Asslam o alekum friends and members
ap sb se guzarash hay k apni request k bare me best info like novel name, author name, jis digest me novel publish hoa us ka name , month and year, and agr ap ko us novel ki story ya main charecters yad hen to woh btaen ta k ap ka matlooba novel talash krne me asani ho and apni request k poora hone ka sabar se intizar kren k kbi kbi koi novel available ni hota ya us novel k bare me kuch pata ni hota is leay us request me der b ho sakti hay. Meri poori koshish hoti hay k ap ki request jald se jald poori ho sake. baqi sb members se b meri guzarash hay k agr ap koi req dekhen or ap ko us novel ka pata ho to kindly us req pr reply zaroor kren.
Request karne wale members se guzarash hay k
- Request krte hoey sath me apna name zaroor mention kren ta k next time jb ap us req k bare me poochen to hum ko pata ho k ap kis req k bare me pata kr rahe hen.
- Apna email id sath me mention kren ta k bad me ap ko link send kia ja sake.
agr ap ko kahen ksi qisam ki problem ho to ap mujhe mail kr sakte hen
aatish2kx@gmail.com
aatish2kx@gmail.com
ya face book pr mujhe contect kr sakte hen
https://www.facebook.com/aatish2k11 ( IMRAN ALI )
Ap apni request hmare facebook ke page pr b send kr sakte hen
ap sb ke tahawan ka boht shukria.
Ap ka bhai IMRAN ALI
Asslam o alekum
ReplyDeleteMujh ko aik novel dhoond dain jis main hero or heroine cousin hotay hain hero bohat zahin hota hay heroine ki maa uss ko her wakt hero ki examples dety rehty hay phir hero bahar parhnay chala jata hay wapis ata hay to heroine us ko keema karaylay khilaty hay jo hero ko sakht na pasand hotay hain
Bia Adjam
Walekum aslam
DeleteChalo toro qasam iqrar karen by Farhat Ishtiaq.
aoa
ReplyDeletemuja aik cahia plz doannd dya
stoye ya ha k lark boht ameer hota hai us ka naam sanzail hota hai larki k passo ki zarorat hoti ha iss liya wo waha job karti hai lakin kuch dino ka baad wo job resine karna cahti hai to larka iss ko apna ghar bulata hai or us ka dusman ay jata hai to wo larki ko lakar apna aik dost ka pass jata ha or iss tarha wo maybe 2 din saaath guzarta ha is doran larka larki ko passand kar lata hai lakin larki mana kar dati hai or ghar wapas ay kar us sa dobara nai milti iss doran larka beema ho jata hai or us ka elaj bahir ho sakta hai lakin wo jana sa mana kar data hai end ma larki maan jati beacuse us ka hasband mar jata hai or larka ko wo mil jati hai.larki ka naam Anmol hota hai or wo apna dayi maa ka sath rahti hoti hai.
plz search that novel
Walekum aslam
Deletehum search kerty hain
Tum meri zeest ka hasil ho novel by Iqra Sagheer Ahmed.
DeleteGlad 2 c pg#42.Was w8ing 4r it since last week.Ur absence made me quite worried as I am a regular visitor of ur site.Thank GOD u ppl r here again.Plz plz plz b responding n active.Veryyy happy 2 c u ppl again at da tym wen I was losing hope :)
ReplyDeleteoho so sorry we were bzy & thanks for ur concern
Deletestay blessed :-)
Bhae yeh page 41 p I think kuch problem h. 13 may k baad ki koi post nahi show ho rahi, mene comment b kia Jo k send b hua but still not showing.* Load more* ka option b araha h but vo b work nahi krraha:/ kia karun..
ReplyDeleteap es page pr req post kr den 200 comments k bd comments show ni hoty
DeleteAoa
ReplyDeleteHow r u ?
Mujhy kuch old digest ki list dy dain .jesy kiran shuaa khawatien hina digest etc
Walekum aslam
Deletekitny old mention kr den
es m sub digest hain
ALL DIGEST LIST
Asslam o alekum
ReplyDeleteye novel tlash kr den
Us mai larki ma nam jia hta hy. Larky ka samit.. Czns hty hyn donu.. Kiran digest mai thi
Larky ki mangni phly sbrina nam ki larki sy hoe hti hy.
anabia
Der lagi aane mein lekan novel by Rizwana Irshad.
Deleteaoa!! recently complete hony valy long episodic novels k name or link tu bta thain kindly app Nimra
ReplyDeleteWalekum aslam
Delete2 k link 15 tk dey don ge
Dil toot ke hara tha novel by Nayab Jelani Complete
Shayad novel by Faiza Iftikhar Complete.
Khoye huey lamhay by Tabinda Naeem Complete.
Mohabbat rooth jaey to Complete by Abida Sabeen.
Tujh se mangon main tujh ko by Shazia Mustafa Complete.
Mjhe ek novel chaye..name , month or digest yad nh..but story kuch yu th k:
ReplyDeleteHero ka nam shyd Moazzam Shah or heroin ka nam sheharbano hta h (not cnfrm) hero , heroin k chacha ka beta hta h , us k walud n shehar m shadi ku hti h or ghr walon ko pta nh hta ..wo log syed shah hty hain.hero k walid k dost nikkah k gawah hty hain mgr bad m wo bahr chly jaty hain.gaon m panchayt m heto k walid ko goli lgti h or death hjati h.hero ki pedaish k wqt uski maa hero ki tai ko phone kr k bulati hain or nikkah ka btati hain unki death hjati h .hero ki parvaraish tai jo k heroin ki maa hti hain wo krti hain or wo hero ko bht chahti hain mgr heroin hero se chrti h or hr waqt tanz krti h k pta nh heroi syed khandan ka h bh k..hero usy chahta h but heroin ki batain usy bht hurt krti hain..phr hta y h k heroin kidnap hjati h...sb ml k dhnd lete hain mgr hetoin ko accept nh krte or usy kisi rasm ki bhent chra rhy hty hain tw hero khta h k wo heroin se nikah krega or rasm k khlaf khra hjata h .hero ka rshta uski chachi ki beti se tay hta h or usi chachi k bety se heroin ka rshta tay hta h actually chachi donon k hissy ki jaidad apne qabzy m krne k lye istrah krti h k heroin ko hero se bd dil krti rhti h q k heroin ki maa heroin ki shadi hero se krna chahti h.kher nikah hjata h or phr unhe khandan se alg kr dya jata h hero heroin ko lkr shehar a jata h.mgr wo uska uska jayz haq nh de pata geroin k pchle rawayyon ki wja se...is se phle hi ek bar hero ko uske walid k dost ml chuky hty hain or hero k waledan k nikah k bary m sbko btaty is se hero ki hesyat clear hchuki hti..wo unhi k sath buidness partnrship p krta hta h..us k uncle zbrdasti ghr p hi uska valima krtay hain....ebd m heroin hero se apne tmam rawayyon ki muafi mangti h or usy clear krti h k usne armughan(uska x fiance) k bary m kbhi socha nh wo bs baron ki khuwaish th..phr chachi ka btati k ks trah unhon n zehar bhra...or mohabbat ka izhar krti h...end m sb thk hjata h.
Kindly novel ne bta dain
Aisa ehle dil ho novel by Nabila Aziz
DeleteAoa .. is novel ka Baan bata dain jis main hero and heroine cnz hoty hain , joint family main rahty hain .... Heroine hero ko like nhi karti cause hero sakht ur rude hora hai ... Last par mehndi ki raat heroine tarrace par atI hai hero halo slap bhi karta hai par raazi ho jata hai .... Aik mid scene main heroine ko uski friend ur aik larka room main band kr ky kuch krny lagty hain , hero bachta hai ...
ReplyDeleteWalekum aslam
Deletecheck kerty hain
Aitbar ka mausam by Waryal Khan.
DeleteAoa mujy ik novel ki request kerni ha yh sall dear sall hi purana story kuch yun ha herion or us ki step sister college ma Pherti ha hero in ka teacher hota ha step sister herion se jaiti hoti ha ik din heroin hero se kuch sawal samhjny k liy classroom ma bhti hoti ha step sister udher apny father ko bola lati ha k herion ka chaker hero se chal raha ha us ka father herion ko marta ha or udher hi chor jata ha hero herion se nikha kr leta ha or apny ghr le ata ha phir hiroin hiro k sath hi college jane lag jati ha hero ki ik sister bhi hoti ha bad ma wo us k pass bhi jate ha plz yh novel dhud dy thanks
ReplyDelete[ ]
Mughay Bhi yahi novel chahiay. Zeenat
DeleteSitara e zeest by Misbah awan
DeleteSitara e zeest by Misbah Awan
Deletethnx alot
ReplyDeleteI need a novel in which heroine is noor ul ain.but mujy hero ka naam nai pta.WO professor hota hai heroine ke college main pharita hai.jub start main heroine college jati hai to hero chutte par hota hai.
ReplyDeletecheck kerty hain
DeleteTum sang nainan laagey by Farhana Naz Malik
DeleteYeah WO novel nai hai
DeleteNechy wala upper wale ka part hai.
me dobara check kerti hon
DeleteMila?????????
DeleteIs main heroine ki friend bhi hoti hai Jo aagy ja kr us ki bhabhe binti hai.end main hero heroine se milta us ky 7 us ki bhabhe bhi hoti hai.hero ke pas aik bacha hota hai heroine samjti ha ke WO hero ka beta hai. Pr WO nai hota.
ReplyDeleteHappy ending hoti ha.,.........
ye ap k req alag se hai ya uper wali req ka part hai
DeleteI also want this novel nimra plz
DeleteBht phle taqrebn 6 ya 7 sal phle ek story ghaliban rida digest m prhi th..
ReplyDeleteHeroin yateem hti h or apni nani k ghr rhti hti h.. ghr ki sari zmadaryan us pr hti hain..ek bar wo clg se a rh hti h tw barish hjati h rasty m bht shadeed ..hero usy lift deta h wo uniform m hta h us wqt i thnk DSP ... ghr a kr jb kam krna prta h tw heroin soch rh hti h k wo ghr walon p khoob roab jhategi k wo ek polis officer ko janti h..heroin ko chooryon ka craze hta h... phr ksi ttah heroin ki shadi hero se hjati.hero ki maa k heroin k khandan se koi clash hta h or wo bdla lene k lye y shafi krai hti h or hero se ehad leti h k wo heroin ko wo mqam kbhi nh dega.yahan hh heroin ko tmam kam krne prty hain..ek scene hta h k raat soty m achanak ith kr heroin hero se khti h k uusy chooryan la dega...hero ka attitude us k sath cold hta h....pr jb heto k bhai ki shadi hti h or wo apni bivi ki bht care krta h maa ki baton m nh ata tw hero ko ahsas hta h .heroin ki saas usy shadi m bh nh lkr jati k ghr m dulhan ka istqbal kn krega.wo heroin ko psnd te krta h pr maa k ahtram m aesa krta h..end m hero heroin ko mna leta h ....
Story name plz
Novel ka naam yad nahi. Heroin ko sab Gori bulatay thay. Aur Samra Bukhari ka novel hai.
Deletemujhe iss novel ka naam to yaad nahin buy iss novel par drama dekha hey jis ka naam hey "Gohr-e-najab" hope this will help you to serch
DeleteDil ke ander ek rasta hay novel by Samra Bukhari.
DeleteThank u :-)
DeleteAoa.aik request hai plz agr app puri kar dain.
ReplyDeleteHeroine k father bhot strict hoty hain.wo heroine ki engagement apny dost k baytay se kar dyty hain jo k hero b hay.hero bhot azad kheyal hota hay wo engagement k baad heroine se milny ki khawaish karta hay .heroine apny abu k dar ki waja se inkar kar dyti hay lakin aik din hero us k gher a jata hay tu heroine ki mother us ko milny ki permission dy dayti hay.es terha wo heroine se aksar milny a jata hay aur kabhi us ko us ki mother ki permission se bahir b lay jata rehta hay.heroine k father ko es bary main kuch nahe pata hota.aik din heroine kay father hero k gher jaty hain un k gher I think koi robbery ho jati hay tu wo hero k ghr aty hain wo wesy hi hero k room main aty hain tu wo hero k room ko dekh k bhot ghusa hoty hain q k hero ny har jaga room main heroine ki pics lagai hoti hain.wo ghr ghusay main aty hain k abhi sirf engagement hue hay aur us ny un ki beti ki pics apny room main lagai hain pata nahe koon koon dost us k room main jty hon gay aur un ki beti ki pics dekhta hoga.es waja se wo engagement khtum karny ka kehty hain.end pay esa hota hay k heroine ki shadi hero se tu ho.jati hay lakin heroine k father ny yeh heroine se keh dia hota hay k shadi k baad wo apny father k gher nahe aye ge.
Plz es story ka name bata dain
Walekum aslam
Deleteme check kerti hon
Aoa I want a novel jis main larka. Police officer hota Hai Aur apne grandparents k Saath rehta Hai uska nikah hojatay Hai end main larki k Atay (flour) wale hath us k uniform per lag Jatay Hain
ReplyDelete2: larka Dr hota Hai thora long novel tha larki k parents ki death hojati Hai Aur Woh Pakistan Wapis ati Hai jab Woh bemar hoti Hai larka ko lagta Hai cancer na ho end happy Hai woh usko pillow se Marti Hai for coming late on their wedding night
Walekum aslam
Deleteme check kerti hon
2nd
DeleteSham dhalay novel by Amna Iqbal.
1st
Mein sharminda hon novel by Nabila Aziz pdf.
Thank you so much yehi hai
DeleteAOA... i am searching for a novel...jis main larki shayed apne cousin(yar phir fiance) k saath kis restuarant main jati hai.. wapis pe parking main khari hoti hai..fiance abhi restuarant k ander hi hota hai...kuch daku aate hain aur wo usse car ki keys mangte hain...itni dair main hero a jata hai wo dakun ko apni car ki keys deta hai aur heroine ko safely ghar pe chorta hai shayed.. jb k heroine ka fiance dakun ko dekh k restuarant k gate pe hi khara rehta hai..parking main aata hi nhi..aur heroine usse dekh bhi leti hai k wo khara tha par aya nhi...yeh us novel ka ending scene hai shayed..
ReplyDeleteWalekum aslam
DeleteKaho mery chand se novel by Shafaq Iftikhar.
Lambhon ki basat by zumar naeem ka link upload karden
ReplyDeletees novel ka digest pta hai to bta den?
DeleteIt is pakeeza digest.
ReplyDeleteI don't know the year .
And it is an episodic novel.
HI, there was a novel that was requested a few pages back, that i would love to read, at the girl sister is getting married, and on that night she talks real rudely with a guy, she does not know that he is her sister dewar and a very high position and a very rude one also,
ReplyDeleteAoa
ReplyDeleteMeri b koi request puri hoge kay nahe...last pages pay b ki hain...lagta hay esay hi pari rah jayain ge...
Kindly meri requests b puri karain
Walekum aslam
Deletejo guess ho gae thi links dey deay thy baqi abhi tk guess ni huen
salam, ik request karni hai....Story yeah hai. Two sister hoti hain, kisi foreign country se pakistani shadi karne jati hain , Sabika and Rabika nam hota hai. Ik behen ki kisi family friend ka beta shadi hoti hai, dosri behan ko apna cousin pasand ata hai, lekin wo cousin kisi or larki main intersted hota hain, jab is behena ko patahalta hai ke us larki ke ghar wale us ki shahdi kisi ameer larkey se karna chahtey hain , jab ke is ka cousin ghareeb ho ta hai, To yeh wali behan us se zabardasti shadi kar ke bahar country lay jati hai ta ke wo ummer ho kar apni passand ki dobara shadi kar le. lekin larka us se nafrat karta hai wo samhjta hai ke is wali behan ko waja se us ki shadi apni pasand se na ho saki, Phir larkey ka khayal badalte hain, end main lakey ke green card ajta hain , or larki us ko chor kar chali jati hai, wo rush driving kar ke larki ke pass jata hai or uska accident ho jata hai, Happy ending hai last words were " Tum jug jug geo maharaj , hum tori nagarya mai ayae " I think novel name bhi is se kuch milta julta hzin.
ReplyDeleteWalekum aslam
Deletecheck kerty hain
AOA,API pehly b ap ce request ki hai ap ny respond nhi kia.
ReplyDeletemjhy achy ce romantic novels k name suggest kr den.
thnx
Ahtibar e ishq novel by Subas Gul
DeleteTere pyar ki khushboo by Qamrosh Ashok
zindagi khaak na thi novel by umme maryam
Dard gar novel by umme maryum
Main muhhabat aur tum by shazia mustafa
amal novel by subas gul
shaher e dil novel by ume maryum
kasa e dil novel by sundas jabeen
Jheel kinara kankar by Nazia Kanwal Nazi
sorry miss ho gae ap k req
Deletemany thnx :)
DeleteMujy aik novel chayaie. His main 2 friends hoty hain.aik ki bati(heroine) hoti hay.dusarye ki aik bati aur bats hota hai
ReplyDelete.
In dono dosto my day am misunderstanding ho jati hai. WO dono dost alag ho jaty hain.
Heroine kye bap ki car se hero ka accident ho jaga hai.WO us ko apny gar apna bata bna kr ly ata hai. Hero air heroine ki bad main bhot fighting hoti hai......
Heroine aur us ke baap ki fend ki bati hero ko pa and krti hain......
Happy ending hoti hai.
me check kr K milty he Ap ko link dey don ge INSHAALLAH
DeleteI am still waiting.
Deleteni mila abhi tk .
Deletekuch es novel bata dean jin main hero heroin ko pasand karta ho or agr koi koi larka heroine ky pass aae us sy larae karta ho likn heroine ko hero pasand na ho.....plzz kuch ese novel bata dean or kuch new novel hon plzz is bar reply kar dean pahly bhi req ky hain likn koi jawab hi nai ata plzz
ReplyDeleteAsslam o alekum
ReplyDeletemay i have a novel name plzz...
I dn't knw hero heroine name bt i knw little bit storyy.... story was lyk hero kafi angry man or serious typ hota haiiii n heroine was too naughty n jolly, n hero isiliay heroine kaw pasand nhi krta...
Bt jb wo apni family se mil kr abroad jaraha hota haiii taw tarrace pe uskaw khara dekhta haiii or usi tym ussey heroine se mohabbat hojati hai....
Bt jb wo abroad chala jata hai taw yahan heroine kaa accident hojata hai n wo paralyse hojatii haiii wo wapas a kr apni mama pe bht gussa krta hai k aap kaw pata thaa mai ussey mohabbat krne laga hun isiliay aapne uski care nhi ki n wo ussey shadi krke uski bht care krta hai or wo phr se chalne lgti hai.... end was happy...
Tooba Naseer M
Rooh ka makeen by nabila aziz
DeleteRooh ka makeen by Nabeela Aziz.
DeleteAsslam o alekum
ReplyDeletemujh ko aik novel dhoond dain jis main hero ki Faoncy bohat modern hoty hay aur kuch complications ki wajay se uss ki shady uss ka baap apni cousin ki bety se kar deta hay Jo uss k ghar main hy rehty hay uss ka naam shehar bano hota hay.
Bia Adam M
Walekum aslam
Deletecheck this
Hum bhi wafa nibhaen gy novel by Farzana Mughal.
Aoa
ReplyDeleteMujhy aik novel dhoond dain.jis main hero apny bhai ki wife se balda layny k liya shadi karta hay.hero k brother ki wife apny husband ko chor kr chali jati hai q k us larky ka character theek nahe lakin hero ka brother apni wife se bhot muhhabat karta hay wo isi ghum main cancer ki waja se us ki death ho jati hay.hero ki mother b isi dukh main death ho jati hay.hero ko bhot ghussa ata hay aur wo heroine se badla layny k liya us se shadi kr layta hay.wo us ko bhot torture karta hay aur us ko zabardasti kehta hay k wo aik letter likhy k wo yeh ghr chor kr ja rahe hay.phr wo usi kisi veeran jaga lay jata hay.heroine k ghr waly heroine ko bhot bura bhala kehty hain aur hero se sharminda hoty hain.heroine wahan reh k kuch psyche ho jati hay.hero us ko wapis lay ata hay.heroine k ghr waly hero k bhot shukar guzar hoty hain k us ny bhot barapan dikhaya k heroine ko maaf kar dia..happy ending tha
Es novel ka name bata dain.I think aik ya do episode ka tha novel
Walekum aslam
DeleteMaat novel by Nadia Amin.
aoa
ReplyDeleteek novel tha jis mai herpine apni mother k sath rwhti hai actually wo uss ki mother ne hoti. university mai hero politivs mai hota hai, ek function mai heroine drink pee leti jis mai hero k lye zehar milaya hota opposite part ne. another scene hero heroine struck in some village due to car break down. professorbin univerty was heroines uncle. later heroine meetbher step brother and mother. hero forcefully marries heroine and her brother tries for divorce. please help me to search. thanks
Bahroun kay sang by iqra sageer ahmed
DeleteWalekum aslam
DeleteBaharon kay sang sang novel by Iqra Sagheer Ahmed.
Upper wala he novel hai.
ReplyDeletemjhe ek novel ka nam bta den plz...
ReplyDeletelarke ka nam haroon ha us ki sepration ho gi ha us ki ek beti hai wife achi ni thi to divorce ho gi us ki hero ki behen us ki dosri shadi apni beti ki teacher se karwadti hain jis ko unho ne school me dekha hota ha
Its "Woh Mera Naya Sawera" by Maryam Aziz.
DeleteWo Mera Naya Savaira novel by Maryam Azeez.
DeleteAoa
ReplyDeleteMje kuch ase novels chahiye jis me hero herion ne apne parents se chup k shadi ki ho ....
Sanwer gea mera rang roop
ReplyDeleteBharon ke sang sang by Iqra sagheer Ahmed
Main mohabbat aur tum by shazia mustafa
Helo
ReplyDeletemuja do novels ka naam cahya plz baata diya.
1:iss ma do cosiens hota hai jis ma in ki family army sa linked hota hai wo dono aik dosra sa bohat pyar karta hai wo traning ka doran do larkyo sa milta hai aik bohat amer hoti hai or dosri aik tawif zadi hoti ha larka us sa promise karta hai ka us ko yaha sa azad karwaya ga or bajwa house ki bahu banya ga wo apna har promise pora karta hai wo khud saheed ho jata hai or iss ka bahi sa iss ki saddi hoti hai ku ka wo kah kar jata hai.larko ka naam Hadeed or Waleed hota hai.
2:iss ma larki aik factory ma kaam karti ha or us ka boss iss sa pyar karna lagta ha or jab wo us ko batata ha ka wo us sa pyar karta hai to wo us ko batati hai ka us ki saddi ho gayi hai wo bohat upset hojata ha or jawab diya bagar cala jata hai us larka ko aik larki na pahla dhoka diya hota hai heroin phir job chor dati hai apna papa ko kahi hai ka ap jis sa caha mari shaddi karwa diy end ma wo larka ayta ha or kahta hai ka kya tum muj sa shaddi karo gi to larki kahti hai ka uja aj larka wala dakhna aya hai to phir wo uss ko batata hai ka wo mara ghar wala hai or hum dono ka ghar wala aik dosra ko janta hai or happy ending ho jati hai.
iss ka alwa muja nai kuch or pata plz in novels ka naam bata di plz
Synopsis to bohat acha hai. AB mera bhi dil chah raha hai yeh stories parhnay ka :P
DeleteHum check kerty hain
Delete1st wala check kren
DeleteWo qoum ki hayat hai novel by Humera Rubab Chanda.
thanx next b try kyra plz
Deleteplz 2 b search kar dya
DeleteAoa, i have requested earlier plz suggest me hero name is khizar hayat married ( nikkah) only wid his czn bt marrige had been broken coz of other czn she had been kidnapped so hero had to married with that czn in end hero brought heroien hospital on the other hand his wife was in labor so his wife narrowly dead and he got baby girl n cried i m abt to kill my baby i m sorry and just 4get heroien in that hospital n worried for his wife and babby and heroienconsented 4 other proposal n said 2 2 day i gv freedom him for my love coz he forget me thiz novel is late 90's may be in shuaa or khawateen plzzzzzzzzzz search it plzzzzzzzzzzz
ReplyDeleteWalekum aslam
Deletecheck kerty hain
Plz search kar dyn mainw bhut search keya h plz help kar dyn thnx in advance
DeleteAssalam o alaikum nimra hw r u?hope so fine.can u plz suggest me some very romantic novels of year 2015,16 plz fulfil my request thanks n Ramadan Mubarak to all of u guys ����
ReplyDeleteWalekum aslam
Deletesub digest m se don ?
Jaise aap better feel Karen ��
DeleteTere payar ki khushboo by Qamrosh Ashok Complete
DeleteKis qadar tujhe chaha by Sadia Abid Complete
Yar e man novel by Naila Tariq Complete
Palkon per thehray khwab by Habiba Umair pdf.
Thanks dear:)
Deletecan u give me link of complete novels of aanchal digest of past 5 years
ReplyDeleteme check ker k ap ko deti hon thora wt kr len
Deletetoota hva tara cmplt novel
ReplyDeleteINSHAALLAH next week tk bn jaey ga
DeleteSalam
ReplyDeletejee main kafi saalon se ek novel ki talash hai jis main larki chup k ek ghar main aati hai waha ek dada and unke potay akele rehtay hain wo us larki ko apni bhabi smjhtay hain us bhai ki jo army main hota hai and wo unko bolta hai k meri wife aye gii but wo nahi aati.. please help name yaad nahi thanks
Walekum aslam
Deletecheck krty hain
Check this
DeleteDhal gia hijar ka mousam novel by Asma Saleem pdf.
yes!! wow .. thank you so much.. i have been searching this novel for years.. you are amazing.. fantastic
Deletethanks again :D
Salam....dear nimra api...maujhy kuch aisy novels chahiye jis mein heroine ka name sawera ho....main ny mail b kiya imraan bhai ko...lekin koi response nahi diya kindly ap jaldi novel k name mention kar dein....
ReplyDeleteWalekum aslam
Deletecheck this phr search kr k or btati hon
Dhal gia hijar ka mousam novel by Asma Saleem
Ye download nahi ho pa raha but it's okay main koi or link khud hi dhondh loon gi...aik or help kar dejiye plzzz....koi aisa novel jis mein heroine ka name sawera or hero ka name Arham ho....and happy ending...plzzz plzzz plzzz search kar k bata dein...
ReplyDeleteap k requested novel search kr rahi hon .mil jaey to ap ko link deti hon .uper wala link theek tha mujh se to download ho gaia tha
DeleteG shayed ap sy ho gya ho...but mujh sy download nahi howa main ny dosri kisi website sy download kar k parh liya hy...anyways am still waiting here.....plz quickly novels mention kar dein...
DeleteNimra api apko abhi tak novels nahi mily....???
Deleteni mila
DeleteNimra aap ne meri request ka rply nai dia meri request thi k muje iss type k novels batayein jis mein heroien or hero dono aik doosre ko pasnd na krte hon lekin kissi majburi ki waja se UN ki shadi ho jye happy ending ho plz meri request puri kr dein thanks 5,6 ho
ReplyDeletereq to me ny subah dekhi thi free ho k search kr k deti hon .wesy previous page pr bhi me ny es type k novels k link deay thy
DeleteMalal koi ho novel by Farzana Ismail
DeleteKahan aa ke ruke they raste novel by Hina Malik.
Dastak to do novel by Nighat Abdullah.
Qaim tera ehtibar rahe novel by Farzana Ismail.
Wohi rasta wohi manzil meri by Mariam Aziz.
Mah e tamam novel by Amna Riaz complete
Thank u sooo much nimra ��
DeleteWahe rasta wahe manzil.
ReplyDeleteZeest ki sham se phly.
Aslamalikum
ReplyDeleteAik novel ha heroine ka naam shayud eina hota... gaun me rehti hooti aut kai shehar me padhti hoti uska aik czn heor b gaun ka h hota ha ju usku hostel s leny ata... aik scene yaad hai tjoda thoda drakht k neechy aur koe eid ka scene b tha....
Aik aur novel hai us me hero heroine k ghar p rehta hota i thnk mamu 0hopho k bachy hoty... hero k step sisters atn milny tu heroin unky sath shoping p jate aur ghar a kr khoob sunate... phr i thnk hero k parents hero ko wapus bulany ka khty jis p hero naraz hijata hai aur kahen chala jata... end was happy...
Walekum aslam
Deleteme check kr rahi mily to ap ko links dey don ge INSHAALLAH
1st novel
DeleteMeri matti se mery khawabon kay rishtay novel by Rahat Jabin.
JazakAllah...
DeleteAur 2nd wala b plz
Aslamalikum
ReplyDeleteMujhe aik novel chahye tha jis mai hero ki dadi india jati hai aur phone per us ka nikah heroien se krawati aur us ko le kr pakistan a jati hai hero use koi response nhe deta hai but baad mai wo use ache lagne lagti hai.....end was happay
Walekum aslam
DeleteRuk jao na novel by Nabila Abar Raja.
Assalamo Alaikum mujhe is novel ka naam bata dain story kuch yun hai hero jagirdar type ka hota hai bahut ameer hota hai wo heroine ko uski sargila pe dekhta hai or wo use achi lagti hai heroine tab ghar me chuttiya mana ne Ai hoti hai jab saal bad heroine apni parhai puri kr ke ghar ati hai hero dubarause uske ghar ke bahar dekhta hai or wo heroine ko uski sargila pe gift bejhta hai heroine apne behnoi jo ke cousin bi hota hai Un se phochti hai k gift kisne bejha to wo kehta ke hamare ilaqe ke bare admi hai or mere boss b is se pehle wo 1 bar tumhare salgira me aye the hero heroine ko like karta hai wo usse shadi karna chahta hai but heroine hero ko bura admi samagti hai hero ki usse pehle 2 shadi bhi ho chuki hoti hai or wo heroine se shadi ka kehta hai to heroine hero ko beizat karti hai kehiti pehle 2 shadi bhi ho chuki ab kya tisri rachane aye hai hero gussa ho ke chala jata hai bad me unki shadi ho jati hai hero uska bahut khayal rakhta hai but heroine hero ko like nhi krti end me use ehsas hota hai or apni sister ko kehti hai hero dusre jagirdaron ki tarah aiyash or bad qirdar nhi hai or yeh batein hero sun leta hai or bahut gussa ho ke chala jata hai end me heroine hero ko mana leti hai happy ending hoti please is novel ka bata dain
DeleteIts Aanchal Mein Jugnoo by Shazia Chaudhry.
DeleteAanchal Men Jugnu Novel By Shazia Chaudhary
DeleteSalam.....mujhy aik novel chaihye nam to yaad nahi novel ka...story kuch aisi hy k larki ka bachpan mein nikah howa hota hy apny father k dost k bety k sath or wo nikah karny k bad ye country chor jaty hain 8 saalon bad wo us larky syroad pe milti hy jb usy kuch chor tang karty hain or us se pesy waghera chen kr ly jaty hain larka dekhty hi larki ko pehchan jata hy lekin larki ko pata nahi hota k wo jiska intzar kr rhi hy wowo yehi hy...plz is novel ka nam bta dain
ReplyDeleteWalekum aslam
DeleteWoh ajnabi magar apna sa by Nadia Fatima Rizvi.
ek novel chaiye tha jiski starting mae hero kafi time bd abroad se ghr wapis ata hai apni biwi ka letter milne k bd jis mae usne talaaq mangi hoti hai pr hero wapis a kr inkar kr deta hai then unki past life ki story chalti hai k kise unki shaadi hoi thi or shaadi k bd larki k ghr walo or hero k yeh misunderstanding ho jati hai k woh apne class fellow ko pasand krti hai jbke issa kuch nae hota lekin larki zid mae a kr phir yeh kehna shuru kr deti hai k han woh apne class fellow ko pasand krti thi or apne husband se nafrat krti hai yeh sb woh frustrate ho k krti hai but end mae hero ko sach pta chal jata hai ussi class fellow se mill k or happy ending thi novel ki .....please novel name bta den
ReplyDeletecheck kerty hain.
DeleteCheck this
DeleteMusafir loat aey hain by sumaira Sharif toor
thank you!!!
Deleteaoa,mujhy ek novel chaiye jis main hero name zarar hota hai aur uska ek step brother bi hota hai uska name waleed hota hai.Waleed ki mangi uski cuz sey hoti hai uska name soni hota hai.lakin wleed bhair chala jata hai toh majboran zarar ko soni sey nikha karna parta hai but waleed wapis a jata hai aur bolta hai kkay soni ka uskay sath shadi karwao lakin zarar nai manta.Happy ending hai.
ReplyDeleteWalekum aslam
DeleteDil kay mousam novel by Maryam Aziz.
Its Dil K Mausam by Maryam Aziz.
ReplyDeleteSalaam Nirma mujhe hina malik k novel kahan aake ruke thai rastey jaise novels suggest kr dein plzzz.Thanks
ReplyDeleteWalekum aslam
Deleteuper me ny esi type k deay hain .jis m hero & herion ik dosery ko passand ni kerty & majbore m shadi ho jaey
Hi nimra mujhe kuch iss trah k novels batadein,hero aggressive ho hr wqt ghussa mien rehta ho or heroine innocent c ho or hero se bht drti ho happy ending wale hon or shadi k baad wale b hon plzzzz
ReplyDeleteFacebook wale group ka name bata dyen
ReplyDeleteSalam ..... mjha ik novel chaiya .... heroien ki engagement uska cuzn hero sa hoti hai jo k doctor hota hai ... heroien ki maa us sa v ziyda amer larka sa uski shaadi teh ker deti jo professor hota hai... end pa hero subko uski sachi batata k wo phela sa shaadi shuda ota hai ..tu herion ki maa sharminda ho k hero herion kishaadi kerwa deti hai .... kindly jaldi reply da dain
ReplyDeleteWalekum aslam
Deletecheck kerty hain
hero herion ko uski bhai ki shaadi pa dekhta hai aur herion uski grandmother ki choice hoti hai
Deletecheck this
DeleteJo phool rah ki dhool they by Iffat Sehar Pasha
thankuuu
DeleteSalam
ReplyDeleteMujhe is type k 3 se 4 novels bata den jin mai heroien hero ke boss ho ya phir boss ke beti ho plz reply
Walekum aslam
Deleteme check krti hon
AOA aaB e hAyat complte ho gaya hai ? Agar ho gaya hai tu link dai dain plxxx :)
ReplyDeleteWalekum aslam
Deleteabhi to continue hai
Aslam o alaikum...kuch aisy novels suggest kar dein jo morally or interesting hoon...like jannat k patty...perr e kamil (p.b.u.h).....etc
ReplyDeleteOr kuch aisy novels b jin mein shadi ka full hangama ho or buhat zayda excitement ho....khoob halla gulla or funny types novels....
ReplyDeleteAsslam o alekum
ReplyDeletesadia hameed afridi ka novel hai us mein larki ki shadi us k cousin aizaz k sath hoti hai shadi k baad us k cousin ka behaviour theek nhi rehta larki ko cancer ho jata hai jis se us ki death ho jati hai muje novel ka naam nhi yaad pls dhoond dein
Asslam o alekum
ReplyDeletebohoooooooooot pahley ek mazahiya novel pada tha wo mere dil par naqsh hokar rehgaya hai, bohot din maine wo book sambhali magar ek saal pahle i've lost it unfortunately frown emoticon par ussey bhi zyada badqismati ye hai ki mujhe us novel ka naam yaad hai aur na hi writer ka even though i count it as one of my favourites frown emoticon please do help me if you can, i'll provide you sufficient info about novel and kindly please let me know about the novel link na ... ye ek funny script hai jisme 4 bhai apne amma abba ke saath rehtey hain, char bhaiyoun ke naam BABAR <HUMAYUN,JAHANGEER aur SHAHJAHAN hai , main character HUMAYUN hai, babar ki shadi maa ki pasand ke barqilaaf dadiyali cousin MIZNA se houjati hai aur amma mizna se khafa khafa rehti hain, pados mae FAIZA hai jo ki humayun ki pasand hai jabki wo aur humayun aksar ladtey hi nazar aatey hain... faiza ki shadi kisi aur se taye houjati hai par aaen waqt par dulha ghaayib houjata hai... istarah faiza aur humayun ki shadi houjati hai... kahani normal hai par usko pesh karna ka andaaaZzzz.....AWESOME has has ke loot poot houjana insaan.... please bhai help me...
Aqsa taqdees
Meri teri ik marzi by Asia Razaqi pdf.
DeleteAoa frnd maine recently novel dare dil parha tu socha q na views share kar loun like agar kesi ko life m real love hojaye tu kia wo dobara hosakta h ??? Like hero dil awar shah k tarha jesy zari sy ausko lshq hoa aur aleezy sy mohabbat does it make sense aur mjhe yeh b puchna h novel m leading heroien kaun thi aleezy or zari or both???? Nimra plz share ur views and my all frnds who join this forum thanks in adv
ReplyDeleteMjhe munzil e murad novel by iqra sagheer ahmed ka link de dyn plzzzzz
ReplyDeleteye Iqra ka ni hai .M.A Rahat ka hai. agr confrim hai to digest ka month & year bta den .
DeleteAslam o alaikum....main ny kuch novels kahy thy k shadi waly full hangama or songs waghera ka halla gulla jin novels men ho u k name nention kar dein...
ReplyDeletetoota hva tara cmplt novl lnk deden plz
ReplyDeleteabhi link ni bna
DeleteMain Ik novel buhut arse se dhoondh rahi hoon, buhut porna novel hai. story yeh hai ka ;
ReplyDeleteHero apne cousin ko visit karne different city ata hai , wahan us ko cousin ke neighbor dekhti hai,wo buhut larkoon type harkaten karti hai, heroin ka image acha nahi banta hero pe. Phir jab hero ki shadi hoti hai or wo shadi waley din heroin ko dekhta hai, tu ghusse ma ajata, or heroin ko bura bhala kehta hai,anyways,shadi ke baad wo jab heroin ko cooking karte howay or ghar ke kam karte howay dekhta hai, tu us ko apni ghalti ha ihsas hota hai. Ik scene mai heroin stair se gir jati hai plants ko pani detey howay, hero dekhta hai or doctor ke pas legane ko kehta hai,lekin heroin mana kar deti hai, ik scene mai hero ki mom heroin ko eid ka kapre hero ke sath tailor ke pass jane ko kehti hey, heroin hero ke bajaye hero ke brother ke sath chale jati hai. Happy ending hao. I think eid based novel tha, one of eid edition. Please please do search it for me.
check kerty hain
DeleteMilla yeh?
DeleteAoA, mujhe aik novel ki request karni hai jo shua digest mein publish hoa tha, us mein hero ka naam naveed aur heroine ka sumaira hota hai, hero k do chotay bhai bhi hote hain, hero kisi aur ko pasand karta hai lekin apni maa ki khatir heroine se shadi kar leta hai.. end happy hota hai
ReplyDeleteWalekum aslam
Deletecheck kerty hain
I m still waiting
DeleteAoa, mjhe aik old novel chaiye jes m heroien kesi aur ko pasand krti h par auska bhai jes larki ko pasand karta h wah sy shart hoti h k shadi hum waty saty m karyn gy shadi ho jati h phir heroien ko pata chalta h k hero apny dost k sis ko pasand krta tha yeh baat auski nand btati h jb hero heroien ko apny dost k kesi party m lekar nhi jata end m hero heroien k k separation ho jati h qk aun dono k behan bhai ki divorce ho jati h heroien smjhti h k hero ausko chor dy ga bt bhut dino baad wo cal kr k btata h k ausny ghar alag set kr leya h happy ending plz search it
ReplyDeleteWalekum aslam
Deleteye check kren
Hum mohtabar thehray novel by Umme Maryam
Thnx nimra bt yeb woh hi
DeleteThnx nimra bt yeh woh nhi qk hero b dost k sis ko pasand krta tha aur dono hero n heroien aik dosry sy normal behave krty thh aur hero b achi family sy belong krta tha heroien separation k baad maikay chali jati h aur ausky bhai aur nand ki divorce ho j jati h end m hero bhut dino baad heroien sy contact krta h wo smjhti h syad divorce k lye phone keya h jab k wo btata h k ghar separate kr leya h aur aun ky waha gud news b hoti h plz yeh search kr dyn i think hero name was sikandar
chlen me dobara dekhti hon
DeleteAoa . Mughy aik silsilay war novel ka naam pata karna hai. ...... Larki par larka fire karta hai ... I think wo layer hoti hai , and larkay ur uski shaadi bhi ho jati hai .... Aik episode main wo uska secret room bhi open karti hai , larky ko bhi pata chal jata hai ... Par wo nhi darta , bech main aik scene hai aik larka kidnapped hota hai wo I think heroine ka cz or moun bola bhai hota hai ... Family based novel hai ... Heroine hero ko murderist samajti hai .... Plzzz is ka Baan bata dain yeh novel recent years ka hi hai iski episode 2015 main bhi post ho chuki hain .....
ReplyDeleteIt's Namal by Nemrah Ahmed...
DeleteWalekum aslam
DeleteNimal by Nimra Ahmed
Salam ..... kindly suggest me some novels like dhal gaya hijar k din .....
ReplyDeleteaur ik novel parh tha khuch yaad nae bus itna yaad hai larki 4 larkon sa lift leti hai nd she knws k wo uska cuzn han aur shayad grandfather sa unko dant v parwati hai ...
kindly reply ker dain
Deleteme check kr rahi hon rat tk jo mily link dey donge INSHAALLAH
DeleteAsslam o alekum
ReplyDeletemjy aik novel chahiye hero heroine dono czns hain 😛 story bs thori thori yaad hai heroine hero ky chacha ki beti hai heroine hero KO bhai kehti aur hero bhi choti bahen ki tarah hi treat karta hai hr choti choti baat puri kerta heroine ky abbu bht bimar hotay hain in ki akhri khawish hoti hai ky dono ka nikah ho jy hero ky abbu apnay bhai ki akhri khawish puri kerna chahty hain heroine nhi manti vo bht roti yeh nikah nhi kerna chahti phir dono ka zabardasti nikah kr dia jata hai heroine hero sy rude behave kerti hoti hr waqt q k us KO ghussa hota ky hero ny mana q nhi kiya nikah kernay sy ....happy ending hai
Anum
ek novel parha tha jis mae heroine abroad jati hai prhne waha usse ek non muslim larka milta hai jo usse pasand krta hai or uski waja se apna religion change krne ko bhi tayar hota hai pr larki usko bilkul pasand nae krti but somehow unka nikkah ho jata hai jiske bd larki wapis Pakistan a jati hai pr larka wahi rehta hai or Islam se kafi close ho jata hai.... novel or charterers names yd nae mjhe please ap novel name bta den!
ReplyDeleteI thnk its heroine is Hibba and hero is Abdul Bari...hero is actually heroines' czn...heroine is an adopted child...her uncle adopts her from his brother...hero is da real son of her uncle who adopts her...hero cumz to Pakistan and goes to Jihaad also...hav read it buh dnt remember da name...
Deletecheck this
DeleteTeri chah mein teri rah mein novel by Umme Maryam.
This is exactly da one I was talking about...buh can't say anything about da person who has actually requested this novel...nw only dat person cn confirm it... :)
Deleteplease suggest me some novels like agar woh meherbaan hota, band quba khulny lagi janan, Ek Junoon Khwab Tarb... Inse similar story wale novels suggest kr den please.
ReplyDeleteAOA...plz is novel ka naam bta dein
ReplyDeleteHero shayed non muslim hota hai aur heroine muslim.aur wo larki ko like karta hai.phir larki k muslman ho jata hai..aur wo dono bhag k shadi kar lete hain.shadi wale din heroine, hero aur us k friend ki baatein sun leti hai k wo sirf showoff kar raha hai..par asal main wo non muslim hi hai...larki yeh sun k wahan se bhag jati hai...aur ik reg light area ki aurat k haath lag jati hai...wo usse apne saath le jati hai..aur usse force karti hai wo profession adopt karne k liye..par wo nhi manti..bd main wo aurat usse ik raat k liye baich deti hai...heroine us raat ik glass ka piece apne face pe marr leti hai...par wo admi police wala hota hai aur wo larki ki help karta..end happy hi tha.
Walekum aslam
Deletecheck this
Gr ho jaey zoq e nzr zinda novel by Asma Qadri pdf.
yep this is the one...
Deletethankyou soo much..
waiting for the other one
ik aur novel ka pouchna hai us main heroine aur 4 ya 5 behne hoti hain..hero unka dor ka cousin hota hai..aur unke ghar a k rehta hai..aur heroine ko like karta hai aur unki mangni ho jati hai..phir heroine ko pta chalta k hero ne koi qatl kiya hua hai..aur wo mangni torr deti hai...end main hero disappoint ho k mulk chor k ja raha hota tou heroine usse rok leti hai..aur woh misunderstanding bhi clear ho jati hai
ReplyDeleteap k dono novel milty hain to btati hon .uper wali bhi ap k req hai shyed
Deleteye nvl aanchal digest ka hai..heroine k czn+fiance(ibtihaj)ki death ho chuki hai..nvl k strt mein heroine apni cnzn k sth ghr pr hoti hai(uski mom waghyra shopping pr gye hoty hain)..suddenly,unky ghr mein 3 ya 4 nqab-posh larky ghuss aaty hain & jwellery+money maangty hain..unmy se ek larka(hero) heroine ko pkr lyta hai..hero ki eyes bilkul ibtihaj jesi hoti hain,heroine ko lgta hai wo larka ibtihaj hai,wo shockd hojati hai & faints..kuch dino bad..raasty mein whi larka by chance heroine ko milta hai..& uski shkal bhi ibtihaj wali hoti hai..wo phr heran hojati hai..end pr i think hero asal mein ibtihaj ka identical twin hota hai,childhood mein apni famly se bichr gya hota hai..
ReplyDeletecheck kerty hain
Deletetoota hva tara abi tk cmpile nh hva ??
ReplyDeleteHo gaya complete. Is qadar complicated novel. Dimagh ka dahi ho gaya. I quit reading that novel.
Deletelnk
Deletekal ya parson complete link post ho jaey ga INSHAALLAH
DeleteAoa.ek novel tha jis ka nam ya author ka nam nhi yad ,khawateen ya shua digest me tha,hero ka nam shayad waleed aur heroine ka nam fatima hota hai, start me fatima k father ki death hojati hai tou wo hero k ghar ajati hai, hero age me bara hota hai heroine se,hero ki mother ki tbyt kharab hoti hai aur uska nikah kr dete hain heroine se,kya ye mil skta hai?
ReplyDeletehero name haider and heroine name mashal by sarwat nazir ye ai drama araha hai ary digital par agar ye novel hai tou please check kar k bataden i will be very greatful
ReplyDeletedrama name: Besharam
DeleteI want a novel which has been requested on the previous pages as well. Hero's name is zarar and heroine is maida, hero is a politician. Kindly find this novel.
ReplyDeleteye novel ni mila
DeleteAslam o alaikum....Main ny ap se kuch novels suggest karny ko kaha tha k jis mein shadi ka halagulla ho songs or ghazal mehndi pe boly gay hoon...4 dafa request bheji hy but no response....
ReplyDeleteWalekum aslam
Deletenovels m ye sub ni milta .thora sa touch ho ga pr ye ghazals & songs ni.
Apne kha tha shart novel k dusra hissa ane wala h kab tak ayega
ReplyDeleteabhi tk ni aya
DeleteAOA..mjhay aik novel name bta dain kafi lenghty novel tha hero student union ka leader hota hai usay opponent barra tang krta hai tau us k dost opponent ki behn ko kidnap krnay jatay hain wahan shadi ka function hota hai or ghalti se heroine ko kidnap kr k ly aatay hain baad mn pta chalta hai k wo behn nai hero ko jab pta chalta hai k wo kafi gussa hota hai or chorr daita hai heroine ko baad mn kafi guilty feel krta rehta hai...phr heroine kafi arsay baad usay milti hai unk ghar e tuition dainay aati hai bachay ko tau story aagay chalti hai..kindly name bta dain..
ReplyDeleteWalekum aslam
Deleteme check kerti hon