Asslam o alekum friends and members
ap sb se guzarash hay k apni request k bare me best info like novel name, author name, jis digest me novel publish hoa us ka name , month and year, and agr ap ko us novel ki story ya main charecters yad hen to woh btaen ta k ap ka matlooba novel talash krne me asani ho and apni request k poora hone ka sabar se intizar kren k kbi kbi koi novel available ni hota ya us novel k bare me kuch pata ni hota is leay us request me der b ho sakti hay. Meri poori koshish hoti hay k ap ki request jald se jald poori ho sake. baqi sb members se b meri guzarash hay k agr ap koi req dekhen or ap ko us novel ka pata ho to kindly us req pr reply zaroor kren.
Request karne wale members se guzarash hay k
- Request krte hoey sath me apna name zaroor mention kren ta k next time jb ap us req k bare me poochen to hum ko pata ho k ap kis req k bare me pata kr rahe hen.
- Apna email id sath me mention kren ta k bad me ap ko link send kia ja sake.
agr ap ko kahen ksi qisam ki problem ho to ap mujhe mail kr sakte hen
aatish2kx@gmail.com
aatish2kx@gmail.com
ya face book pr mujhe contect kr sakte hen
https://www.facebook.com/aatish2k11 ( IMRAN ALI )
Ap apni request hmare facebook ke page pr b send kr sakte hen yahan
ap sb ke tahawan ka boht shukria.
Aoa ....possessive hero/heroine wale novels bta dein plz
ReplyDeleteAoa Nimra
ReplyDeleteMain ye request 2 bar pehlay bhi post ker chuki hoon aur 1 bandi nay page 47 pay bhi is ki request ki thi. Ap kindly dekhye ga
Need 1 Novel don’t know about Novel Name and Author but story goes like this…
Larki (Heroin ek Lecturer hote hai) ki Shadi hotay reh jati hai aur phir Shadi k waqt Dulha k Parents Dowry mangtay hain aur larki k father ki bohat insult kartay hain. Is per larki Shadi say inkar kar deti hai aur barat wapis chali jati hai.
Barati main say ek larka (Hero Bohat ameer hota hai) shadi attend karnay ata hai. Heroine say Shadi karta hai aur usay ek rented ghar main rakhta hai.
larka larki se kehta hai k wo apne parents ko pehlay Shadi k baray main bata kar larki ko ghar lekar jaega.
Beach main kuch problems atay hain in k darmiyan. Aur phir their parents accept her and they live happily.
Walekum aslam
Deletecheck kerti hon
I want to. Know the name of the novel in which hero said ager tum mujhe na milti tou shayad main Mar jata.. I guess 2nd marriage thi dono ki boy gave divorce because he. Couldn't have kids. Because. Of his. Problem and girl had a kid and was already divorced and hero and heroine were. Cousins
ReplyDeletemilta hai tu inform kerty hain
DeleteSham e khizan taveel sahe by Farah Bukhari
DeleteYes thank you I just realized I mixed up two stories the line ager tum mujhe na milti tou main Mar jata is from other novel all I remember is that they were cousins and shayad guy or the girl was getting married to someone else and they liked each other
DeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDeleteAssalam o alaikum, mujhe ek novel ka name poochna tha. Girl is from a rich family, has 3 sisters and is about to marry her cousin who she loves and he loves her too. But while working for an NGO, he comes across a girl who is an acid victim and falls for her and marries her. She dies after they have a daughter and the boy comes back to her ex-fiance and apologizes. She forgives him and afterwards they marry. Ends on they both having a son.
ReplyDeleteSorry I don’t remember anyone’s name, read it online somewhere.
Thanks!
Ibne adam by Saima Akram Chaudhary
DeleteAssalamu Alaikum
ReplyDeletePlzz 2001 bad k novel ya digest ki link De De
WAlekum aslam
Deletetmam digests k ?
1 novel chahiye tha jo kafi purana hai heroine hero k mamu ki beti hoti hai hero aur uski badi bahen maa k sath mamu k yaha rehte hai mami achi nhi hoti unhe bahot tang krti hai jb mamu Mar jate hai to wo bahot gareeb ho jate hai aur fir hero ki maa ko kehti hai meri beti ko apni bahu bana lo hero inkar krta hai to uski maa bimar ho jati hai to hero shadi k liye ha kehta hai maa khush hoti hai aur wada le k Mar jati hai hero shadi k din room me nhi jata to bahen kehti hai ab to shadi kar li hai use nibah k ammi ki rooh ko sukoon pahonchao to hero gusse me jata hai aur heroine ko uski maa k tane deta hai plzz naam bata De aur writer ka name bhi
ReplyDeleteThanks
Plz koi naam bataye na
Deleteplx cute short romantic novels bta den jin mn nikah already hua wa ho...plx
ReplyDeleteTere rung wich novel by Rehana Aftab
Deletebachpan k nikah k short romantic novels bta den na ...plx
ReplyDeleteplx bta den na
DeleteAp ye daikh lain, in main bachpan mai Nikaah hua tha!
DeleteSuno Maan Jao by Umm-e-Emaan Qazi
Gulab Ruton K Payambar by Fozia Sana Akbar
Tum He Meri Manzil Ho by Nadia Fatima Rizvi
Dil Ko Yakeen Hai by Rahat Jabeen
Teri Ulfat Main Sanam by Rubina Nadeem
Dil Main Phool Kya Khilay by Afshaan Afridi
Deletethanx...love you
Deletesalam.. muje ik novel ki talash hai.. kafi arsey pehle phara tha.. name yad nahi but story kuch kuch yad hai.. herione yateem hoti hai aur apne mamo mami ke sath rehti hai mami use pasand nahi karti. herione ki ik frnd hoti hai aur frnd ka khalazad bhai herione ko pasand karta hai aur ristha bhej ta hai and herione ki us larke se mangni hojati hai.. uski frnd herione se jealous hoti hai kyun woh apne czn se mohabbat karti hai aur ik plan banati hai.. frnd herione ko ik mall main lekar jati hai jidhar herione ka mangetar bhi ata hai use milne.. frnd na ik dukan se kuch chura ke herion ke beg main dal deti hai.. dukan ka manegar kehta hai ke herione ne kuch churaya hai.. mangetar bhi udhar hota hai use ghussa ata hai aur mangni tor deta hai phr herione ki shadi uske mamozad se hojati hai jo use pehle se pasand karta hota hai but mami ko acha nahi lagta.. story age bharti hai.. end main herione ke husband ko haqiqat pata chal jati hai.. please is novel ka name bata de.. thanku
ReplyDeleteWalekum aslam
Deleteabhi tk ni mila
aoa . mughy is novel ka naam bata dain ... hero heroine joint family main rahty hain .... heroine bhtt ladali hoti hai ghar ki , hero ki aik fiancé hoti hai bhtt mod se hero bhi usko like karta hai heroine apny apko bhtt dupattay main rakhti hai ..... hero ko nhi pata hota but heroine ko pataa hota hai unka bachpan main nikah ho chukka hai ... aik scene main hero usko late lainy ponchta hai tou kuch larky usko tang krty hain ur wo behsh ho jati hai ... hero usko ghar lata hai ghar par koi nhi hota , hero usky sath thora romanticly behave karta hai heroine usko kuch gussay main ulta bol daiti hai hero usko slap kr daita hai ..... aik scene main hero ko uski waga sy ghar main first time thapar parta hai .... hero usky room main raat ko badla lainay jata hai but wo so rhi hoti hia hero uska blanket set kr ky wapis a jata hai ... hero ko bhi usky sath apny nikah hony ka pata chal jata hai ... last main hero ka accident ho jata hai wo blind hony ka drama karta hai uski mod fiancé ussy shaadi karny sy inkar kar daiti hai .... heroine usko eyes donate karna chati hia ....
ReplyDeleteKindly tell me name of that novel
DeleteWalekum aslam
Deleteabhi tk ni mila
check this
DeleteGulab rutaon k payamber novel by Fozia Akbar
Assalam o Alaikum
ReplyDeleteMuje aik novel chaiye jo kafi time se talash kar rahi hon magar mila nahi. Nam yad nae magar kahani kuch aisy the ke heroine 1 he bahn hoti hai 4 bhaion ki. Uska nam Zoya hai. Uski engagement cousin se hoi hoti hai lekin jo bad mai toot jati hai kyun k cousin usy azaad khyal samhjta hai. Zoya kay bhai ka dost Ghaznavi hai jo zoya se pyar karta hai. Ghaznavi zoya ki mangni aur phir shadi ka sun kar mulk chor daita hai lekin jab wapis ata hai tu usy pata chalta hai zoya ke kabe shadi hoi nae lekin toot gae the. Later he marries zoya. Happy ending the.
Please help me find the name of the novel.
Gulab sahaton ki navid novel by Maryam Aziz pdf.
DeleteAOA mujhe ik novel chahiyeh jis mein ik larka hota hai umer wo bohat time baad wapis gaon ata hai aur wahan ik larki hoti hai un ki rishtedaar kuch time baad dono ka nikah ho jata hai lekin larki accept nahi ker sak rahi hoti phir larki ki maa kisi jirga mein failey k liye jati hai to wapsi per uski maa ko goli lag jati ha end happy tha story ka
ReplyDeleteWalekum aslam
Deletecheck kerti hon
confrim kr den
DeleteDhal gae phir hijar ki raat by Sumaira Shareef Toor pdf.
Thanks :-)
Deletethe line ager tum mujhe na milti tou main Mar jata is from other novel all I remember is that they were cousins and shayad guy or the girl was getting married to someone else and they liked each other
ReplyDeletemazeed kuch info ni kya
Deleteni mil raha esy
mjhy aik novel chahye. hero ka name shezore or heroine ka anzila hota hai. dono cousins hoty hain or heroine k parents ki bachpan mai death ho jati hai. hero taya ka beta hota hai. unka nikah bachpan mai ho gya hota hai or heroine apni nani k sath rehti hai. lekin usky baad heroine apne husband k ghar chali jati hai shyd nani ki death ki waja se. hero abroad se ata hai. aik scene mai hero pani mangta hai ya coffee to heroine de deti hai to wo kehta hai k mai ne tm se nhi manga.
ReplyDeleteAp k novel ka naam hai "Tum He Meri Manzil Ho" aur ye Nadia Fatima Rivi nay likha hai.
Deletethankyou so much:)
Deletehero yateem hota ha us ka bachpan me accident hta ha heroin k father ke car k st ur wo hero ko apny ghar le ataa ha heroin hero ko dislike krte ha. hero bht sanjeedaq miaaj ka hta ha. wo phr braa ho k bahir chla jata ha phir heroin ko us se pyar ho jata ha. hero k parents ko kis ne qatal kia hta ur wo bahir unhee logo se badlaa lene jata ha.
ReplyDelete?????????????????????
Deleteabhi tk ni mila
Deletemila?????
Deletei want a novel hero twins hoty hain naam umer or usman hota hai umer k sath heroine engaged hoti hai or dosra bhai usman bahir se ata hai or heroine ko pasand krny lgta hai end mai umer ka accident ho jata hai or death ho jati hai or usman umer ban k family k sath rehta hai or larki ko realize hota hai k usko usman se muhabat hoti hai phr happy ending thi.
ReplyDeleteTery pehlu kay saman aur gulab novel by Tehseen Anjum.
Deletethanks a lot mam
DeleteAOA mujhe aik novel chahiye name yaad nahi,hero ka shayed naam shah meer hota hai aur heroine ka name bhi yaad nahi,story kuch iss tarha hoti hai k hero heroine uni main parhte hain lekin aik dosre ko pasand nai karte phir unki shadi ho jatti hai woh phir bhi aik dosre ko pasand nai karte ,heroine ka baap nai hota sirf maa hotti hai,phir hero ka baap hero heroine ke liye honeymoon ki tickets lata hai lekin heroine hero ki zid se manna kar detti hai lekin phir apni maa ki waja se majboran chali jati hai aur honeymoon pe hero heroine ke saath zabardasti karta hai aur woh bohat roti hai jis se hero sharminda ho jata hai phir hero se kehti hai ke mujh ghar chor do aur woh use us ke ghar chor deta hai aur woh bemaar ho jati hai aur hero us ke ghar use manane ata hai phir bhi wo nai manti aur wo mayoos ho k apne ghar chala jata hai.end main ghar wale sare hero ki Birthday celebrate kar rahe hote hain sirf heroine waha nai hoti tu hero sad ho jata hai lekin jub apne room main a k light on karta hai tu heroine cake ke sath thehri hoti hai aur maan jati hai.
ReplyDeleteWalekum aslam
Deleteme check kr rahi hon
abhi tak nhi mila?
DeleteAOa. Mujhy aik novel chahiye jis main herioun ki bhabi uska soda kisi k sath kerti hai. jis ki waja sy wo ghar sy baag jati hai. Uska accident hero ki car sy ho jata hai. baad main uski shadi heo sy ho jatti hai but herioun ki mother in law us per koi ilzam laga ti hai jis per wo log ghar chor ker chalay jatay hain
ReplyDeleteWalekum aslam
Deletecheck kerti hon
Be dagh novel by Nabeela Aziz.
DeleteAoA. First time posting. Really hope you can figure out what novel i'm talking about.
ReplyDeleteI remember random bits of the story so here goes:
1. I think the hero's family consists of brothers only no sister. there's even a scene in the beginning where 2 brothers go to the airport to pick up 2 girls who're gonna visit the family. could be cousins of family friends.
2. One of the brothers ends up having to marry the girl but he's really unhappy and blames the girl. I think the girl DID want to marry him
3. He stays aloof until she taunts him by insinuating to some of the aunties at a function that the reason why she's not pregnant is because he's impotent. The hero hears and forces the heroine and she gets pregnant. they have twins
4. The hero decides to go into the music/modeling? (i'm not sure which one) and then meets a girl he falls for and tells his wife that he's gonna marry her
5. The other girl turns out to be the heroine's half sister. Hero does nikah with her as well but the half sister realizes that she's in the wrong and goes away. she sends a letter to the hero with divorce papers and confesses that she knew all along the heroine was her half sister and that she's dying of cancer in some foreign country.
This is all i've got so i really hope that somebody knows the name of this novel
Walekum aslam
Deletemilta hai tu inform kerti hon
Shahkar by Riffat Siraj,
DeleteThank you so much! this is the one i'd been looking for :D
Deletekindly mujhe short stories bta den achi
ReplyDeleteDear Hareem
DeleteAp Rahat Jabeen, Afshan Afridi, Mehwish Iftikhar, Saima Akram Choudhary, Aaliyah Hira aur Rehana Aftab k novels parh lain. Mera khyal hai achay hotay hain.
Aoa mujhy aik novel ki talash hai.. mjhy hero heroine kisi ka naam nhi pta. bs thori si story yaad hai k heroine ki shadi zabardasti hoti hai wo kafi dafa bhaagny ki koshish bhi krti hai per wo log usko pakar lety hain phr wo pregnant ho jati hai or hero ko ya kisi ko bhi pta nhi chlta or aik scene ye bhi tha k usko vomiting aa jati hai to wo kehti hai k shyd bahir ka khana khany se stomach upset ho gya. or aik baar jab wo hero k sath ja rhi hoti hai to car ka accident ho jata hai or jab hero usko doctor k pas leky jata hai to doctor btati hai k ye pregnant hai. end mai wo eid waly din heroine ko manata hai or end ho jata hai.
ReplyDeleteMohabbat dhanak rang orh kar novel by Sumaira Sharif Toor
DeleteAap k description pe 2 novels hein. Donon Sumaira Shareef Toor k hein.
ReplyDelete1. Mohabbat Dhanak Rang Orh Kar.
2. Hisar-e-Mohabbat.
Please bataiye ga agar in mien se koi hai to.
1st wala hai mam. thankyou so much.
DeleteAoa ....possessive hero/heroine wale novels bta dein plz
ReplyDeleteAoa ....possessive hero/heroine wale novels bta dein plz
ReplyDeleteNovel bta dein tujhe juzve zindagi krlu type k plz ....heroine is typ ki ho jin novels mei
ReplyDeleteplz check this novels list
DeleteKidnapping Based Romantic
Aoa.mein ney last pages pay kuch request di thain.wo abhi tak puri nahe huein.ya jo request last pages per reh jati hain wo aap check nahe karty .kindly reply me
ReplyDeleteWalekum aslam
Deletemily tu inform kron ge
Aoa aik novel ka name bta dein hero ka name aliyan hota hai or heroin ka name samreen hota hai herion medical ki student hoti hai or hero us ki frnd ka bhai hota hai hero ki family kafi ameer hoti hai or woh kisi northrn area me akathay safar kr k jate hain... heroin hero ko shuru se psnd krti hoti hai or hero ki eyes colored hoti hain...
ReplyDeleteWalekum aslam
Deletedekhti hon
aoa. i am looking for a novel jis main heroine k parents nhi hoty or heroine apny cousin ko pasand krti hai. wo apny maamu k sath rehti hai or uski maami uska rishta aik psycho larky se kr deti hain. wo larka usko shadi ki raat ko maarta hai. us ka dewar larki heroine ko pasand krta hota hai phly se. aik dafa heroine ka husband heroine ka soda kr deta hai paison k liye to hero (devar) bachata hai. devar heroine se bht rude hota hai. or heroine ka husband usi raat accident se mar jata hai ending was happy. please find it for me. ye 2012 k baad k kisi digest mai tha or 2 ya 3 episodic tha. thank you.
ReplyDeleteAp k novel ka name hai Tabeer by Maryam Aziz. ye Shuaa April 2014 main publish hua tha. You're Welcome:)
DeleteTahbeer novel by Maryam Aziz pdf.
Delete:) thanks alot zara and nimra
DeleteKiran digest july 2017 Plz upload kar dain
ReplyDeletesorry hum post ni kerty
DeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDeletehello. Can u help me find this novel
ReplyDeleteye novel joint family adoption type novel hai jis mai larka aik conservative family mai adopted hota hai lekin is family mai goad li hoe aulad ko apna nahin mantay. Is pe ilzam lagta hai tou ye ghar chor kar chala jata hai. Phr taraqqi karta hai aur naam banata hai apna. End pe iska accident hojata hai tou sari family sath ajatai hai. larkay ka naam shaid aikas ya aiis hota hai.
ReplyDeletecheck kr rahi hon
DeleteThanku so much. Waiting for that
DeleteDid you have any luck finding te novel miss nimrah?
Deletesiso ni mila abhi tk
Deletethnx for trying
Deletedid you have anyluck finding my novel
DeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
Deleteaoa hum drama serial aadhi gwahi is novel based or not??? if it is a novel then plz tell me the name of the novel...
ReplyDeleteWalekum aslam
Deletescript hai
thanks
Deleteye novel mai ne kisi digest mai nahi parha ye alag se novel tha. heroine ka naam gul paikar hota hai. hero ka naam waqas hota hai. uski maa aik actress hoti hai qk uska baap uski maa ko chor deta hai is liye usko paisy kamany k liye ye kaam krna parta hai. jab hero ki maa marti hai to letter mai ye btati hai. wo apny baap k ghar nokar lag jata hai apna huliya badal leta hai. apna naam bhi kaasu rakhta hai waqas ko ulta kar k. aik dafa heroine usko adal mai daikh leti hai to wo kehta hai k wo kaasu ka dost hai. heroine uski sotaili maa ki beti hoti hai or us se pyaar krny lgti hai . wo sirf badla leny k liye shaadi krta hai. end acha tha. plz kisi ko pta hai to bta dijye
ReplyDeletemily tu inform kerti hon
DeleteAslam o alikum muje "kashi or kaya" type ke novels chahiyain agr is se milte julte novels hon to un ka name bta dain ye novels salwa ali butt ke hain
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
DeleteNimra ali ap ne aise novels ke bare me bataya nhi
DeleteBuzdalair by shameem naveed, ye novel mil sakta?
ReplyDeletesorry its not available
DeleteHero ka name huzaifa ur heroine ka name sahil hota ha hero yateem hota ha, us ka parents k dost ne paiso k lalach me hero k parents ko marvaya hota ha. hero jab chota hota to heroine k father k car ke sth us ka accident hota ha ur father unhe apny ghar le aty hn. heroin hero se nafrat krtee hotee ha. hero jb baraa hota ha to foreign country chla jata ha jaha us k parents ka dost hota ha jis ne usky parents ko marvayaa hota ha ur un se badlaa leta ha. jb hero bahir jataa ha tu heroine ko us ke yad ate ha ur hero ka paas bahr jate ha
ReplyDeletecheck kerti hon
DeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDeleteAsalam o alaikum,
ReplyDeleteZohra mumtaz ka novel hey. Novel 90's me digest me qist war shaya hoa tha. Hero heroine dono doctor hen. Heroine medical student hey. Heroine ki shadi Dr. Tariq se ho jate hey. Dr. tariq doesn't accept him as a wife. Dr. tariq believes his wife loves her classfellow. Finally, heroine leaves dr. Tariq's home and comes to her father's home. Dr. Tariq was also about to leave the country in the 2nd last episode.
Kindly can you please provide the novel. I love this novel and i've been looking for this for a long time.
Please aesa koi novel bataye jis mai hero rude teacher ho or heroin hero ko pasnd karne lage or inki shadi hojaye..romantic novel + happy ending ho?
ReplyDeleteJldi reply kardain?
yeh lish check kren
DeleteTeacher Student Romantic Urdu Novels List
Plz plz mere hamdam mere dost jese novels bta dein plz
ReplyDeletePareet na keejyo novel by Bushra Siyal
DeleteWoh meri dastaras mein tha novel by Nabeela Abar Raja
Aise novel bta dein jis mei hero heroine ko pasand krta ho but ya tw wo bht serious type ka ho ya phr funny ho aur heroine ko end pe pta chale k he likes her
ReplyDeleteMeri dharkano ko qarar do novel by Maryam Aziz
DeleteTum akhri jazeera ho by Umme Maryam Complete
Mery hissay ki zameen mery hissay ka asman by Shafaq Iftikhar
Kasa e dil by Sundas Jabeen Complete
Jo bachey hain sang samait lo by Farhat Ishtiaq
nMain mohabbat or tum novel by Zarnain Arzoo
Possessive hero wale novels bta dein plz
ReplyDeleteHi,
ReplyDeleteI need a novel I think it's from Kiran digest publish in 2002 or 2003 I don't remember the year heroine name was dua and she was doctor and hero name was awaits, heroine was engaged with cousin and he died in accident and she doesn't wanna marry after wards and in the end hero had an accident and she get scared thts all I remember
If u can tell me the name I will be very thank ful
Assalamualikum...
ReplyDeleteAaj tak meri ek bhi request poori nahi hui...Plz yeah request poori kardijiye☺....
1.mujjhe romantic soft novels bataye jisme hero,heroine se bohot mohabbat karta ho
2.aise novels jisme hero heroine se age me bohot bada ho. .Heroine bohot kam umar ho . Or hero usse pyaar karta ho ...
Jaise ...
Meherbaan by nabeela Aziz
Mohtabar lagi Teri wafa by laraib momin..
Fasly aur chahaten by Shagufta Bhatti
DeleteMein mohabbat aur tum novel by Shazia Mustafa complete
Aik Nayi Cinderella novel by Faiza Iftikhar
Ek thi naina by Rahat Wafa
Tum sang naina laagy novel by Subas Gul
Zindagi tum ho novel by Madeha Tariq
Sirf tum novel by Asma Qadri
Mohabbat dil ke sehra mein novel by Shazia Mustafa
Shehr e chara garan by Sadia Amal Kashif
Sheher e yaran by Riffat Siraj
Fasly aur chahaten by Shagufta Bhatti
Wohi to hai novel by Uzma Iftikhar
ma ny ap ki page pr para tha novel theek sy yad nhe ....story khuch yu hy hero ko family bht value hoti hy but heroeien usu ignor krti hy baad ma shadi bhi ho jati hy un ki...aik scene ma larki misbhave krti hy jsi s hero ka bp shot shoot kr jata hy ...plz bta dy
ReplyDeleteKasa e dil by Sundas Jabeen
Deleteaik novels he do friends adventure k lie aik larhkay ko kidnap kar leti hen wo police mn hota he phir s ki un mn se aik se shadi ho jati he ...plx bta den
ReplyDeleteSilsiley roshni ke novel by Nabeela Abar Raja
Deletekia is page per ab reply nahi hote kia??????
ReplyDeleterpl hota hai ap apni req bata den plz
DeleteSalam api:
ReplyDelete2 month phlay ek novel ki request ki thi par koie reply nhi kiya app ny aisa first time howa hai khair abhi ek or novel yaad aya hai os main ladki ka name mahak hai or hero ki mother os ko passand nahi karti ladki hostel main rahti hai or jab hero os ko lay kar ghar ata hai tu os ki mother ladki ko talaq ka boltien hain hero ladki ko apny ghar main chor kar khud out fo country chala jata hai or hero ka chota bahi os ka khayal rakhta hai happy
ending hai plz kindly es novel ka link lazmi batadain kyun k yeh ek teacher ki request hai jis ko holidays bhi sirf thori c rah gayen hain yani 25 ko school on i hope k app yeh request zarorr pori karain gee thaku soo much
plz check this novel
DeleteManzar se hat kar by Nayab Jelani
please mujhe iss novel ka name bata dein ye shayed old story hai hero shadi shuda hota hai us ki ek beta ya beti hoti hai aur wife ki shayad death ho chuki hoti hai uski shadi dobara hoti hai to larki shadi wale din bhag jati hai tu larki ke ghar wale apni izat bacane ke chakkar mein hero ki shadi larki ke cousion yani heroin se kerwa detien hain heroin ki age 10 saal ki hoti hai aur isse shadi ki itni samajh nahi hoti haihero ki heroin se shadi ho jati hai aur apne ghar lay aata hai aur heroin hero ke bache se kafi attached ho jati hai happy ending hoti hai pleassssssssssssssssssssssssssssssssssssss
ReplyDeletehai
Pareet na keejyo Complete novel by Bushra Siyal
Deleteye wali story to meiye wo wali story nahi hai ye story kafi old hai iss me hero ka ek beta bhi hota hai
Deletedpbara check kr lety hain
DeleteEk novel tha, heroin ka nikkah hota h hero se. Dono k dermian kafi age difference tha. Dono ghaliban ek he ghar m rehrhy hoty hn. Hero usko pasand nhi krta r vo shayd ghar chor k jarahi thi to jaty huey hero ka muffler sath le jarahi hoti h. To hero dekh leta h. R phr rukhsati k liye kehrae h ghar m.
ReplyDeleteThanks alot
AJ
Its Bisat-e-Dil Bhi Ajeeb Shay Hai by Afshan Afridi.
Deletekasa e dil jese novels bta dein
ReplyDeleteaooa i have 2 requests:
ReplyDeletein this novel heroen is so shy and is very scared of males. heroen ka nikah jis say hota hay woh boht bold or expressive hota hay or heroen us kay sath rude behave karte hay. hero boht ghusay main aa jata hay . us ke shade ke raat woh us ko boht marta hay.
2) novel mariyum aziz ka hay is main hero Dariab hay or rich hay but woh taxi driver bunta hay heroen kay samnay. heroen kay walid cancer kay mareez hotay hain un ka nikah kar datay hain .
Second novel is Wohi Rasta Wohi Manzil Meri by Maryam Aziz.
Delete1st search kerty hain
DeleteWohi rasta wohi manzil meri novel by Maryam Aziz.
thanks Sarah what about this one.
ReplyDeletein this novel heroen is so shy and is very scared of males. heroen ka nikah jis say hota hay woh boht bold or expressive hota hay or heroen us kay sath rude behave karte hay. hero boht ghusay main aa jata hay . us ke shade ke raat woh us ko boht marta hay.
ANd also do you know any Effat Sehar Tahir novels lke "Bin mange Dua"???
mily tu inform kerty hain
DeleteAslam o alikum muje "kashi or kaya" type ke novels chahiyain agr is se milte julte novels hon to un ka name bta dain ye novel salwa ali butt ka hai....or sath hi un sub novels ke name bta dain jin.me heroine hero se barri ho
ReplyDeleteAssalam O alaikum.. Mujhe novel sard jheelain by faiza iftikhar me last k kch pages missing plz fix this problem. Thankx.
ReplyDeleteAslamo ALikum
ReplyDeleteik Novel he jo k Jasosis Dijest, ya Suspance me aya krta tha,, us ka link chahey, us me Shehryar (Assistant Commissioner) hota he r heroine ki shadi pehly kisi or k sath ho jati he phr bad me is k sath hoti he r vilan k name Ch. Zulfiqat hota he shaid plz ye search kr den
I think Its Gardab by Asma Qadri.
DeleteG bilkul Theek.
DeleteThanks
Aoa... 1st time request kr rhe hn.. Novel sard jheelain mn last k pages missing hain plz pages add kardain.
ReplyDeleteWalekum aslam
Deletedigest ka pta ni chal raha werna add kr dety
Aoa... Please suggest some long romantic novels like tere pyar ki khushbu....Reply soon....
ReplyDeleteAOA
ReplyDeletemuja aik novel ka link cahya.
story is tarha hai ka larki ki mother stap hoti ha or wo usa passand nai karti par mother buri nai hoti wo apna bhai ya bahan ka bata sa us ki shadi karwa dati hai larki hero ko passand nai karti larka ki ya dosri shadi hoti hai pahli pahla di hi khatam ho jati hai hero par uski bhabi na ilzam laga kar badnam kiya hota hai jis sa uska baap ka elawa sab nafrat karta hota hai last pa larki thik ho jati ha or happy ending hoti hai .ya novel ma nai yaha pa hi parha ta naam or link da da
larka ka naam sayad mustafa ya irtaza hota ha
WAlekum aslam
Deleteabhi tk ni mili
Hi I need to know about a novel heroine' name is arbeeha malik heroine ka Bhai hero k chotty Bhai ka murder krta h jis ki Waja se heroine ki hero se shadi hoti h jo k kisi sindh k gaon k wadeery ka beta Hota h wo USy kafi torture krta h USy nervous breakdown b Hota h bad me USy pta Chalta h k Murdee heroine k Bhai ne ni blky us k driver ne kiya tha ending was happy Plz tell me about novel's name hero ka sirname shah tha it's my 1st request on this blog
ReplyDeleteQafley rah bhool jatey hen novel by Sundas Jabeen pdf
DeletePlz,mujhe ek novel chahiye jisme hero ki first wife ki death ho jati h aur uska naam yusra hota h hero ki behen jaberdasti uski dosri shadi ker deti h kekin hero ka behaviar heroin ke sath bahut kharab hota h mujhe naam nhi yaad h is story ka link de de
ReplyDeleteAisi to bohat saari stories hein. Koi specific scene batayen ya hero heroin k naam batayen.
Deletecheck kerty hain
Deletecheck this
DeleteDard e ishq novel by Nadia Amin.
Saat rungon ma bheega wajood by qamrosh ashok.....jo apna aj post kya tha but wo complete nai hai
ReplyDeleteRat m check kejeay ga .
DeleteMuje kashi or kaya types ke novel chahyain jis main heroine hero se bari ho...aise jitne bhi novels ap ke ilm me ho bta dain ...thanks
ReplyDeleteEk novel Praha tha bht saal pahlay. Ek scene yaad ha hero aur heroine ki shadi hvi hoti ha. Shayad heroine is shadi se khush nhe hoti. Us ki behan ki engagement pa wo black saarhi ma bht achi trah Tayar Hokar ati ha jb wo daikhti ha k hero b tayar hokar ja raha hota ha to wo nhe jati. Q k us ki Behan ka fiancé hero ka dost hota ha. Bs yahi yaad ha
ReplyDeletePlz reply
Deleteabhi tk ni mila
DeleteSalam...... Mjhe pakeeza aanchal january and march 2011 ka link de dain...
ReplyDeleteaoa
ReplyDeletedrama yaqeen ka safer kya novel base ha agar ha to iss ka link da de
G novel based hai lekin story kaafi change kar di hai. Just Google Yaqeen Ka Naya Safar novel. You will find it.
Deletehi I need a novel me ne online perha tha. story hero and herion are cousins and their mothers were married to 1 brothers but hero and herion hate each other. their Grandpa before going to Hajj fix their wedding. when they got know know this herion help hero to find a girlfriend to use this as a excuse to stop the wedding. ending was happy
ReplyDeleteDo nut khut dil by Sara Jabeen
Deletehi ary drama serial "BUDNAAM' novel based hai agar hai to plz name patha dein thanks
ReplyDeletescript based hai
DeleteAOA
ReplyDeletemuja aik novel ka naam pata karwana hai pls tell me.
us navel ma larki aik factory ma kam karti hai our us ka boss usa passand karna lagta hai larki ki shadi pahla pi ho cuki hoti hai apna cousin sa lakin wo jald hai usa divoce da data hai aik scene hai us ma larki barish ko dakh rahi hoti hai or usa us apna passed yad ayta hai larka usa purpose karta hai to larki usa apna bara ma bata dati hai or wo hurt hota hai becase pahla b cheet kia hota hai end happy hai plz novel naam bata di
Walekum aslam
Deletecheck kerty hain
confrim kr den
DeleteNazak hai rishta dil ka by Asia Saleem Qureshi
aoa aik novel ki request karni thi
ReplyDeleteheroin k father ki death hui hoti hai or phr us ki mother ki bhi death ho jati hai tu mamu us ko apne sath le jate hain or apne bete se us ka nikah karwa dete hain mamu kafi ameer hote hain mami bhi achi hoti hai un ka beta shaid america se arts parh raha hota hai mamo larki ko bhi sath bhj dete hain wahan woh us k sth bht rudely behave karta hai dono aik hi uni me jate hote hain mgr hero us ko apne sth nahi le kr jata heroin local jati hoti hai or us ne heroin ko mana kiya hota hai kisi ko bhi btane se k woh us ka czn or shohar hai hero ka ghr me apna studio bhi hota hai jidhr woh kisi ko bhi nahi anay deta hota or kafi gf bhi hoti hain..... baki yad nahi hai happy ending thi
Walekum aslam
Deleteme dekhti hon
Rastay aur manzilen by Hira Batool pdf.
Deletenai wala nai ha jo ap na uper batya hai iss ka last iss tarha hai ka hero us sa milna ayta hai our us sa kahta ha ka ma tum sa shadi karna cahta hu larki kati ha ka ma ab kuch nai kar sakti mara rishta mara father na tahkar diya ha our phir iss ko pata calta hai ka wo yahi hai or dono ka father old frinds hota ha
ReplyDeletedrama serial adhi gawahi novel based hai to please us ka name bata dein
ReplyDeletescript based hai
DeleteAoa ...mata e jaan jese novels bta dein
ReplyDeleteWalekum aslam
Deletesad end waly ya hero k death waly?
plz mujhe amna Iqbal ahmad ke novel uska ghar and ajeeb shaks he k links btadn
ReplyDeleteSorry available ni hain
DeleteSALAM, KUCH ESY HAPPY ENDING WALLY ROMANTIC NOVELS BTA DEIN JIN ME HERO AND HERIONE KA CONTACT NET YA PHONE PR START HO AS AN ANONYMOUS .THANKYOU
ReplyDeleteplease dosheeza september 2017 ka link de dein
ReplyDeletesorry hum dosheeza post ni kr rahy
DeleteAoa Nimra
ReplyDeleteMain ye request 2 bar pehlay bhi post ker chuki hoon aur 1 bandi nay page 47 pay bhi is ki request ki thi. Ap kindly dekhye ga
Need 1 Novel don’t know about Novel Name and Author but story goes like this…
Larki (Heroin ek Lecturer hote hai) ki Shadi hotay reh jati hai aur phir Shadi k waqt Dulha k Parents Dowry mangtay hain aur larki k father ki bohat insult kartay hain. Is per larki Shadi say inkar kar deti hai aur barat wapis chali jati hai.
Barati main say ek larka (Hero Bohat ameer hota hai) shadi attend karnay ata hai. Heroine say Shadi karta hai aur usay ek rented ghar main rakhta hai.
larka larki se kehta hai k wo apne parents ko pehlay Shadi k baray main bata kar larki ko ghar lekar jaega.
Beach main kuch problems atay hain in k darmiyan. Aur phir their parents accept her and they live happily.
Walekum aslam
Deleteni mila tha phr se search kerti hon
ye drama script "Asmano pr likha" hai novel ni hai
DeleteSalam ek novel ki request kerni thi author aur Digest ka name nahi yaad aur novel kafi purana hai story kuch iss tarah hai hero ( name shaid sohail) akela rehta hai aur larkiyon se nafrat kerta hai kiun ke uss ki mother bhaag gai hoti hai aur heroine ( name shaid Sabin) apni dadi ke saath rehti hai hero heroine uni men takrate hen to hero heroine ko thappar marta hai heroine university men badnaam ho jati hai iss liye uni chor deti hai uss ki dadi us ki shadi aik Dr. se ker deti hai jo ke asal me usse badnaam kerta hai woh usse nikah ke Baad kothe pe bech deta hai heroine boht zulm sehti hai Par tawaif nahi banti boht koshish ke baad wahan kisi ki help se farar ho jati hai aur apni step sister ke ghar pohnch jati hai wahan hero bhi mojud hota hai jo uss ke behnoi ka frnd hota hai woh apni sis ko sari story sunati hai to uss ki behen foran uss ki shadi hero se ker deti hai PLZ PLZ iss novel ka name bata den
ReplyDeleteThanks in advance
Walekum aslam
Deletejesy he milta hai ap ko inform kerti hon
aoa.i am looking for anovel in which heroine's relatives wanted to get all her proprty transferred to their names.one of them also hires a guy and persuade her to rape the girl but he did not.heroine request for contract marriage and the boy agrees to it.inthe end the guy turns out to be a wealthy person,and boys fake name was tariq.kindly let me know the name of this novel.
ReplyDeleteWalekum aslam
DeleteAyenay ko robaru rakhna novel by Nabeela Abar Raja pdf.
kindly mjhe zindagi khaak na thi k trah k novel bta dyn koi new hon ya jisme larka larki uni me prhty ho larka lrki ko psnd krta ho lrki usy dislike kry or lrka us se nikkah kr ly bad me sb ghr walo ko pta chaly
ReplyDeleteA.a plz rida digest October 2017 k link de dn
ReplyDeleteWalekum aslam
Deleteidary walon k permission ni hai so hum post ni kerty
Aoa mujhe ek novel ki talaash hai jis mein hero arifeen hota hai or heroine urwa hoti hai usme hero ki biwi kuch achi nahi hoti or kabhi maa b nahi bn skhti or urwa arifeen k office mein kaam krthi hai arifeen ki maa or biwi bache k liye ek plan banati hain wo urwa se arifeen ki shadi karwati hain or urwa kisi majboori ki wajah se shadi kar leti hai or unka ek beta hota hai happy ending hai plzzz iska naam bata dein
ReplyDeleteWalekum aslam
DeleteHisab e dil rehne do novel by Nabeela Aziz pdf.
It’s hisab e dil rehne do by nabila aziz.
ReplyDeletemjhy aek novel ka bata dein jis mein larka kisi foreign country sy pakistan ata hai apni family ka badla leny k liye.. us ki fanily k sath kisi village mein bura kia hota hai kisi ny.. wo larka un logon sy badla leny k liye un ki beti ko kidnap kr leta hai.. phir larki jb usy us ki piyari cheez ka wasta dy kr kehti hai k us k sath kuch galat nhi krna.. larka us sy shadi kr leta hai lekin usbka behaviour bohat bura hota hai.. larki k saamny apni kisi frnd sy baatein krta hai usy jealous krny k liye.. kisi ko koi info hai is novel ki tou plz share karen.. Thanks
ReplyDeleteplz check this
DeleteDard ho tum ya darman ho novel by Umme Maryam
Looking for a novel where the guy and girl are either engaged or nikahed and live in a haveli type house. they both attend the same college/university and the guy finds his half sister there and brings her home. The fiancee suspects of foul relationship and blames them where the husband leaves her and goes away. I don't know the name nor the author or characters.
ReplyDeletehi, I need a novel story yeh hai k larki hero se darti hoti hai unka nikkah hoya hota hero se kafi choti hoti hai and city mein rehti hai haweli mn unk bohat czns hotay hain hero sb k sat rude hota hai feudal system based tha and long novel tha isi web par parha tha kindly uska name bta dien
ReplyDeleteyeh novel check kr k confirm kr den
DeleteChale thay hum jahan se by Nighat Abdullah
ak rich stubborn aur bohat hi modern larki ko ak rich larka dekhty hi acha largta hai aur os ki shadi hojati hai.per pehaly hi raat larka os bata hai kay wo os ki sari harkaton kay bary main janta hai aur os ko ab sahi hona hoga. shadi kay bad os ka husband theek karta hai. os ko gher main keed rakhta hai ar sara kam os ko kudh hi seekna parta hai.. bad main pata chalta hai kay larki kay bigrnay ki waja early age main abuse ta.then happy ending .
ReplyDeletehello aik novel parha tha isi web pr hero heroin ka nikkah hougya hota hai heroin hero se kfi choti hoti hai bohat sare czns hotay hain hero sb czn se rude hota hai heroin city mn rehti hai mujhe jldi bta dien
ReplyDeletehero heroin k name b bta dejeay plz
Deleteplzz kuch long,romantic ,happy ending wale novels bata de
ReplyDeleteTum woh pehli larki ho Complete novel by Biya Noor
DeleteTery naal kiun layan akhiyan Complete novel by Mayeda Anwar
Mera rakhwala Complete novel by Samreen Shah
aoa ... mughy is novel ka name bata dain ... heroine ki behan shaddi ki raat bagh jati hai tou usko apni behan ki jaga shadi karni parti hai ... hero heroine ko like nhi karta , hero khoobsorat zaida hota hai ... aik din hero soya hota hai heroine usko dekh kAR karhti hai tum tou prince ho u deserve a princess hero yeh words sun laita hai ... aik din wo ghar par hota hai sub heroine ko kaam bol rhy hoty hain hero ko bura lagta hai ... hero ki family heroine ki side par hoti hai ..... heroine apny ghar jati hai tou hero realize he loves her .... aik din dinning table par hero ki behan batati hai ky heroine further studies ky liay abroad ja rhi hai hero sun kar brchain ho jata hai ... last secene main heroine ka accident hero ki hi car sy ho jata hai .. wo hero ko mil jati hai kindly is novel ka naam bata dain ... thanks .
ReplyDeleteWalekum aslam
DeleteGhawa rafaqton ka hilal e eid novel by Saba Javed pdf