Asslam o alekum friends and members
ap
sb se guzarash hay k apni request k bare me best info like novel name,
author name, jis digest me novel publish hoa us ka name , month and
year, and agr ap ko us novel ki story ya main charecters yad hen to woh
btaen ta k ap ka matlooba novel talash krne me asani ho and apni request
k poora hone ka sabar se intizar kren k kbi kbi koi novel available ni
hota ya us novel k bare me kuch pata ni hota is leay us request me der b
ho sakti hay. Meri poori koshish hoti hay k ap ki request jald se jald
poori ho sake. baqi sb members se b meri guzarash hay k agr ap koi req
dekhen or ap ko us novel ka pata ho to kindly us req pr reply zaroor
kren.
Request karne wale members se guzarash hay k
- Request krte hoey sath me apna name zaroor mention kren ta k next time jb ap us req k bare me poochen to hum ko pata ho k ap kis req k bare me pata kr rahe hen.
- Apna email id sath me mention kren ta k bad me ap ko link send kia ja sake.
agr ap ko kahen ksi qisam ki problem ho to ap mujhe mail kr sakte hen
aatish2kx@gmail.com
aatish2kx@gmail.com
ya face book pr mujhe contect kr sakte hen
https://www.facebook.com/aatish2k11 ( IMRAN ALI )
Ap apni request hmare facebook ke page pr b send kr sakte hen yahan
ap sb ke tahawan ka boht shukria.
Ap ka bhai IMRAN ALI
Aoa
ReplyDeleteHow r u
Yeh silsilay hain payar ke novel by Qamrosh Amber
Es ki first episode nahe hay.agr digest available nahe hay tu plz es ki first episode ki kuch summary bata dain
Plz reply zaror karain
Walekum aslam
Deleteepi available ni hai & na digest.
Ohhhh. Old book shop pay b nahe mil sakta yeh digest.main pak nahe rehti wesy main check kar layti agr wahan hoti.
DeleteAgr kisi ko pata ho tu es ki 1 episode ki summary bata day ....
Asssalam o alaikum
ReplyDeleteLast pages pay kuch request ki thain .please kuch tou response dain
:(
Walekum aslam
Deleteagr ap k req show ni hue tu es page pr kr den & jo show ho rahi hain un m kuch ni mili abhi tk
Dayar e dil by farhat ishtiq is type k kch novels bta dain..thora jaldi plz if possible
ReplyDeleteMalal koi ho by Farzana Ismail
DeleteKahan aa ke ruke they raste novel by Hina Malik
Meri takmeel ho tum novel by Waryal Khan.
Dil hy k manta nhahe novel by Mehwish Mughal.
Qaim tera ehtibar rahe novel by Farzana Ismail.
Thank you so much
DeleteAoa
ReplyDeleteNovel name aur characters name nahe yaad .story kuch esay hay k heroine ki apny cousin se engagement ho chuki hoti hay .us ka fiance thora sa selfish type hota hay wo apny fiancee ko pasand tu karta hota hay lakin usay ameer banay ka bhi janoon hota hay .wo us ki shadi aik ameer larky se kar dyta hay .(jo k hero b hay) heroine pehly nahe manti lakin us ka fiance us ko mana layta hay .q k us k fiance ko pata hota hay k hero nay zeyada arsa zinda nahe rehna aur wo apny parents ka aklota beta hay aur us k marny k baad sari property heroine ki ho jaye ge aur phr wo baad main heroine se shadu kr lay ga.heroine bhot beautiful hoti hay.aur I think hero ko cancer type kuch hota hay .lakin end main hero theek ho jata hay wo apba ilaj karwa layta hay aur HAPPY ending tha.plz es story ka name bata dn
WAlekum aslam
DeleteMohabbat ko amar kar len by Rahat Jabeen .
Thank u ...yehee novel hai
DeleteAoa
ReplyDeletetera hone laga hoon novel by qamrosh ashok yeh kesa novel hay.is ki kuch story batayin .aur kiya iss ka end happy hay ya sad ...plz plz plz jaldi bata dyn
WAlekum aslam
Deleteromantic novel hai qamrosh k baqi novels ktra & happy end hai ap read kr len
Tera honey laga hon by Qamrosh Ashok
Aoa funny romantic novels bata dain or end bohat acha ho
ReplyDeleteWalekum aslam
Deletees link m se read kren
Funny Novels (
Assalam u alaikum.kesi hain aap.plz mujhy kuch esat novels bata den js main hero teacher ho aur heroine student.
ReplyDeleteAur hero boss ho . Koi age difference novels
Js main hero ki age zeyada ho.
Romantic novels hun aur en ka end bhot acha ho.plz myri request zror pori krin
WAlekum aslam
DeleteHero boss novels es link m dekhen
Hero Boss Romantic Novels
hero teacher novels es link m check kren
Hero Teacher Based Novels
Aoa
ReplyDeleteEk request hai . Story name nahe yaad aur na he characters name yaad hain.story esay hai k heroine apny relatives k pass ati hai pakistan wahan us ka cousin us ko like karny lagta hay wo shadi kr layta hai us k cousin k ghr k sath main hi us k chacha ka ghr hota hay wo bhot gareeb hoty hain un k abu ki death ho gye hoti hai aur sirf maa beta hi rehty hain .yeh story thori se ume maryum k novel aik shaks dilruba sa type the lakin es main hero disable nahe hora .
Story main esay hai k heroine ki apby husband se divo ho jati hai aur wo usi k ex husband k cousin se shadi kr layti hai jo k asl hero hai.acha end tha .es ka name plz bta dein
Walekum aslam
Deletecheck kerti hon
Khawab ki musafit se by Nighat Abdullah
DeleteMeri dosari request ki.b story name nahe yaad.story kuch iss tarha se hay k heroine matirc main perh rahe hai us ki bari sis doctor ban rahe hai us abu ki death ho gye hoti hai.wo dono sis apni ammi k sath rehti hain.wo qhareeb hoti hain.un k sath wala ghr un k relative ka hota hay wo.bhot ameer hoty hain un ka beta I think USA se ata hay.wo jo metric main heroine perh rahe hoti hay us ko like karny lagta hay.phr bhot misunderstandings hoti hain .phr aik dik hero aoni sis k bachy ko school lay kr ata hay tu wahan heroine principal hoti hai wo samjhti hai k yeh hero ka bacha hay.lakin baad main sab clear ho jata hay aur un ki shadi ho jati hai.hero heroine se age main kafi bara hota hay.isd ka name b bata dain plz
ReplyDeleteMyri dono request jaldi bata tha .
Thank u
Its main mohabbat aur tum by saba jawed
DeleteMain mohabbat aur tum by Saba Javed pdf
DeleteAoa
ReplyDeleteHina aur rida digest sept 2016 kia available hain ????
Walekumaslam
DeleteRida aa gaia & Hina INSHAALLAH esi week k end tk post ho jaey ga
Rida Digest September 2016
Nimra please kuch aise novels bta dain jis main hero heroine cousins hon ek hi ghar main rehte hon aur unka nikkah ya engagement hojae.. romantic novels hon aur happy ending ho
ReplyDeleteStill waiting for ur rply.. plz bta dain jaldi
Deleteap ye joint family waly novels read kr len
DeleteJoint Family Based Novels
I want a novel i forgot hero name and title of the story heroin name was feroza and her frnd name is rabia feroza mistakenly kidnap hojati hai then uski frnd usey support krti aur us larke se shadi krwati hai jo usay kidnap krta hai please findout this novel I'll be very thano
ReplyDeleteme search kr rahi abhi tk ni mila
Deletecheck this plz
DeleteHaraf e sada ko inayet hoa ehjaz ka rang novel by Aneeza Sayed.
AOA ek request hai.story name yad nhi na hi heroine ka name yad hai hero ka naam buland bakht hota hai hero heroine cuzn hain donon ek dosry ko like krty hain lkn kisi wajah se unki shadi nhi ho pati hero kisi aur se shadi kar leta hai lkn uski divorse ho jati hai aur end pe heoine se shadi ho jati hai mujhe iska ek scene yad hai heroine hero ke kamry me gift rakhny ati hai itne mein hero a jata hai to wo jldi se pardy ke peechy chup jati hai pardy ke peechy ek lizard hoti hai jisko dekh kar heroine daar jati hai aur pardy se bahir nikal ati hai.i think yeh story rahat jabeen ki hai. plz mujhe yeh novel dhoond din
ReplyDeleteWalekum aslam
Deletecheck this
Keh do Unkahi by Rahat Jabin
aoa mujhy aik kahani chahye us mein do bhai hote hain zyada to yad nai hai bas thora bht yad hai hero yani kay bara bhai use pasnd krta hota hai magar chote bhai se shadi tay hone ki wajah se wo pechay hat jata hai lekin jab us ke chote bhai ko pata chalta hai to wo inkar kr dta hai jis ki wajah se us ki shadi bare bhai se ho jate hai or shadi ke bad larki ko misundrstndg ho jate hai kay wo kisi or larki mein involve hai lekin end pey sab happy ho jata hai or start mein i think aisa hota hai kay heroin thore shararti hote hai wo hero key bhen kay sath mil kr sharten krte hoti hai jis ki wajah se hero gussa karta hota hai plz mujhe yeh novel dhoond din
ReplyDeleteWalekum aslam
Deleteabhi tk ni mila
nimra sis i think yeh novel aanchal mein aya tha ap plz dhoondny ki koshish karin
DeleteAAssalam o Alaikum
ReplyDeletePlz muje Kuch esy nvls Bta dain jin mai heroine boht sweet si ho or hero ko psnd b krti ho sharmili type ki ho
Hero ko us k baary mai koi ghalat fehmi ho Jis ki wja se us ka salook heroine se acha na ho or end mai heroine boht zyada naraz ho jaye. Boht zyada mushkil se mane
Happy ending or ek ya do episodes k novel btaeye ga
Hi i asked you many times about one novel , in which heroin had golden hairs with black colour, every used to ask her why did u colour your hairs? it doesnt suit you at all. i just remember that part. may be it was publish in kiran, and about a year or few months ago.
ReplyDeleteabhi tk ni mila me phr se check krti hon
DeleteWoh ik nazar novel by Nighat Abdullah.
Deletelooking for a novel.... hero ka name i think qasim hota hai herion ki sis sey shadi hotay hai shadi walay rooz herion ko dekhta hai ,aur hero ki mother ko herion buhat passand atay hai. hero wadera hota hai herion ko waderay passand nahi hotay ... iski sis ka inteqal ho jata hai herion ki shadi hero sey hotay hai likin phir bhi woh waderay logo ko passand nahi kartay... shadi kai baad isko pata lagta hai hero baqie wadero jaisa nahi hai... is novel ka name plz bata dey...
ReplyDeletecheck kerty hain
DeleteDil ka dard ghazal hoa novel by Madiha Tabassum.
DeleteAoa kesi hain aapb?
ReplyDeleteKuch stories kay baray main aap sey pouchna tha lakin pehly aap mujhy yeh bata dain k saans sarak aur sakoot by naila tariq kis type ka novel hay.kyun kay main nay pehly kabhi naila tariq ko perha nahe.bore novel tu nahe hay? Main koi long novel perhna cha rahe hun lakin bohat acha interesting romantic type.Jesy farhat ishtiyq mehwish iftikhar umera ahmed ki bhot gripping stories hoti hain .kiya iss type ki story hay saans sarak aur sakoot ki ? Ya agr aap ko koi achi long romantic novels ki list pata ho tu bata dain .please mujhy reply zaror karain .kuch aur novels ka bhi pouchna hay lakin pehly aap kindly iss ka reply kar dain .
Walekum aslam
DeleteALLAH ka shuker hai.
ap ye novel read kren bohat achha hai diffrent se story hai & happy end hai
Thank u so much
DeleteMain nay novel perha bohat acha and realy different story hai
Please kuch aur achy se novels suggest karain
AOA MUJY KUCH ASAY LONG ROMANTIC NOVELS BATA DEIN JO FUNNY B HUN AUR US MAIN JO HERO KA CHARACTER HO WO BOHAT SERIOUS TYPE SA HO SAB COUSINS HERO KI SERIOUS PERSONALITY KI WAJHA SY BOHAT DARTY HON END ACHA HO KOI TRAGIC END NA HO
ReplyDeleteAUR MERI DOSARI REQUEST YE HAY K KUCH ASAY NOVELS B BATA DAIN JS MAIN ACTION HO ROMANCE AUR SUSPENSE B HO AUR ES KA END B ACHS HO
Walekum aslam
Deleteap ny bohat se req mix kr de hain
es link m sub funny novels hain czns type bhi hain
Funny Novels
Salam,I read a novel i don't remember novel's name & writer's name.I just remember the story heroin dark complexion ko dislike kerti hai us ki engagement ya nikah hota hai hero se & wo just hero ki pic dekhti hai hero ka colour kafi dark hota hai but wo dhayan hi nahi deti shadi k baad wo hero ko dekh k heran reh jati hai usy kafi gussa ata hai us ne pic mai hero ko dhayan se dekha hi nahi hota pic mai hero k peechy fawara hota hai wo hamesha usy hi dekhti thi hero ko pta chal jata hai k heroin usy dark colour ki waja se dislike kerti hai but end happy tha plzzz is novel ka name bta den
ReplyDeleteWalekum aslam
Deleteni mila abhi tk
Asalam o alikum guys...mujhy b ik story chyay plzzz my pagal hojaoungi soch soch k help kr do tongue emoticon Hero Shujah hota hy bohat bdtameez or possesive SA koi officer hta hy shyad ...Heroin ki Behan ki shadi hoti hy wo light blue dress my bhnoi say naig mangny ati hy shuja white kalf lgy kurty my khra hta hy us k bhnoi ka cousin hta hy usko yh lrki phli nazar main achi lag jati hy magar js trhan wo bhnoi ki ungli pkrny k lyay hath pkrti hy to yh ghussay say is ki kalai pakar k khanchta hy or bht sary paisy is k agy phnkta hy or khta k khbr dar ainda ksi ghair admi ko hth lgys ..larki usi trhan is k pasy utha kr Marti hy or khti hy k tm ty kon ho hm apny bhnoi sy mzaq kr rhy thy tmhn shrm ni ati ... Phr brhy involve hti hn lrki say maafi mngty hain magar ab Shujah usko pany ki zid my pta nhi kia kia kta hy ....Ab dhoond k do yh khani plz
ReplyDeleteWAlekum aslam
Deletecheck kerti hon
Dast e kozagar by Fouzia Yasmeen novel ki agr aap kuch summary bata sakian .kis type ka novel hay .koi tragic end tu nahe hay
ReplyDeleteplease please mujhe long and bohat bohat happy ending and romantic novels bata dain please
ReplyDeleteAoA
ReplyDeleteMujy ak novel chahye...nam tu yad nai mgr us k 2 parts thy...hero ka nam Awais or heroin ka shayad Tania yan phr sania tha...heroin k father docter thy...heroine ki mama bht sakht thi...ak dafa heroin apni friend k sth park jati ha Jo k un k town k garib new open hota ha...wo jully pe bhethti ha tu wo khrb ho jata ha...sham ho jati..kisi wja se us ki friend chali jati ha..wahan hero b aya hota ha..heroin Rone lg jati ha or bht darti ha..phr hero or sth us k kuch friend hoty ha ha larki ko lift offer krty ha pehly larki nai manti...phr man jati ha..car ma wo bht darti ha lkin wo sb bht achy hoty ha...hero heroin ko apna MBL deta ha gar cal krne k liye..wo apne papa ko cal krti ha tu..us k papa k MBL pe Awais ka nam ata ha kyun k wo un ka student hota ha..or docter bn rha hota ha..heroin k father Awais k nmbr pe apni beti ki awaz sun k heran hoty ha..lkin heroin jldi se bt kr k phone band kr deti ha...plz es novel ka nam bta dy...kiran ma tha
ReplyDeleteIts "Zawia e Nazar" by Fozia Yasmeen.
DeleteThank u so much....yahi ha novel
DeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDeleteHello kahan hain app?pehly b ek REQUEST ki the us k b reply nai aya :(
ReplyDeletezindagi tum ho novel by madiha tariq
Es novel ki story bata dn kesi hay.kya end happy hai
g han is ka end happy hai aur is story mein hero heroin ke darmiyan misunderstandings aa jati hain lekn end pe sari ghalat fehmian door ho jati hain r end happy hota hai
DeleteAik novel ki request karni hay .story yahan sr start hoti hay k hero apni wife se jo k heroine b hai us ko bura bhala keh raha hota hay aur us pay bhot ghusa b kar raha hota hay jab hero us ko kafi kuch suna kr chala jata hay tu heroine sadmay main beyhosh ho jati hai.asl main heroine pehly achi nahe hoti.hero ki jo mother bhot nice hoti hain wo hero se kehti hain k wo heroine ko wapis lay aye .pehly hero nahe manta jab us ki mother zeyada force karti hain tu wo heroine ko lay ata hay lakin usi din wo out of country b chala jata hay .heroine ko us se mafi mangny ka b time nahe milta.heroine gher main sab se mafi mangti hay .lakin us ki jeethani us pay har time tanz karti rehti hain .end main esay hota hay k heroine bilkul change ho.jati hay hero b a jata hay .phr hero us ko maaf kar dyta hay.HAPPY END hai ..kisi ko es story ka name pata hay tu bata dain plz
ReplyDeleteIts "Aitbar-e-Mohabbat" by Aliya Hira.
DeleteAey ishq hamen barbad na kar by Naila Tariq
ReplyDeleteEs novel ki baqi episode nahe mil rahein
Plz upload kr dain
is novel ki abhi tak 3 epiz he ai hain
Deleteasalam o aliekum!
ReplyDeletemujhe ek aise novel ki talash jo mea ney kisi digest mea bht saal pehle para tha! wo qist waar tha is liye mea uski ki baqi qist ke liye ajj tak becheen hoon!
story yun thi ke larki ke mayun waly din ussey koi utha ke le jata hai jo uska bht dino se pecha kr raha hota hai, ek ameer larka! but wo larki apni nafas kaat leti hai or wo larka uski bandage kar ke ussey wapis choor ata hai! but us ka cousin ussy se shaadi per ab razi nahi hota. larki ke abbu prof. hotien hain. larke ke barey mea baar baar ek sentence likha ata hai" ussey aurat ke ansoon se bht nafrat thi" or i think future past chal raha hota hai story mea, coz larki kisi gari mea beth kar jaa rhi hoti hai or sochti hai jis se shadeed nafrat hai us ke saath hi hoon! prof. ke paas u ka ek student b ata jata rehta hai jisse kisi ne nahi dekha!
Ab mere ho k raho...by durr e saman :)
Deletethankkkyouuuu sooo veryyy much!! yahi hai! thankyou again!
DeleteMjhe plz novel ka naam aur writer bata de jisme heroin aur uski cousin apni phuphu k ghar holidays me gayi hoti hai..heroin ko khubsurat ghar boht attract krte h aur vo log roz subha walking pe jaate waqt 1 khubsurat ghar(hero k ghar) ko knock krke bhag jati hai..1 din hero usse aesa krte dekh leta hai...
ReplyDeleteHumsafar Hain Jugnoo by Faiza Cheema
Delete2 novels puchne hn.
ReplyDeleteFirst, heroin garden family se belong krti h and uski shadi Saqib nahi shakhs se hoti h. Saqib ki sister I think saman ki shadi hoti h jb to uska husband heroin ko pasand krne lgta h or usse shadi ki khuahish rkhta h. Saqib paralyze hojata h but phr b heroin usko nahi chorti.
Second, heroin apni khala k ghar hoti h vahan hero unke neighbourhood m new ata h, apny puppy ko roz leke bahar nikalta h. Ek din dono cousins uske ghar jati hn baton se unhe lagta h k wo dehshatgard h. Ek scene m dono uske ghar jati hn, to wo ghar ajata h ,dono chup jati hn, phr uski cousin to drama ka banana krke bhag jati h or heroin phans jati h. End m hero, heroin ki cousin ka relative nikalta h
second wale ka naam "Woh Mera Hai By Nimra Ahmed"
DeleteSecond one is woh mera hai by nimra ahmed
ReplyDeleteHi Nimra, Please help me find two novel:
ReplyDelete1) Heroine ka naam Rania tha us ke 2 bhaiyon hote hain..Hero unka neighbour hota hai jo army main hai..Uska naam Major Khalid tha.. Heroine ko hamesha yeh galat fehmi rehti hai k har admi usko ghorr k dekh raha hai..story strt bhi yahan se hi hoti hai k wo apne bhai ko kehti hai k gali main ik larka mjhe ghor raha hai.. chota bhai mana bhi karta hai k is adat hai dramey karne ki par bara bhai jazbati ho k bahir larne chal jata hai..aur hero se larna shuru kar deta..thori dair baad heroine aati hai aur us hero ko dekh k apne bhai ko kehti hai yeh tou koi aur hain.. hero age main heroine se kafi bara hota hai aur woh hamesha yeh smjhta hai k heroine usse impress krne ki koshish krti hai..
2). Hero ka naam Salman aur Heroine ka naam farahil hota hai..hero k parents aur heroine k father ki accident main death ho jati hai..us k baad un dono ko heroine ki mother ne pala hota hai.. heroine ki mother hero ko favor krti hain jis pe heroine bht chirti hoti hai..woh dono ik dosre ko like krte hain par show nhi karte aur har waqt larte rehte hain..heroine ki engagement hero k best friend se ho jati hai..ending happy thi..aur heroine,hero ko eid ki subah uthane aati hai aur kehti hai salman uth jao sehri ka time ho gaya hai..roza nhi rakhna kya..
Pehla wala Syeda Shehla Shakoor ka "To Chalo Yar-e-Man" hai.
DeleteSalam syeda shehla shakoor ka navol to chalo yar e man ka link dai de
DeleteSalam syeda shehla shakoor ka navol to chalo yar e man ka link dai de
Deletehttp://kitabdostpk.blogspot.com/2015/12/to-chalo-yaar-e-man-by-syeda-shehla.html
DeleteSarah ya novel chalo yar e man is blog se download nhi ho raha ha plz koi aur link da
DeleteThis comment has been removed by the author.
DeleteSarah ya novel chalo yar e man is blog se download nhi ho raha ha plz koi aur link da
DeleteAap kitabdost.com pe ja k dekh lien.
DeleteSarah mane search keya ha par sorry mujh nhi mila aap plz link download kar de
DeleteSarah mane search keya ha par sorry mujh nhi mila aap plz link download kar de
DeleteMjhe ek nvl ka naam pta krna h jisme heroin hero se kch ek ya do saal badi hti h wo lg bchpn se hi ekdusre se itna attach hote h ki ek na ho to dusra bimar ho jta h ye dekh unke ghrwale bchpn me hi dono ka nikah krwa dete h pr heroin jb kuch bdi hoti h to apne kisi rishtedar se hero se badi hone pr taana sunne ki wje se usse dur hone lg jati h par hero usse dur nhi reh pata h wo zyada chahta h usko or at the end mana hi leta h usey
ReplyDeletehar gaye hum chahat main by sitara shaheen
DeleteHina digest aur rida digest October k plz upload kr dain
ReplyDeleteabhi digest nahe ae jese he aen gy upload ker den gay
DeleteSalam ,I am looking for a silsalewar novel, its new, just started .I dont remember the novel name or digest name either. I read few episodes and since I have been searching for it ,but couldnt find it.
ReplyDeleteNovel was based on three parallel stores, one was about a guy, who was man prostitute, and a girl used to watch her across the road and usually gets beat up by her addict brother for money. Then other story was about a young girl, her much older cousin saw her and fell in love, then their Nikkah happened but she was not comfortable with her husband. either it was Naila Tariq or Nadia Ameen. Just guessing.
Naila Tariq ka hi hai lekin ab aap ki post parh k yad aya k mein ne bhi parhna to shoroo kiya tha lekin beech mein episodes aai hi nahi bohat din se. Mujhay lagta hai Rida ya Hina digest mein aa raha tha.
DeleteI think yeh novel Aey ishq hame barbad na kar by Naila Tariq ka hay es ki sirf 3 episode hi I hain
DeleteEk nvl ka naam bta den isme hero nd heroin ka naam farzeen nd tabish hota h heroin k parents ki death ho jti h shyd aur hero k father heroin k koi relative rhte h isliye wo un k ghr aa kr rhne lgti h hero kaafi rich hota h
ReplyDeleteNvl ka naam bta dain plzzz
Deletecheck kerti hon
DeleteOhk
DeleteCheck kiye aapne???
Deleteg abhi tkk ni mila
Deleteasalam o alikum
ReplyDeletei would like to say thank you for all your efforts .. you guys doing great job... Jazakallah...
Meri eik request hai... story yeh hai ... herion cousin name is saweera ... herion ka name nahi pata na hero ka... herion hero ko passand kartay hai per hero ko herion nahi passand hotay woh herion ki cousin ko passand karta hai saweera ko .. herion ko jub pata chalta hai saweera bhi passand kartay hai hero ko to woh phir aisa show kartay hai kai woh apnay class fellow ko passand karaty hai ... herion apnay father aur sutelli bhai behn kai pass out of country chalay jatay hai aur waha busy ho jatay hai... phir saweera ki shadi kai baad beti honay per is ka inteqaal hojata hai ... herion tub wapis atay hai aur kafi change ho jatay hai... aur saweera ki beti ko sambhaltay hai... herion ki hero sey shadi bhi hojatay hai ... end happy hota hai kisi ko is novel ka name pata ho plz bata dey... thanx again...
plz koi name bata dey novel ka
Deleteplzz is novel ka name bata dey...
Deleteabhi tk ni mila me ny dobara bhi post kea tha .phr check kerti hon
Deleteap mujhy koi aisay novels bata din jin mein hero army mein ho aur attitude wala ho
ReplyDeleteplz koi mujhy bhi reply karo
DeleteArmy based novels parh lein isi page pe.
Deletecheck this link
DeleteArmy based Stories
Ay ishq tery khel hain ajeeb by Dur-e-Suman Bilal....share complt link of it....thnk you...
ReplyDeleteabhi tk link ni bna INSHAALLAH jaldi he bna den gay
DeletePlz haveli type novels bta de jis Mein boht sare kzns hon jo boht mooj masti krte hon or happy ending hon
ReplyDeleteListen pls pls pls mje USKA GHAR by amna iqbal ahmed novel khen ni mil rha ap uski link deden agr is site pe he to or agr ni he to pls pls upload krden
ReplyDeleteavailable ni hai
DeleteMujhe ek novel ki Takash h.. Jis m heroine k father k bahut sare laari hoti h.. Aur hero ki Maan ya baap servant hoti h.. Ek hi episode m n padha tha
ReplyDeleteold hai ya new
DeleteMujhy 3-4 Mohabbat Subh ka Sitara jaisay novels suggest kr dein.. jis mein heroine ke dosri shaadi ho hero ke sath... aur dono ke aik dosre ko accept krne mein time lage.. happy ending ho.. plzz jaldi bta dein... kafi dair se request kr rhi hun plzzz. i'll be grateful for ur help. :)
ReplyDeleteZumar Naeem K novel ABHI IMKAN BAKI HAI jo DOSHEEZA main aa raha hai uski episode number 2 (Dosheeza September 2016) upload kar dain please
ReplyDeleteZara
Abhi imkan baqi hai by Zumar Naeem Episode 2 pdf
Deletei am looking for a novel in which heroine is a uni student.she has issues with one of her classmate most probably hero.heroine s cousin is also in the same uni who is interested in heroines sister.but his mother wants to take heroine as a daughter in law .there is a function in their home in which that classmate is also invited.it was an old episodic novel.plz let me know if anyone have any idea about novel.bundles of thanks in advance
ReplyDeletesearch kr rahi hon mily tu btati hon
Deletesalam nimra i have arequest i heard a story of a girl who performed a princess or snow white role in a collage function in which chief guest starts liking her n marries her forcefully .i remember at the end both were kidnapped n hero says to kidnappers to punish me but dont touch my wife at the end herione confesses her love plzzzzz tell me novel name
ReplyDeleteIts "Laagi Tum Se Lagan" by Shahnaz Siddiqui.
Deletethankyou sarah
Deleteplz mjy "dil ki chokhat par by memona khursheed ka novel jo jan 1996 main published hoa tha " ko dosra prt dy dain
ReplyDeleteavailable ni hai
DeleteRida and hina digest October 2016 k plz upload kr dain
ReplyDeleteHina INSHAALLAH aj ya kal post ho ga ap visit kr lejeay ga
DeleteRida Digest October 2016
Aoa I need a novel in which heroin name was hijab and hrro was abu daood ..heroin had 4 caring brothers and hero was a friend of his eldest brother own..kindly name the novel as sonn as possible..
ReplyDeleteDardgar by umme maryam
DeleteAoa. Plz mjhe ik novel bta dn jis mn hero and heroine dono czns hte hn,khalazad. Ladka Ahmed and ladki aiman hti h shayad. Ladke 3 bhai or do bhne hti hn. Choti bhn or manjhle bhai ki akathi shadi hti h bt bhn shadi k din bhag jati h jis ki waja se manjhle bhai heart attack ki waja se Mr jata h. Is k sdma hero k lagte or shadi se inkar kr deta h.bad mn nikkah and shadi h jati h. Happy ending h. Plz dhund dn. Name ni pata. 3-4 years purana novel h.
ReplyDeleteWalekum aslam
Deletesearch kr rahy hain
Thanks but plz zara jaldi.
DeletePlz I need a novel jis mn hero police mn hta h and heroine teacher hti h. Heroine engaged hti apne czn imran k sath. School trip p minister ki beti k kch Log kidnap krne ate and is ki muzahmet p isse b sath kidnap kr lete hn. Hero isse bazyab krata h or wh unke ghr bhi rehti h kch din. Phir heroine ki shadi ki tyarian hne lagti hn or whi kidnapper use dobara kidnap krta h. Shadi k Doran uska czn shadi se inkar kr deta h and hero k heroine se nikkah h jata h. Plz dhund dn
ReplyDeleteIts "Tum Sang Mehakne Lage Raste" by Maryam Aziz.
Deleteaoa muje aik novel ki request karni hai larki joint family mein rehti hai aur sub se chotti hoti hai wo apne aik cousin ko like karne lagti hai jo k married hota hai aur us se umar mein kafi bara be hota hai us ki wife ki death ho jati hai to us larki ki us se shaadi ho jati hai larki kisi office mein kaam karti hoti hai plz is ka naam bata den
ReplyDeletekos chracter name yad hai ?
Deletelagi tum sy lagan by
ReplyDeleteshehnaz siddique jaisy kuch novels suggest kar dain....
me check kerti hon & kal btati hon
DeleteDil e gazeeda novel by umme maryam ki is month ki episode ka link de dyn...
ReplyDeletees month epi ni aye
DeleteAOA...
ReplyDeleteMa ne ak novel k bary ma request ki thi...abi takk kisi ne jwb nai diya...plzz mujy wo novel doond dy...:(
Konsa novel. Story batayien.
DeleteWalekum aslam
Deletesiso ap k req mujhy yad hai abhi tk ni mila me dobara check kerti hon
Please upload khawish novel by rakhi
ReplyDeletesorry ye hum post ni ker sakty writer ny specific web k leay likha hai
DeletePlease mujhe ko extra marical affair wale novels bats dien thore practical mujhe assessment banhana hai
DeleteAslam o Alaikum!
ReplyDeleteMjhe ek story ka pchna tha ... I think kiran ya shua m ai thi
Flash back se Strt aise hta h k heroine bhai r bhabi k sth ksi function se ghr ati h to watchman ek gift deta h k ye heroine k lie bheja h ksi ne wo kholti h to andar wrist watch hti h jiska tym us tym p set kia hua hta h jis tym unki shadi hri thi ...
Hero heroine ki shadi k wqt hero achanak mutalba kr deta h k ye haweli jis m heroine r uski fam rehte hn hero k nam ki jaye .....(hero unhi ki fam ka hta h lekin ksi wja se talluq tor dete hn hero ki fam se to wo wapis a kr jb halaat sai ho jate hn to aise badla leta h)
Plz agr ksi ko pta ho to .. Novel name m "sawan" ata h
Walekum aslam
Deleteni mila tha & es ka digest bhi available ni hai
Salam,I read a novel i don't remember novel's name & writer's name.I just remember the story heroin dark complexion ko dislike kerti hai us ki engagement ya nikah hota hai hero se & wo just hero ki pic dekhti hai hero ka colour kafi dark hota hai but wo dhayan hi nahi deti shadi k baad wo hero ko dekh k heran reh jati hai usy kafi gussa ata hai us ne pic mai hero ko dhayan se dekha hi nahi hota pic mai hero k peechy fawara hota hai wo hamesha usy hi dekhti thi hero ko pta chal jata hai k heroin usy dark colour ki waja se dislike kerti hai but end happy tha plzzz is novel ka name bta den... thanks in advance:)
ReplyDeleteWalekum aslam
Deleteni mila abhi tk
plz suggest some romantic happy ending stories with a possesssive kind of hero
ReplyDeletePlease suggest me some extra marical affair novel or agar thori long ho to please upload kar dien thanks
ReplyDeleteAoa mjy pta krna tha k ary pr jo drama aa raha hai "ghayal" ye script base hai ya novel hai.
ReplyDeleteWalekum aslam
Deleteg script likha hai Shugafta Bhatti ny
Mje ak novl chahye jis me herion ki czn se engagmnt hui we hoti hy par wo use chor deta hy shadi ky din q ky kisi peer ne kaha tha ky shadi ky bad larka mar jae ga phr us ki shadi us ky dosre czn se hojati hy jo hero hy plz tell me the name of this novl
ReplyDeletehttp://booksbankpk.blogspot.com/2014/05/taron-se-saja-angan-by-asia-saleem.html
DeleteIts "taron se saja aangan" by Asia Saleem Qureshi.
ReplyDeletethanks
DeleteAoa
ReplyDeletePehly b request ki the.story kuch esay hai k joint family hay hero apny taya ki beti ko like karta hay.lakin us ki cousin usay like nahe karti wo kehti hay k hero main bacpana bhot hay aur wo mature nahe .hero apni studies pay b dehan nahe dyta hota us ki cousin us ko bhot samjhati hoti hay.lakin wo koi tawaja hi nahe dyta bhot careless hota hay.phr us ki cousin ki kahain aur shadi ho jati hay.es pay hero bhot hurt hota hay.aur phr bhot zeyada sanjeeda ho jata hay .apni studies pay b bhot dehan dyta hay .kuch time guzarta hay tu usi cousin ki bhateeji hero ko pasad karny lag jati hay .wo hero se 12 year choti hoti hai.wo hero ko apni feelings b bata dyti hay jis pay hero bhot ghussa karta hay .lakin end pay man jata hay .happy end tha .plz es ka name bata dain
Walekum aslam
Deletephely bhi ni mili thi dobara check kerty hain
Suggest some novels on uni life
ReplyDeleteChand gagan aur chandni by iqra sagheer
DeleteSabz raton k jhilmil by iffat sehar
baharon k sang sang by iqra sagheer
es link m sub esi type k hain
DeleteUniversity type novel
helloo nimra and imran... koi bhi request ka reply nahi kar rahay.. reply plz...
ReplyDeletesorry me bzy thi tu reply ni kr saki lken req sub search kr rahy hain
DeleteHello koi hai jo REQUEST puri karay...
ReplyDeleteSans sarak aur sakoot by naila tariq type koi achy se long romantic novels ki list tu bata dain
Koi idhr b dekh lay aur humari request puri kr day
Deleteme ny previous pages pr bhi es type k btayen hain same es jesa koe bhi ni mila tha
Deleteplease mujhe iss story ka name batadein jis me heroin bhuat choti hoti hai hero se aur usse kuch kaam kerne nahi aate phir us ki shadi hero se ho jati hai jo ke shayed heroin ka cousin hota hai aur unke parents nahi hote phir usse sare kaam sikhata hai please mujhe name batadein
ReplyDeleteap k req se match kerty hain kise hd tk
DeleteAge diffrence novels
please us mein ye story nahi hai jo mujhe chahye wo shayed rida ya aanchal mein aaya tha aur ye shayed nine ya ten year phele ka hai
DeleteHi!
ReplyDeleteThis is my first time and I'm finding novels based on a drama like revenge and long story.
Can you suggest me some novels like where the guy is forced to marry a girl whom he hates. Even after marriage he treats her badly. It should be dramatic and long with good story line.
I'll be really thankful
Aap Ummnovels. e Maryam k novels parh lein. Un k aise hi hotay hein. Over dramatic long
DeleteSarah aap hi mujhy koi achy se long romantic novels ki list bata dain .jesy sans sarak aur sakoot ..
DeleteMain muhhabat aur tum by shazia mustafa type
Qamrosh Ashok k novels parh lein. Mein ne un mohtarma ka bhi ki novel aaj tuk poora nahi parha.Aap dekh lein shayad aap ko pasand aa jayien.
Delete@Sarah I have read hers but didn't find it intriguing.
DeleteCan you suggest me at least 5 novels similar to dayar e subah k ujalon mein by nayab jilani and like dhundla k chatt gaye Nadal by iffat sehar.
Where hero is extremely rude and hates his wife.
Yar meri maloomat mehdood hein. Mein kuch writers ko parhti hoon. Jaise Umaira Ahmed, Farhat Ishtiaq, Sadaf Asif, Nimra Ahmed. Aur yeh tamam writers aise novels nahi likhti.
DeleteApp kooi achy se novels ki list bata do .jin ka end happy ho .plzzz
DeleteJin writers k naam mein ne mention kiye hein aap un sab ki stories parh lien. Achi stories hein. Aliya Bukhari k novels bhi parh lein.
DeleteAoa, ek novel ha jis mein larki northern area mein jati ha for job in hospital. Jab wahan pounchti ha tu ek banda hota ha jou uski madad karta ha saman hospital tak pounchany mein, us bandy ka moun covered hota ha. Baad mein pata chalta ha ky wo us hospital ka owner ha. Usi owner ko ek senior doctor bhi pasand karti ha and wo samajhti ha ky wo owner junior doctor ko pasand karta ha halanky wo usy as a daughter like karta ha aur uski ki shadi apny baity sy krwana chahta ha jo wahein py doctor hota ha.
ReplyDeleteye len aap ka novel http://booksbankpk.blogspot.com/2014/06/aney-wala-hai-baraf-ka-mousam-by-saira.html
DeleteThankyou so much hina :)
DeleteAOA.... kya jo drama serial abhi Hum pe start hoa hai Dil Banjara written by faiza iftikhar ... yeh novel base hai..... if yes then plzzz mujhe os novel ka link miley ga plz plz plz
ReplyDeleteWalekum aslam
Deletecheck kr k btaty hain abhi mujhy khud bhi confrim ni hua
Plz aik novel k name pochna h jis me larki villige s belong krti h or villige k sardar k Beti hoti h aik dafa apne frnd k sath pani bharne jarhi hoti to aik car k sath minor accident Hota h car se larka nikalta h or larki ka Hal pochta h or use touch krta h js par larki ose thappar marti h larka ghusse s chala jata h larki ka aik old servant ose khta h k is ne thek nhi larka badla zaroor le ga phir larki k shadi hone lgti h shadi s aik din pahle is k cousin is ko dulha k pic dikhati h wo whi Hota h jis ko us ne thappar mara Hota or in k shadi ho jati h plz is novel k name bta den
ReplyDelete
DeleteDevi novel by Tahir Javed Mughal.
Ek novl tha jis me dada ne apny ak bete wo dosre bhai ki mangater se shadi ki wajah se ghar se nikal dya tha phr bht salon bad un ka beta dada ko lene ata hy aur us ky parents ki death hojati hy phr dada us ki shadi apne dosre bete ki beti se kr dete hy par shadi ki rat larki ko pta chal jata hy ky wo phle se shadi shuda hy aur ak beta b hy wo us se naraz hojati hy phr dada ki death ky bad manti hy... plz naam bta dein
ReplyDeletesearch kr rahy hain jesy he mila inform kr den gay
DeleteGulab rastay bahar mausam novel by Nadia Jahangir.
DeleteEk novl tha us me larki interior designer hoti hy lkn wo bol nae skti bachpn me kisi accident ki waja se wo larky ka ghar b decorate krti hy lkn phr kisi accident ki waja se us ki awaz waps ajati hy... naam bta dein
ReplyDeleteAhtibar aa hi jaye ga by Huma Jahangir pdf.
DeleteKindly aese novels bta den jis me nimra name ki heroines hon.
ReplyDeleteap koe specific novel dhondh rahi hain
DeleteG me ne 1 novel parha tha jis me heroine ka name nimra tha but unfortunately me story or name bhool gae q k me ne story b thori hi padi thi. Please if u can help me. Nimra name ki heroines wale novels k name bta den me dhoond loon gi.Thanks
DeleteG me ne 1 novel parha tha jis me heroine ka name nimra tha but unfortunately me story or name bhool gae q k me ne story b thori hi padi thi. Please if u can help me. Nimra name ki heroines wale novels k name bta den me dhoond loon gi.Thanks
DeleteG me ne 1 novel parha tha jis me heroine ka name nimra tha but me ne story thori pari thi is liye na name yaad novel ka or na hi story.Aap nimra name ki heroines k novels bta den me dhoond loon gi. Please jaldi bta den. I'm waiting for your reply. Thanks
Deleteaslamu alikum, iknovel ka name bta de plz
ReplyDeleteherion boht khobsoort hoti ha uni main ik lrki us se dosti ki khwahish krti ha kiun k wo lrki boht hussan prst hoti ha, fir wo herion k czn zryaab jo k mangatr bhi hota herion ka usy pasand krny lgti ha kiun k wo bhi boht khobsorat hota ha, aur herion ki mangni trwa kr zryaab ko apny bhai k office job dilwa deti ha, lrki ka bhai aafaq heroin ko kehen jhola jholty dekhta ha aur pasand kr leta ha aur shadi bhi jald ho jati heroin se,pr us lrki ki shadi zryab se nhi hoti balky jis se hoti wo boht hi aam si shakl wala admi hota, plz jaldi bta do plzzzzz
agr na bhi mily to bta dijiy ga plzzz
DeleteWalekum aslam
Deletesorry check kerti hon
Hum ne dil ko roka tha novel by Maryam Aziz.
Deletethank u so much nimra
ReplyDeleteAsslam o alekum
ReplyDeleteab jo bhi request post kren nechy deay 46 page k link ko open kr k post kren .edhr comments complete ho gaey hain or mazeed show ni hon gay
REQUEST FOR NOVELS PAGE 46
Please mujhe ko extra marical affair wale novels bats dien thore practical mujhe assessment banhana hai
ReplyDelete