggest me long (silsila war) complete novels... mae kafi parh chuki hon like mohabbat dil k sehra mein,aakhari jazeera,tere pyar ki khushboo,band quba ,jo ishq mae beeti woh ishq hi jane,kuch ishq mein rang e junnon bhi tha,baharon k sang sang,yeh chahtein yeh shidatain yeh sb parh chuki hon iske ilwa kuch or suggest kr den please please...

    ReplyDelete
    Replies
    1. please ma'am reply kr den...

      Delete
    2. Alright... thank you!!!

      Delete
    3. apne reply nae kiya ab tk...

      Delete
    4. Ma'am agr apko nae bhi mile tu at least inform hi kr den...

      Delete
    5. abi free ni hoe wo.............

      Delete
  45. Salam, please ek novel ka naam bata dein jis mein hero ke father saza dene k lie uski zabardasti shaadi karwate hain uski cousin ke saath jo usse 7 saal bari hoti hai. Shaadi se pehle wo donon cousins ache dost hote hai laikin shaadi ke baad ek doosre se door rehte hai especially larka. Un donon ki ek beti bhi hoti hai aur larki shayad teacher hoti hai. beti ki waja se ending happy hoti hai

    ReplyDelete
  46. aoa. mjhe novel name bata dein. heroine air hostess hoti hai with colored eyes.bus mjhe itna hi yaad hai

    ReplyDelete
  47. mujhe ek novel bta dein plz mujhe story ka naame wagera kuch nhi pta but thodi story pta h heroin ki shadi ke din ladke wale heroin se shadi krne mna kr dete h aur shadi mein hero apni dadi ke saath aata h to uski dadi kehti ke mere pote se shadi kra dein heroin ki phir hero heroin ki shadi ho jati h plz name suggest kr dein

    ReplyDelete
    Replies
    1. me check kerti hon.kya ap ko confrim hai k dadai kethi hain ik novel m mama kethi hain or wo herion k phopho hoti hain

      Delete
    2. ha cnfrm h hero ki dadi hi khti h

      Delete
    3. ye story nhi h un mein heroin bahut beautiful hoti hai aur hero smjhta hai ke wo hamesha makeup krti h

      Delete
    4. ye story nhi hai us mein heroin beautiful hoti hai aur hero smjhta h ke wo hamesha makeup krti hai

      Delete
  48. Ek novel tha.. Shayad Mariam Aziz ka. Chacha and his nephew are of the same age.. Aik Larki atti hai un k ghar Rehne tou Dono mil k use bohat tang karte hain. Towards the end Larki apne ghar chali jati us ki Bhabi apne cousin she uski shadi karwana chahti hai. The hero comes after her and picks her up from her school. It was a happy ending

    ReplyDelete
  49. Maine aik novel parha tha hero aur uska bhai jo shaid bahar se ata hai dono heroien ko pasand kertay hain per heroien aur hero ki shadi ho jati hai bad main hero ka accident ho jata hai to uski death ho jati hai aur sab heroien pe dabao dal k uski shadi hero k baray bhai se kerwa dete hain.hero heroien apas main cousins b hotay hain aur shaid sath sath ghar b hotay hain ink.kindly yeh novel bata dain

    ReplyDelete
    Replies
    1. Nimrah ye wo novel nahi hai us main shaid heroien k parents zinda hai aur herioen ikloti olad hai hero ka nam sameer hota hai shaid sahi yad nahi nam

      Delete
    2. Unfortunately yeh b nahi hai

      Delete
  50. A.a
    Aplus py any wala drama bheegi palken novel based h
    Any one tell me plz

    ReplyDelete
  51. Aoa mjhy ak novel ka name pta kerna the..... larki khoon baha main aati hai larka koi importance ne deta. ..... end main larki kitchen main hoti hai jb uski bhabi us ko btati hai larka us ko lena aiy hai..... bht arsa pehly parha tha shyad 2010 sy pehly waly kesi digest main

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      me check kerti hon

      Delete
    2. Ya ne hai ...... wo to bhtttt purani story the or end kitchrn main hota hai

      Delete
    3. Mila ne ...... plzźzzz koi btaa daiy werna main soooch sooch off or ghooond ghoònd ker pagl ho jaon ge

      Delete
  52. Aoa . Is novel ka naam bata dain .... Hero heroine ky ghar rahta hai cz jab hero my father ki death hoti tou heroine ky dad ussy sath ly aty hain ... Hero , heroine ka nikah ho jata hai ... Heroine usko like nhi karti , then heroine like karny lag jati hai , eid par end howa tha novel ... Happy ending . Aik scene main hero ky sath larki ati hai ur heroine sy intro mangti hai heroine kahti hai aik aisy larki jo khud apni talash main hai something like that

    ReplyDelete
  53. Heroin sab k naam rakhti h like bhabi ka carrot, unke bachon ka cherry, hero ka Apple.. Name bata den
    Thanks AJ

    ReplyDelete
  54. Plzzz aanchal hina and rida digest April 2016 kaab upload hun gain?

    ReplyDelete
  55. Assalamo Alaikum heroine hero ko apna uncle ya bara bhai manti ho or hero heroine se umar me bara hota hai but halat ki wajah se unka nikah ho jata hai or phir shadi k bad dono aik dosre ko pasand karne lagte ho is type ke novels k link de dain please me ne is se pehle b request ki thi please aise jitne bhi novels hai unke link de dain

    ReplyDelete
  56. Aoa kindly romantic long novels k names suggest kr dain jo last 5 years mai publish hoey houn.thanx in adv

    ReplyDelete
  57. Please AK novel bata dain jis main heroine ki shadi iske cousin se hoti h to wo upar shift hojati h iska beta bhi hota h hamza. Hero heroine ko dantata rehta h har kam perfect chahta b phir AK din iska beta gum hojata h to wo heroine lo kehta h k Agar ise kuch hua to wo ise Talq dede ga phir iska beta mil jata h to wo ise talaq Dene ka kehti h or hero ko ghalti ka ahsas hota h happy ending thi

    ReplyDelete
  58. AK novel bata dain jis main hero ka name I think fahad hota h uni based h.

    ReplyDelete
    Replies
    1. check kerty hain& or info ni hai kya?

      Delete
    2. Heroine bhi hero ko pasand karti hai I ka trip jata hai to iske walid ise pics khinchwane se mana karte hain to hero iske khenchane lagta h to wo ghusa kart hai hero naraz ho jata h. Hero I think apne bhai behn k sath rehta h hero or heroine k friends ki bhi story chalti h.phir hero or heroine aleda ho jate hai k heroine k Kie rishta aata hai or wo apne maa baap ko dukh nai dena chahti to wo hero se kehti hi k ise bhul jaye lekin baad main heroine ki engagement toot jati hai or phir wo apni behn se kehti hai k maine bhi maa baap ki izzat k lie aone pyaar ko chor dia etc to iske behn kehti hai tumhe kya zarorat thi Ak dafa batati to sai phir wo guilty feel karti hai.kafi salon baad heroine apni frnd se milti hai to wo phir se hero heroine ko milti hai. Happy end tha. Maine yahin pe pari thi different university stories k sath

      Delete
    3. Nimra yeh novel maine shuru k pages mai se kise main parha tha kise ne university based novels ki request ki thi to apne bekhabar main k tu by Sidra Sehar or mohabbat humsafa meri by Anila Kiran k sath yeh novel bhi dia tha ab mujhe wo page nai mil raha

      Delete
    4. Dukh sagar nu laiyyan udeekan bu Anila Kiran

      Delete
  59. Aslkm, Can u please tell me the name of a novel in which the name of hero was Umar and he was a doctor where as name of the heroine was Yashal. both were cousin and some misunderstanding develop between them during the marriage of hero's sister.

    ReplyDelete
  60. hi i m new here .mjhe jannt patty r mushaf type novel chhiye.r hn plz btaien k mnmayal drama scriptbased hi toh..

    ReplyDelete
  61. Heroin name was ujala.uska nikah hua hota h Jo kisi wujoohaat k bina khatam hojata h. End m uski shadi apny cousin se hoti h.
    She was only child of his father. Her mother was died. They live in joint family. Ek cousin sumair ya sameer bhi hota h. Eid p chillarr pakra dety hn larky apni czns ko as eidi. Plz name bata den

    ReplyDelete
  62. mjhe novel k bare main kuch yd nhi bs ik scene yd hai us main heroine,hero k liye chai bana rahi hoti hai wo us se pohuchti hai sugar kitni tou hero kehta hai k sugar ki zaroort nhi bs apni ungli ghoma do is main...woh mazak main keh raha hota hai aur heroine us asal main chai main finger ghooma k de deti hai

    ReplyDelete
  63. asak.muje us novel ka nam janna hai jiski heroin ka nam zubur aur hero asfandyar hai.ye 90's me pakiza anchl me shai hua tha.zubur asfndyar ko slht napasnd krti hai lekin bahrhal unka nikah hojata hai aur rukhstu se pehle zubur ek khat k zariye uske liye apni napasndidgi ka izhar krti hai aur nikah ko khtm krne ka kehti hai jisse asfand skht ghusse me ata hai aur bdle k irade se usse fauran rukhsti krwaleta hai.

    ReplyDelete
  64. Aoa Nimra. aap sey ek novel ki request hai i hope aap pori karde ge novel ka naam hey "Cinderella Izabela aur Shakila" by Riafat Siraj. thanks

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekum aslam
      kis digest m read kea kuch idea hai? q k ye available ni hai

      Delete
    2. i think it was in Jawab arz digest.boht saal pehle read kia it is in two part. mine uska tha last part parha hai. but i dont remember month and year its long time ago. i hope you still will help. thanks :)

      Delete
    3. Dosheeza digest kab tak upload hoga?

      Delete
  65. mujhy aik novel ka name poochna tha bohat arsy se talaash kr rahi hon .......
    hero doctor hota ha name nahi yaad heroine ( aqsa) k father hero k patient hoty han wo marny se pahly hero se request krta ha k meri beti se shadi kr lo wrna uski chachi is k saath bohat bura salooq kary gi hero ko majboran man'na prta ha phir aqsa k father ki death ho jati ha wo apni chachi k paas chali jati ha kuch din baad hero milny jata ha tu uski chachi kahti k ma usy milny nahi doon gi ya tu saath ly kr chaly jaoo , hero ko majbooran usy saath ly kr apny ghr jana prta ha wahan wo ghr waloon ko yeh kahta ha k iska is duniya ma koi nahi ha is liay yahan laya hon , phir aqsa wahan rahna start kr deti ha or ghr k kaam krti hoti ha , hero k choty bahi ko shaq ho jata ha phir aik din aqsa k chachii ki bati us se milny ati ha tu hero k bahi gate khoolta ha tu uski cousin usy bata deti ha unky nikkah ka ... lakin hero usy ghr waloon ko batany semana krta ha . hero ki phoophu apni bati ka us se shadi krwana chahti ha , uski phoophu ko dr hota ha k khandaan ka koi lrka aqsa se shadi ka na kah dy is liay wo aqsa ka rishta krwany ki koshish krti han jb hero ko pata chalta ha tu wo aqsa raat ko room ma ly jata ha jb subah aqsa hero k room se nikalti ha tu uski phoophu usy thapr maarti ha aur beizati krti ha tu hero cheekhty howy kahta ha k wo meri bivi ha........

    ReplyDelete
    Replies
    1. end pa aqsa ki cousin ki hero k bahi k saath shadi bhi ho jati ha

      Delete
    2. Iss mein heroine hero k driver ki beti hoti hai.aur I think yeh Shazia Mustafa ka novel hai.I have read it.but naam yaad nahi aa raha.

      Delete
    3. Oh yes.yaad aa gya.it's Sanwar gaya mera roop angan by Shazia Mustafa.

      Delete
  66. Assalamualaikum plz let mme know d novel in which hero name is daniyal and heroine both study in same collage and meet each other at d time of vote later he marry her at last he come to know that she is her chacha s second wife daughter ..another wife is from family and have 3 sons ...later her Co brother take side of her and fight with hero ...Plz let me know the name of nobel ...heroine hate hero daniyal. ..

    ReplyDelete
  67. Assalamualaikum. ..heroine doctor hai aur hero ke cousin hai ..heroine hero pasand karti nahi but hero us ko love karta hai ...I think hero ka naam bilal ..end mai hero ka computer par password hota hai sab log try tarted hai open karne but kise b nahi maloom ..uske bab heroine apna naam type karti hai to open hota imediately hero praise karta hai open kar dale to sab cousin dete hai .....Pl novel ka naam

    ReplyDelete
  68. Assalam O Alaikum..plz upload Safar raigan to hai by ghazal yasir malik part 2

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekumaslam
      digest ni mil rha jub bhi mila INSHAALLAH post kr den gay

      Delete
  69. ek novel chaiye tha jiski starting mae hero kafi time bd abroad se ghr wapis ata hai apni biwi ka letter milne k bd jis mae usne talaaq mangi hoti hai pr hero wapis a kr inkar kr deta hai then unki past life ki story chalti hai k kise unki shaadi hoi thi or shaadi k bd larki k ghr walo or hero k yeh misunderstanding ho jati hai k woh apne class fellow ko pasand krti hai jbke issa kuch nae hota lekin larki zid mae a kr phir yeh kehna shuru kr deti hai k han woh apne class fellow ko pasand krti thi or apne husband se nafrat krti hai yeh sb woh frustrate ho k krti hai but end mae hero ko sach pta chal jata hai ussi class fellow se mill k or happy ending thi novel ki .....please novel name bta den

    ReplyDelete
  70. Please upload full shayed and dil toot ke hara novels

    ReplyDelete

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...