FAMOUS URDU NOVELS: REQUEST FOR NOVELS PAGE 3

HERE YOU CAN SEARCH FOR THE NOVELS LINKS

REQUEST FOR NOVELS PAGE 3




Asslam o alekum friends and members
ap sb se guzarash hay k apni request k bare me best info like novel name, author name, jis digest me novel publish hoa us ka name , month and year, and agr ap ko us novel ki story ya main charecters yad hen to woh btaen ta k ap ka matlooba novel talash krne me asani ho and apni request k poora hone ka sabar se intizar kren k kbi kbi koi novel available ni hota ya us novel k bare me kuch pata ni hota is leay us request me der b ho sakti hay. Meri poori koshish hoti hay k ap ki request jald se jald poori ho sake. baqi sb members se b meri guzarash hay k agr ap koi req dekhen or ap ko us novel ka pata ho to kindly us req pr reply zaroor kren. 

Request karne wale members se guzarash hay k 
  • Request krte hoey sath me apna name zaroor mention kren ta k next time jb ap us req k bare me poochen to hum ko pata ho k ap kis req k bare me pata kr rahe hen.
  • Apna email id sath me mention kren ta k bad me ap ko link send kia ja sake.

agr ap ko kahen ksi qisam ki problem ho to ap mujhe mail kr sakte hen
aatish2kx@gmail.com  

ya face book pr mujhe contect kr sakte hen
  
https://www.facebook.com/aatish2k11 ( IMRAN ALI )

Ap apni request hmare facebook ke page pr b send kr sakte hen 

ap sb ke tahawan ka boht shukria.

Ap ka bhai 
IMRAN ALI




288 comments:

  1. Mujhe ek novel ke bare mein poochna tha. story yun hai ke heroine aur hero shuru mein train mein safar karte hain. heroine apni behen ke ghar ja rahi hoti hai apne parents ki death ke baad. hero police main ya intelligence mein hota hai. heroine ki behen nahin chahti ke heroine uske paas aaye kyunke uska behenoi acha aadmi nahin hota. woh do number kaam karta hai. magar heroine ko yeh pata nahin hota. jab woh udhar chali jati hai to uska behenoi ek din usse hotel behjta hai. wahin par hero aur uska dost police raid main heroine ko pakar lete hain. hero investigation ke doran heroine ko marta hai ke woh apne group members ke naam bataye. lekin woh kehti hai ke usse kuch nahin pata. lekin hero uska yaqeen nahin karta. phir heroine ke brother in law ka gang pakra jata hai. aur hero heroine ko chor deta hai. heroine hero ke friend ke ghar rehne lagti hai, phir hero ko woh achi lagne lagti hai, lekin heroine ko uska investigation ke time ka salook yaad hota hai aur woh inkaar kar deti hai. end main happy ending hai.Iss mein hero ke step mother bhi hoti hai.
    Ye story shuaa digest year 2005 mein aayi thi. agar kissi ko pata ho toh plzzz bata dein

    ReplyDelete
  2. Plz ishq e aatish ka link daal dein request page pe

    ReplyDelete
  3. salam plz doshiza digest january 2014 upload kard

    ReplyDelete
  4. Please I cant able to download paras novel part 4

    ReplyDelete
  5. Aoa Plz do give a media fire link as deposit file is not available for us

    ReplyDelete
    Replies
    1. WE are giving 3 links in each post and the third link is of mediafire link.

      Delete
  6. Effat sehr ka novel js main hero hasin hai or heroin yad nhi upload kr dain.and ek or story b js main walid hero hai n heroin zainab I thnk woh pehle dewar bhabi hote hain phr bare bhai ki death k bad walid se shadi hojati hai.is this enough for understanding story?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Nikhar gaey hen gulab sare by Effat Sehar
      Second novel is Mohabbat ka sukhan by Amna Riaz
      MOHABBAT KA SUKHAN BY AMNA RIAZ

      Delete
  7. plz bhi mery request fill kr da its my first request
    ajab silsaly ha wafa k by fozia gazal publish in hina october 2007

    thanks

    ReplyDelete
  8. Muja ek novel chaya hero ka nam salman hota hai aur heroin ka nam yad nahi hero ka parents ki death ho gai hoti hai aur wo apni phopho ya mami ka sath rehta hota hai heroin iski cozn hoti hai aur hero usa passan kerta hota hai per heroin samajti hai ka hero na usa uski maa ka pyar la lia hai is lia wo usa passand nahi kerti aur hero ka he kisi cozn sa mangni ker lati hai per bad main usa ehaan hota hai aur sab teek ho jata hai happy endind hai... Plz tell me the name and writter name of this story

    ReplyDelete
  9. helllo mujhy ek novel ki tallash he jis ka nam & writer ka nam nhi pta likn herion ka nam inshra jaleesul hassan hota he or 2 name zobria he wo hero ki phopo ki beati or mankhooa hoti he likn ek accdent me bicheer jati he hero ka nam dr daniyal hota he wo hero k bhai k sath hospital me kam karta he pleees kisi ko pta he to mujhy link bta de ye 1996 se 1999 k kisi digst me aaya tha

    ReplyDelete
  10. plz upload naye ufaq january 2014

    ReplyDelete
  11. salam
    rida feb 2014 kab upload hoga plzz ye jaldi se upload kar dein.....


    mujhe ek novel ki talaash hai kab se ye mil nahin raha plzz app dhond ke upload kar dein....
    story ka name nahin yad ye hina digest mein ayi thi year bhi nahin yad
    ladke ka naam shahmir hota hai us ki tang mein koi prob hota hai ladki us ki cousin hoti haii wo bahir se ati in dono ki shadi ho jati hai ladka jagidar family se hota hai us ki kisi ke sath koi dushmani chalrahi hoti hai jis ki wajah se wo shehar mein rehta hai our us ki baki family gaon mein hoti hai ladke ki baap ki death ho chuki hoti hai ladke ki maa our mamu sath rehtey hote hai ladkey ke mamu apni biwi se sahi baat nahin karte hote ke key un ki bari beti bhaag ke shadi kar leti hai iss seagey mujhe sahi yaad nahin hai plzz app ye story dhoond ke upload kar dein.....

    ReplyDelete
  12. Akhir tum ne hum ko jeet lia by Saba Adeel
    plz es ka link theak kr da

    ReplyDelete
  13. rida kb upload ho ga?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Abhi rida digest nahi aya market mein hamary pas. jesy hi mila INSHAALLAH post ho jaey ga.

      Delete
  14. A.A. imran bhai 'mai hari pia by nayab jelani' dwnload link is not wrkng plz check kr len.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Link check kia hai . woh theak hai ap dobara try karen es bar ho jaey ga

      Delete
  15. i want salma kanwal novel tere bina

    ReplyDelete
  16. salam
    need a novel plzz.....
    mujhe novel ka naam yaad hai aur na writer ...story yeh hai k heroine aur uski 2 sisters apne dada k ssath rehti hai..parents ki death ho chuki hoti hai..phr unki phopho ka beta bahir se ata hai pakistan..aur in k pas rehta hai..aur heroine ko pasand aa jati hai..but heroine ki engagment dada k dost k potey k sath ho gai hoti..etc,,,,

    plzzz kisi ko pta hai iss novel ka ..do tell me..plzz

    ReplyDelete
  17. Aik aur novel hey jis mein larki ka naam rushna hey shayad aur main role ka naam aazar hey rushna k grand father ki death hojati hy shayad father ki aur phir aazar k dada usy sath le aaty hn phir ....nikah kr dete hn dono ka jab k wo usy na pasand krta hey kuch aisi he kahani thi ....baqi kuch pta nahi hy k kb aaye aur kis digest mn aaye

    ReplyDelete
  18. i want salma kanwal novel tere bina

    ReplyDelete
    Replies
    1. Tere bina Complete nai ho saka tha writer ki death ki wajah se...... hum incomplete bvl post nai kar sakte sry

      Delete
  19. Aoa, khawateen digest main jo episodic novel chal raha hai "Mah e tamam" uskay ab tk ki episodes ek hi profile main ker k upload kerdayn. thanx in advance.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Abhi novel complete nahi hua. jab complete ho jaey ga to tamam episodes ko combine kar den gy.

      Delete
  20. aoa...........feb 2014 ka khwateen digest upload kr dn plz

    ReplyDelete
    Replies
    1. Abhi digest hamary pas market main available nahi hai. jesy hi mila INSHAALLLAH post ho jaey ga.

      Delete
  21. Aoa mughy b first wala novel chaye yeh novel khwateen digest September 2000 aya tha or is digest may farhat ishtaiq ka novel khushbo badal chand hawa aya tha or yeh novel is site par available hay but yeh novel nahi hay. Why Plz tell me. Me ny phyly b is novel ki request ki thy lykin koi reply nahi aya mughy b Haroon aur Zaroon wala novel chaye

    ReplyDelete
  22. kindly mujhe bhi qafley rah bhool jatey hein iss type ke novels bata dain but jo yahan mention hain main already parh chuki hoon ap kuch aur names bata dain pleaseeee.. this is my 1st request .

    ReplyDelete
    Replies
    1. Shart by nabila aziz
      Pehla pathar by Iqbal bano

      Delete
  23. Aoa mujay aik novel chahya kafi arsa pehlay parha tha. Hero name was arham and herion name was Faryal. dono cusin hotay han. or herione ki mangni hero k ph0pho k betay say hoi hoti ha but kuch maslay ki waja say wo toot jati ha. hero k dada jin ko sab abi ji kehtay han herione ka nikah hero say kar daitay han jis par herione naraz ho jati ha .plz plz plz koi is ka name bata do

    ReplyDelete
  24. AOA .....mujhay nuzhat shabana haider ka afsana wo malal to koi aur tha chie plzzz

    ReplyDelete
  25. mje 1 novel chaheye jis k name mje yad ni he episodde wise tha hero businessman hota he wo 1 larki ko pasand karta he par hero ki moyher use shadi ki liye ni mante heroin middle class family se belong karte he us ki moyher koi koi bemari hote he us k liye use 10 15 lahk ki zarorat hote he hero ko pata chalta he to wo use job ofer karta he k us k 7 contract marrige kar le us k badle me wo us ki mother ka complete ilaj karwae ga heroin phle ni mante lekin pher majobori ki waja se man jati he hero heroin se nikah kar k ghar le jata he hero k parents shocked reh jate hen phle to hero ki mother heroin ko acept ni karte lekin phr acept kar lete he hero heroin ko khta he k wo us k ghar walon k 7 misbehave kare take wo use divorce dene ko kahen pher us k bad wo apni pasand ki larki se shadi kar sake par heroin esa ni karte kyun k use hero se muhabat ho jate he last per heroin kahin chale jate he sab ko chor k hero use buht dhondta he pher sab ko pata chalta he hero heroin ki cusion he herion us ki khala ki beti hote he ending hapy hota he sab thek ho jata he kindly mje btaen is novel ka name kya he

    ReplyDelete
  26. Woh sitara subha e umeed ka by Fozia Ghazal pdf. complete
    posted link theak work ni kr rh plz correct link post kr da

    ReplyDelete
  27. mujhe ek novel ki talah hai, story line kuch yun hai, hero heroine cosns hotey hai, heroine bahut pehle se hero ko pasand karti hai, hero apni classmate se shati karleta hai, delivry k time par hero ki wife ki death hojati hai. heroine se hero ki shadi hojati hai, hero ko lagta hai heroine kisi aur ko pasand karti hai, shadi k baad b usi ki yaad mai rehti hai, akhir mai hero ko pata chalta hai o usi ko pasand karti hai. her0 name Salman hota hai, 2006 k year mai publish hua tha, kisi ko yaad hoto batadein ya link share karden

    ReplyDelete
  28. mujhey ek novel ki talash hai ye story annchal mein ayi thi year yaad nahin hai story ka naam bhi nahn yaad story kuch youn hai ek ladki jis ka naam shifa hai jo apni maa our do behno ke sath rehti hai father ki shaid death ho jati ladki ki dono behno ki shadi ek hi khandan mein hoti hai wo dono bhai hote hai un ka cousin jo hero hai mujhe naam nahin yaad wo ladki ko like karta hai lakin ladki ko nahin pata hota hero apni job ki wajah se london mein hota hai tab hi ladki ka ek cousin un ke ghar ata hai wo ladki ke sath kuch galat karne ki koshish karta hai ladki shor machati hai our behosh ho jati hai sab aa jate hai lakin ladka usi ladki pe ilzaam laga deta hai sab ghr wale ladki ko hosp le jate hai lakin ladki ki maa nahin jati ladki ki maa ladki ke bht naraz hoti hai wo ladka ghar se chala jata ladki ki maa ko us ke khilaf kar ke
    ladki ki bhene ladki ki shadi hero ke sath fix kar dete hai hero ke sath us ka nikah kar key use london bhej dete hai ladka wahan usey le key apne ghar ata hai ladkey ko us key bare mein sab pata hota hai lakin wo chata hai key ladki khud sab kuch use batae lakin ladki mein himmat nahin hoti ke wo use sab batae ladka us key sath rodly behave karta hai alag kamre mein rehta hai baat nahi karta kafi mahine ho jate hai ladki ek paper pe sab kuch apne bare mein likh key ladke ke kamre mein rakh ati hai lakin jab wo next day jab ladke key kamre mein jati hai wo paper waise hi pade hote hai wo samjhti hai ke ladke ne nahin padha wo papers dustbin padh ke phenk deti hai iss se agey mujhe nahin yaad per end kafi acha tha plzzzzzzz ye story dhond ke upload kar dey plxxxxxxxxxxxx

    ReplyDelete
  29. kuch aisey novels ka name batayein jis mai hero heroine ki ladai hoti ho, ya hero ki zabardasti heroinse se shadi hojaye, n fights after marriage

    ReplyDelete
    Replies
    1. thnks,
      kuch aaur novels ka name bhi batayein

      Delete
    2. Ye parh lyeee hen in k elavaaa???

      Delete
    3. mai mohabbat ur tum by shazia mustafa

      Delete
  30. Aoa, "mere eid tum ho by anum nazeer" upload kar dain is ki 1st epi rida august 2012 ma ai thi. thnx

    ReplyDelete
  31. paras ki last epi ka link de dain.....download nai o raha.....plz

    ReplyDelete
  32. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  33. A S A, mujhey aik novel parhnaa hai jo shaid amna riya ka likha houa hai jis mainheroine apney ghar waloon sai chup k shadi kati hai aur us k husbana ki death ho jai hai heroine ka name thanit hota hai phir us ki mother ussey ghar la k us ki delivery khin door dra k gaoon main kra k bachey ko whain chor k ussey wapis lai aati hai aur us ko kehti hai k bacha mar gya ayur uski dosari shadi kar daiti hai us k bad bacha jwan ho k kisi tarah apni maa k ghar aajata hai mujhey novel name yad nahi aa raha

    ReplyDelete
  34. mujhery aik novel chaiye novel name kinarey doob jatey hain writer name naseem amna is ki first episode shaiyed 1997 november k shuaa digest mai aai thi
    plzzzzzzzzzzzzzzzzzz

    ReplyDelete
    Replies
    1. Yeh novel bhot purana hai aur itny purany digests sab k sab milna mushkil hai. But hum talash ar rahy hain. jesy hi mila INSHAALLAH post ho jaey ga.

      Delete
  35. Kindly upload 'wafa meri zid'

    ReplyDelete
    Replies
    1. ap kindly is ki details btaen author name publishing digest month year ?

      Delete
    2. Farhat shaukat n pulishing yr shaid 2011,12,ya phr 13 as far as i remember

      Delete
  36. chahat dil ki chahat by shazia mustafa ka print thk nhi ha ap change kar dain plz

    ReplyDelete
  37. AOA.....mjhe NAILA TARIQ ka novel mohabbat kam nahi hogi chahiye kia mil skta hai plzzzzzzzzzzzzzzz.

    ReplyDelete
  38. AOA .... mujhy umaira ahmad ka 1 novel chie story name yaad nahi hai hero name waleed and herione name mamoona hota hai.....2 czn hoty hai unkai beach kuch ghalta fahmi hoti hai lakin last main sab kuch teak hota hai....plz mujhy yai novel chie....

    ReplyDelete
  39. please upload khwahishun k jazeeray by rukh chouhdary in rida 2005 to 2007 and rastay gulab hungay by amber afghan in 2007 please reply

    ReplyDelete
    Replies
    1. Jesy hi iss novel ki tamam episodes milen hum post kar den gy INSHAALLAH.,

      Delete
  40. Kindly upload Roop mausam ka sanwar jane do by naushaba tariq

    ReplyDelete
    Replies
    1. please let us know about publishing digest month and year of your requested novel.

      Delete
  41. Assalmalaikum,hope u ppl r fine.i wanted to know when will rida digest february 2014 be uploaded?One more thing,Tum Mere Ho Kay Raho by Anam Khan..Can I get this novel online?Thanks.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Here is your requested digest link. and kindly give some more detail about your requested novel like publishing digest and month etc.
      Rida Digest February 2014

      Delete
    2. Thankyou v.much,Bhai

      Delete
  42. Sorry..The novel was Dil Mein Basay Ho Tum by Anam Khan..Its episodes used to be published in Rida Digest.

    ReplyDelete
  43. Hello,I want a novel dont know the story or writer name story is like..hero name utab apne uncle k sth rhta ha jo uski mama k cousin ha or uski mama se mohabbat krte the bt wo age me bari thi to shadi ni hti wo
    apni death se phle apne bete ki zimadari apne cousin ko dti ha bad me us k uncle ka. Accident hojata ha or wo uski shadi apni beti
    se kr dte ha n he die bad me kch prblms hti ha bcz utab kisi afia nam ki larki ko pasand krta ha n jo female character ha use yski frnd ka bhai pasand krta ha is wja kch issues hta ha bt at the everything gets fine n its happy end..plz tell me the story nam I guess shuaa digest me publish hui thi story

    ReplyDelete
    Replies
    1. itni kam info k sath koi novel talash karn bhot muhskil hai. but hum phr bhi koshish karen gy k jesy hi koi clue mily ya novel mily to hum usy post kar den gy INSHAALLAH.

      Delete
    2. Mein tujhey chahta nahin hon lekin by Sidra Sehar Imran

      Delete
  44. Mein tujhey chahta nahin hon lekin by Sidra Sehar Imran

    ReplyDelete
  45. Asalam o alikum....

    muhabbat tera mera masla hai by subhas gul ka last part download nahi ho raha plz thik kar dey....thank you

    ReplyDelete
  46. Please tell the name of the novel jismain heroines mothers name is ramna and i think heroines name is maha and the hero changes hi name to zaeem and his friends name is haseeb! the hero takes revenge from heroine kiunke uski ammi ne hero kesath kafi bura mazaq kia hota hai!

    ReplyDelete
  47. salam, mujhe sundas jabeen ka novel qaflay raha bhol jatey hain online read karna hai plz iska link bata dain

    ReplyDelete
  48. Main ne aik novel parha tha, shua 2004 main. Novel ka naam yaad nahin hai. Story kuch yun hai ke Start main larki haveli se apni jaan bacha kar bhagti hai. Uske ghar par kuch log hamla karte hain. Uske parents haveli mein hi marr jaatey hain. Heroine bhagti hai. Phir usse aik aurat milti hai jo usse apne saath ghar le jati hai. Woh aurat hero ke ghar par kaam karti hai aur unke servant quarter mein rehti hai. Heroine uske saath rehna shurru karti hai. Phir heroine bhi hero ke ghar par kaam karna shurru kar deti hai. Woh aurat uska introduction apni rishtey daar ke tor par karwati hai. Heroine ke paas aik hi dress hota hai(Frock kaliyon wala) jo woh pehney rakhti hai. Aik din woh safai kar rahi hoti hai ke hero aur uske behen bhai kuch discussion kar rahe hote hain. English Literarture se realted. Heroine uss mein bolna shurru karti hai. Toh hero uss se poochta hai ke tumhain kaise pata. Tum to parhi likhi nahin ho. Aur aik martaba hero waghaira ke ghar mein koi function hota hai, End mein heroine hero ki cousin nikal aati hai. Aik aur baat heroine ko hero ki mother apni beti ke kuch kapre deti hai ke tum ye pehen lena function men lekin woh nahin pehnti. Usse apna purana frock zyada pasand hota hai, Aur woh function mein apna frock pehen kar hi rakhti hai.
    Plz agar kissi ko novel pata ho toh bata dein

    ReplyDelete
    Replies
    1. koi toh reply kare......

      Delete
    2. aska name zindagi dhoop tum ghana saya hy

      Delete
  49. imran bhai aap se me ne kafi requests ki thin puranay pages per un me se aik bhi puri nahi hui puranay pages hi gaib ho gay hn.ab aap se phir request kr rahi hoon plzz puri kr den.years 2007 n 2008 k jasoosi digests upload kr den plzz.i think its not a hard task.ppplllzzzz .kindly fullfil my request.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Jo digests available huey INSHAALLAH post ho jaen gy.

      Delete
  50. A.O.A.. bhai mujhe kuch interesting and romantic novels batayen 2006 se pehle ke bcz uske bad ke main ne kafi parhe ve hain aur jo yahan ap ne diye ve hain wo bhi so please tell me some other novels like.. jheel kinara kankar ' mujhe hai hukm e azan jo abi complete nhi hua but interesting hai kuch isi kisam ke please zroor bata dain plz.

    ReplyDelete
  51. Assalamalaikum.Please upload Hina Digest March 2014 & Rida Digest March 2014,if available.Thanks.

    ReplyDelete
    Replies
    1. These digests are not available yet now. plz wait for few days.

      Delete
  52. PLEASE UPLOAD NOVEL MAHAM BY RAZIA BUTT YHANKS

    ReplyDelete
  53. PLEASE BOOK HAFIZ GEE BY SAEED LAKTH THANKS

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sorry apki request mjhy samjh ni aai apki. ap plz clear kar k bata den.

      Delete
  54. a.a ....mujhy wo novel upload karden jo hawaili type ki ya wadery type ki ho new chayea ...shukriyaaa

    ReplyDelete
  55. Salam...plz mjhy novel "Shaam Kay Bad by Sidra sehar imran" ka link dy dyn plzzzzz

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ap kindly apny requested novel ka publishing digest and month bata den.

      Delete
    2. shaau january 2009 mai aya tha

      Delete
    3. plz mairi ye rqst koi to dekhyyyyy...imran bhai,maisra plzz

      Delete
  56. a,a me kal b aap se requset ki thi k mujhy ki 1 ya 2 novels batain hvaili ya vadairay type ki app ne answer nhi diya.........:(

    ReplyDelete
  57. A.O.A.. bhai mujhe kuch interesting and romantic novels batayen 2006 se pehle ke bcz uske bad ke main ne kafi parhe ve hain aur jo yahan ap ne diye ve hain wo bhi so please tell me some other novels like.. jheel kinara kankar ' mujhe hai hukm e azan jo abi complete nhi hua but interesting hai kuch isi kisam ke please zroor bata dain plz. meri request bhi suni jaye gi ya nhi?? aakhir kabb tak minten karen ge humm??? itni masoom si request.. aur wo bhi na pori ki jaye ?? kahan ka insaf hai ye aakhir?? ;(

    ReplyDelete
    Replies
    1. Hamari pehli priority ap sb ki request pori karna hi hai. jo novels mil jaty hain wo hum foran post kar dety hain. ab ap ki request pori ho gae.Hope so k apko yeh novels achy lagen gy. Keep visiting. thanx

      Khawab nagar ki musafaten by Nazia Kanwal Nazi

      Dar e dil by Nabeela Aziz

      Delete
  58. Assalmalaikum,Bhai..Rida Digest March 2014 & Hina Digest March 2014..Please upload,if available.Thanks

    ReplyDelete
    Replies
    1. sorry abhi available nahi hain yeh digests.

      Delete
  59. PLEASE BHAI UPLOAD NOVEL NISHAN E MEHFIL BY ALTAF FATIMA
    I WILL BE THANKFULL

    ReplyDelete
  60. please upload novel NESHAN E MEHFIL BY ALTAF FATIMA thankyou

    ReplyDelete
    Replies
    1. ap kindly apny novel ka publishing month and year bata den.

      Delete
  61. Tere pyar ki kushboo full novel kahan mile ga?

    ReplyDelete
  62. helo

    heroin apne family ka sath e city mai rahty hai pr us k perents kisi hadsemain marjatay hai jis k bad wo akaily hojaty hai or rahne k lye koi jagahb nhn hoty to un k ghr pr jo mali kam karta tha wo us ko apne sath laya kuch tym k lye kisi pahri elaiqy mAIN to wahan pe zilzila aata hai to us mali ki family ka kuch ptanhn chalta or wo khud hospital main hoty hai wahan pe ek lady doctor hoti hai heroin ki hm age kah skte ho wo us se sawal pochti pr wo kuch nhn btati to ek do din bad hospital walay is ko nikal detay hai to wo sarak se guzarti hai or chalty chalty kafi ghro k aagay se b guzrty hai ek ghr main wo lady doctr dekh k us ko pukarty hai or apne ghr lati or pochti k hospital main q nhn ho or yahan is city main kaise aayi to wo sub btati hai bad mai wo doc us ko ane ghr rkhti or bad main wo hero se mity jo doc ka bhai hota hai hero b us ko pasand krne lgta hai or wo aagay job krty hai wahin pe he jis pe ye log naraz b hotay hai or hero dhamki b deta hai agr kuch hua to mera pas mt aaana main tmara gala daba do ga q k wo chahta wo ywahan se job chordai q k wo ache log nhn hotay or kuch dino k bad heroin ka bos us ko kahta hai hmari secrti ko bht zarori kahin jana tha is lye kuch ym k lye ye job tm krogi or tme dosre city chalna hai jahan hmari meeting hai or wo wahan jati hai or wahn pe un ki batain sunleti hai or bhag jati hai or jaise taise kr k ghr punchti jis pe wo buht dant khati hai hero se or hero kahta kal se jane ki koi zarort nhn or main sub dekh lo ga mje kya karna hai or bad main hero us ko btata hai wo us se ko like krta hai so chup chap ghr main rho koi zarort kahin or job dhondne ki
    is doran doc ki shadi hone wali hoty hai or idhr udhr se relative b aatay jis main heroin real mother or step sis b aaati hai or wo sis hero ko pasand karty hai hai jis pe real mom heroin ko emotional black mail krty or kahti k main tme apne sath lejaogi or ye b kahti k in mangni hochki hai jis pe hero kahta b hai k ye sirf in ki soch idhr kuch nhn aesa jis pe heroin faisla krty wo wapas chali jaigi or hero us ko chorne jata airpot ye bus stand tk pta nhn or us doran wo samjata wo tme bus use kar rhay hai or b smjata hai jis pe heroin na jane ka fislakrty hai or acha end hojata hai
    kisi ko milay to btai ye read kya ho to
    thanx

    ReplyDelete
  63. AOA
    Sir could you kindly upload the "URDU DIGEST april 2004"
    i will be grateful to you
    May Allah reward you
    ahmad

    ReplyDelete
  64. bheegi palkon par written by iqra saeed ka next ep plzzzzzzz jldi post krn

    ReplyDelete
  65. plz mehmod ahmed modi k nvl sultana dacu k baki episodes b upload kr dy

    ReplyDelete
  66. plz upload novel mohabbat by amna amin....

    ReplyDelete
  67. plz upload novel mohabbat by amina amin ..publish in 2005 or 2006

    ReplyDelete
  68. Rida digests me post hua tha Rukh chaudry ka novel "khwahishon k jazeery mein"
    usay upload ker dain please

    ReplyDelete
  69. plz upload novel tere bina by salma kanwal

    ReplyDelete
  70. Salam plz university ki story Waly novel k naam bta dsin jin ma lrka lrki ko like krta ho lkin lrki ignore krti ho and happy ending ho plz and hero zra gusy wala b ho OK plz jaldi

    ReplyDelete
  71. Assalam alaikum bhai mujhe ek romantic novel ka naam bataen jisme hero bahut strong and rude ho or heroein bahut darne wali nd hero and heroein ek dusre se ajnabi hon nd heroin hero se bahut darte ho please bhai jaldi se bata de or ye bhi bata de k woh download kaise hoga Allah hafi

    ReplyDelete
  72. assala mu alikum
    mjhe ak novel ka name chaye jisme hero ka name mustafa hota he and heroin ka name kainat. kainat hero k father k dost ki beti hoti he uske father ki desth k bad uska koi mohulle ka larhka use tang karta he to hero k father use apne gar lejate hen.and hero wale 3 bhai hote hen hero bht ghusse wala hota he and uske bhai bht friendly heroin and hero ak 2sre ko like karne lagte hen par hero ki mother nai manti to heroin gar chor k chali jati he phir bht mushkilon se hero use dhoondta he and las me happy end hota he. mje dijest ya month wagera kuch yad nahi.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Zindagi Dhoop Tum Ghana Saya By Mariam Aziz

      Delete
  73. please can u post khawaishon ke jazirey by rukh chaudary publish in rida 2006 or 2007

    ReplyDelete
  74. mje ek novel pochna nam yad nh araha parhte parhte wo at gaya.. ab mil nh rha.. story ye k heroin ka name mash'al h wo bt ameer hoti h aur hero ka nam shahwaiz h wo ghareeb hota aur hero k papa k office me job krta h.. dono jhagrte rhte hyn heroine ko apne dolat pe bht ghroor hota h.. uske papa hero ko pasnd krne lgte hy q k wo b pehle ese he ghreeb the heroine ko ye bt nh pta k wo unki sagi beti nh h papa lrke se khte hyn k wo unki beti se shadi krle..... iske aage nh parha ab mil b nh rha nam b yad nh h mje plzzz link de den.. aur is comnt ka rep kese pta chalega??

    ReplyDelete
  75. Muje es novel ka naam bta den... 'shayad' farhat ishtiaq ka ha.. us mein heros ka naam zaroon haroon hota ha... wo larki k neighbours hote hain shayad... larki ko zaroon se baat pakki hoti ha phir kch bura hota ha shayad .. us ki haroon se shaadi hoti ha ir hapy ending hoti ha .. romantic novel

    ReplyDelete
  76. please upload novel rastay gulab hon gy amber afgan shumail which was published in Rida digest. thank u

    ReplyDelete
    Replies
    1. it was published in rida jan 2007

      Delete
    2. http://freeurdudigest.blogspot.com/2014/10/aangan-aur-dhoop-by-lubna-ghazal-online.html?m=1

      Delete
  77. lubna jadoon ka novel jo jisme abbottabad ka zikr hey bta dain plz plz

    ReplyDelete
  78. chup raho novel dhoond dy mujy jis ka drama b aj l ARY py lg raha hai

    ReplyDelete
  79. muja ik novel chia jis me heroine k nam shareena tha wo badtameez si larki hoti he bad me jab gaon jati he sadhar jati mera nam jiya he

    ReplyDelete
  80. Plz koi novels btaen js ma heroo shuruuu maa ya bad ma villan o
    Wapsi, zindagi khak na thi in k elavaa plzz

    ReplyDelete
  81. novel name ar writer name chahye
    main characters:ARHAM and INZA
    in k ilawa INSHA MAHAM MANO
    arham army officer hai ar inza us ki cousin jo drink aur aise dusery kam kerti ha.arham is seshadi kerta hai inza ko sudharany k lye .bas yahi story pata hai .please help as soon as u can

    ReplyDelete
  82. Mjhe ek novel ki talash hai, shua'a digest me parha tha maine or year yaad nahi hai shayd 2005 tha lekin ye b pakka nahi hai sorry
    Male character ka name Hadi hai or Female ka Zainab, jo Hadi ki behen ki friend hai
    Zainab ko koi cousin usko pasand krta hai lekin wo acha larka nahi hota, eo dafa us pe hamla b krta hai lekin Hadi use bcha leta hai.
    please is novel ka link de den
    Ek or novel k bare ke sirf itna janti hun k Male ka nam Daud hai or wo police inspector hota hai or ek larki ko bchata hai jo k teacher hoti hai or use or ek bachchi ko koi terrorist kidnap kr lete hain or Daud unhen bchata hai
    plz plz ye dono novels k link de den ya

    ReplyDelete
    Replies
    1. ap ka first novel to ni mila abi second novel ka link de rha hn

      Tum sung mehkne lage raste

      Delete
    2. Salam z mujhy aik novel ki talash hay jo monthli digest aanchal main silsaly war kahani k taur par chup chukka hay iss main I think larkay ka name shah wayz hota hay nd heroin name yaad naheen hay inn ki mungni bachpan main in ki dadi nay tay kar di hoti hay larki hero ko bont pasand karti hay iss k parents kisi dosri country main shift ho jtay hain jab k larki waheen rehna chahti hay wahan ja kar wo tanhai ka shikar ho kar ye samajhti hay k kisi ko uss ki parwah naheen hay or wo kisi angraz say shadi karnay ko kehti hay uss ki.aik choti behan bhi hay jiss say wo boht muhabbat karti hay jo uss say har baat manwa layti hay jab wo kisi nonmuslim say shadi ka kehti hay tou uss k parents unhain lay kar pak aa jaatay hain or uss ki shadi uss k sabqa mangaytar say kar daytay hain jo shehar main apna besniss karta hay but baqi family gawon main rehti hay larki ka pasport bhi uss k father zabt kar laytay hain phir larki shadi k baad sab ko boht tang karti hay but at the end happy ending hoti hay plz jis ko name maloom ho bata day thnx

      Delete
  83. Story ka nam bta den plz
    Heroin or hero ka name yad nh hero bazar ma latki se takrata haa wo age ma bara htaa ha or high clas ka hta haa wo larki ko kafi dhondhta ha pr wo nh milti larki ki apne cnz se shadi o jatii ha jo apni maa or bhn k undr hta ha. Uski bari bhn ka nikah hero se hua hta ha hero usy apni shadi ma dekhta ha. Wo larki ko ek din jidnap kr leta ha pr wapis chor deta ha us k ghr waly usy accpt nh krtyy usky husband ka accident b ho jata haa or uski backbone effect htii ha.. Larki ko bad ma hero se pyar o jata ha pr wo apny bacho k lye apny husband (saqib) k sath e rehtiii ha..

    ReplyDelete
  84. Plz aisy novels k nam btaen jis ma hero herion ko uski shadi k tym aghwa ly ya us sy shadi kr lyy
    Teri dastars k darman, umme maryam, nabeela aziz, maryam aziz zindagi tm o parh chuki hn un k elavaa
    Bht see bta den

    ReplyDelete
  85. Plz muje Hanna Fatima ka novel piya das chali re chali re chahiye WO iffet magazine me ma ne parna shuro kiya tha

    ReplyDelete
  86. plzzzzzzz is novel ka naam bata deen jis ka hero ka naam hadi hota ha aur ye novel maryam aziz ka novel zindagi dhoop tum ghana saya ka saath shaya hota ha plzzz tel me

    ReplyDelete
  87. wo novel btadain jin mai hero heroine aik dusre ko pasanad nahi karte hon but happy ending ho and hero thora rude aur ghusy wala ho

    ReplyDelete
  88. Iss dil mein basay ho tum novel by anum khan

    ReplyDelete
  89. Is dil ma basy ho tum by anum khan ka link snd kr den

    ReplyDelete
    Replies
    1. ye nvl available nai h ye half hi publish hva ta

      Delete
  90. Ek syed zada name aseed ka novel hai mjhe uska link chahae jis mein wo apni dadi ka aklota pota hta hai bidra hua ameer aur apne hi ek uni. k professor ki beti usko psnd aa jati kidnap b krta usko.........

    ReplyDelete
  91. aoa. aik novel ki talash hay jis me hero ko jazzi keh k pukartay hain. us ko jo larki pasand hoti hay us say us ki shadi nhi ho pati aur aik or larki say hojati hay. phir hero or us ki bv me musalsal ghalat fehmi chalti rehti hay yahan tak kay hero ki tabiyat kharab hoti hay. phr in ki aaps me baat cheet hoti hay or ghlt fehmian door ho jati hain.

    ReplyDelete
  92. Aoa aik novel jis men larki ka nam muqadas hota hy adeel razzaq writer hy novel ka or novel ka name b muqadas hy us novel ki main story ka nai pata . Hero ka name atir hotahy aur heroine apni wedding night ko kidnapp ho jati hy aur us k father comma men chly jaty hain aur atir muqadas ko hmesha support krta hy aur us ka hmesha khyal rkhta hy atir ki step mother hoti hy unko muqadas bilkul psand ni hoti aur muqds kuch time tk distrb rhti hy. Kabir muqdass kka clasfelow hota h aur wo atir ki behan ka husband hota hy. Wo muqds k kidnap k baad jb muqds milti h tiu wo b us k bary men fikrmand hota h or us k kudnapr ko pkrny ki koshish krta h. Wo zain p shak krta h jo atir ka step brother hota hy....... jb muqds k father ko hosh ata hy tou wo atir k pas hospital se bhag kr jaty hn or us ko khty hn k tm ny meri beti ko dhoka dia aur atir un ko musjura k dkhta hy halanky wo muqadas ka bht khyal rkhta hy but muqds k father aisa kuch janty hain jo aur koi ni janta atir k aur us ki family k baty men or unhen ye bat muqadas ki shadi k baad atir k ghr men rkhi hoi family picture ko dkh k pta chlta hy or tab hi wo comma men jaty hain .. agay story nai pta plez pura novel ki story findout kijie

    ReplyDelete
    Replies
    1. This is a drama muqqadas on hum tv

      Delete
  93. Plz rastu musafir nh hoty by shazia choudhry ka link snd kr den

    ReplyDelete
    Replies
    1. sorry yeh novel available ni hay agr ap ko is ka digest pta hay to bta den agr available hoa to post ho jaey ga

      Delete
  94. Ye khwateen digest 2001 ma publish hua tha

    ReplyDelete
  95. mai mohabbat ur tum by shazia mustafa

    ReplyDelete
  96. i want a novel hero mukarram heroin chandni or lrki ka cozn hakim uska fiancy b hota hy bhot pehly aya tha episods m

    ReplyDelete
  97. please ye novel dhoond dn bhot saal pehly aya tha

    ReplyDelete
  98. ek novel bht phle pra tha jis me heroine ka mangeter bahir se pr k ata he lekin jb heroine bahir jak prna chahti he to vo bht mind krta he...larki bahir jati he to uske peechey ek hippi par jata he,larki use bilkul lift nae krate to vo hippi kisi or larki k sath nazar ane lgta he, is per vo larki bohat afsurda hoti he,is se next epi muje mili nae,plz agr kisi ko yad he to share kr de

    ReplyDelete
  99. Aslam.o.alaikum, mje ek novel ki request krni he, us me hero ka nam taimoor tha, heroin ksi or de piyar krti he PR us ki shadi hero se ho jati he heroin apne boyfrnd ke sath mil kr busy dhoka deti he, heroin ka boyfrnd hero ki car me bomb rakhta he his se hero ka bhai zakhmi h jata he, hero badla lene k lye heroin se piyar ka Natak krta h or usy boyfrnd k khilaf court me gawahi dene ko kehta he, agay kya hota he ye mjhe nhi pata or ye episode wala novel tha. Plz koi is novel ka nam bata de plz plz plz jaldi bataeye ga.

    ReplyDelete
  100. Aslam.o.alaikum, mje ek novel ki request krni he, us me hero ka nam taimoor tha, heroin ksi or de piyar krti he PR us ki shadi hero se ho jati he heroin apne boyfrnd ke sath mil kr busy dhoka deti he, heroin ka boyfrnd hero ki car me bomb rakhta he his se hero ka bhai zakhmi h jata he, hero badla lene k lye heroin se piyar ka Natak krta h or usy boyfrnd k khilaf court me gawahi dene ko kehta he, agay kya hota he ye mjhe nhi pata or ye episode wala novel tha. Plz koi is novel ka nam bata de plz plz plz jaldi bataeye ga.

    ReplyDelete
  101. Aslam.o.alaikum, mje ek novel ki request krni he, us me hero ka nam taimoor tha, heroin ksi or de piyar krti he PR us ki shadi hero se ho jati he heroin apne boyfrnd ke sath mil kr busy dhoka deti he, heroin ka boyfrnd hero ki car me bomb rakhta he his se hero ka bhai zakhmi h jata he, hero badla lene k lye heroin se piyar ka Natak krta h or usy boyfrnd k khilaf court me gawahi dene ko kehta he, agay kya hota he ye mjhe nhi pata or ye episode wala novel tha. Plz koi is novel ka nam bata de plz plz plz jaldi bataeye ga.

    ReplyDelete
  102. aoa...mje ek novel ki talash hai anchal mai aya tha 2 episodes theen heroin ka nam shayad laaj tha uski step mother mun pe usey mohabbat jatati theen per dil mai nafrat rakhti thee apne bhanje jiska nam shayad taimoor the k sath mil k uski jaidad laina chahti theen larki samjhte the k step mother mohabbat karti hai but usy pta chal jata hai asliyat ka to wo parlour jab tayar hone jati hai to wahan se bhag k apne nanyal/dadyal chali jati hai bas itna he yad hai plz plz plz Imran bhai ye novel dhoondh dain.

    ReplyDelete
  103. Salam to All people, hope u all r fine. Plz anyone tell me some stories name which mainly about hawilys. I like too much jagerdar stories which have some romantic seens.im searching for it for a long time plz if anyone know like this stories names then plz reply I will be thankfully to u.

    ReplyDelete
  104. NameMay u tell me some novels name plz jis main hero heroin ki zabrdasti shadi kardijati hai. Then wo UK dosry say har waqt larty jagrty rehty hai n some romantic seens bhi hoty hai nove main n then happy end ho. Plz tell me it's my first request xx ��

    ReplyDelete
  105. Asslam alekum..ye do ya teen qiston ka novel tha heroine aur hero jagerdar family se hotey heroine hero ko kise wjha se acha behave nai krti.phr heroine kidnap hojati he jb wapsi ati he to uska fiancy usse shadi karne se inkar krdeta he..phr uske ghr wale uski shadi Quran pak se karwane ja rahe hote hain lkn phr hero bech me akey heroine se shadi krleta he..ghr usko aaq kardete hain aur woh heroine ko le ke lahore ajata he. Plz es novel ka nam btaden ye shyd aanchl digest me ae the...

    ReplyDelete
    Replies
    1. koi aisa ahle dil ho by nabila aziz and it was published in kiran digest mein in april and may 2008

      Delete
    2. zameen par utre chand by mariam in august 2012 in khawateen digest

      Delete
  106. mujhay ek story ke baare mai poochna hai ye shuaa ya khwateen digest mai publish hui thi is mai 6 bhai the aur un ki maa ki death ho gai thi..
    ye novel is tarha start hota hai ke har bhai ghar ka kaam kar raha hota hai likan phir dikhate hain 1 bhai doctor hota hai ,2 twins bhai engineering college mai parh rahe hote hain koi businessman hota hai..phir in ke bare bhai ki shaadi hoti hai aur ghar mai aurat aane ke baad sab kuch sai ho jata hai...
    ye story ramadan ke mauqe pe aai thi...

    ReplyDelete
  107. Hi
    I'm looking for a novel in fact a Afsana./ short story
    It was published in khawateen or Shuaa.
    In early years of 2000 or late 1990's.
    It's main character were three girls, who were cousins and called " Alvi sisters".
    They lived in hostel i guess.
    One of the girl committed suicide. It was kind of sad story.
    Do you have any information about it ?
    plzz plzz i need it

    Thanks

    ReplyDelete
  108. novel jis,ma hero ka name pta nae kia hota hy but heroin usy shah jee bolti hy. hero ki magetar us ki couzen hoti hy jis ko showbiz ma jany ka shouq hota hy or wo modling karti hy.. family fudulist hoti hy heroin hero ka khoon saf jis dopaty sa karti hy usy apny pass save rakhti hy

    ReplyDelete
  109. novel jis,ma hero ka name pta nae kia hota hy but heroin usy shah jee bolti hy. hero ki magetar us ki couzen hoti hy jis ko showbiz ma jany ka shouq hota hy or wo modling karti hy.. family fudulist hoti hy heroin hero ka khoon saf jis dopaty sa karti hy usy apny pass save rakhti hy

    ReplyDelete
  110. is dil mien basy ho tum by anum khan plx mujhe ye novel chaiye

    ReplyDelete
  111. mujha ek novel ka pochna ha ha ...... story kuch yun ha ka heroin jis ka naam raina ha apnay maa bap or bhn bhai ka sath hasi khushi rahti ha .... uska bap ka 2 sotali bhna or ek bhai b ha .... achanak uska bap ki heartatack sa death ho jati ha unko ghar khali karna parta sotaly chacha sath la jatay ha ... chacha ka beta batamiz or zidi ha wo raina sa aqwa kr ka niqah krta ha ...... akhir main uska kafi shadid accident hota ha or phr us larka ko apni galti ka ahsas hota ha .... ( ISS NOVEL KA NAAM BTA DEIN PLZ)

    ReplyDelete
  112. muje full novel chahiye is dil me base ho tum by anum khan. ye rida digest me aya tha 2011 se 2013 tak. silsily war novel tha.

    ReplyDelete
  113. helooooo plz upload next episode of iss dil mei basy hu tum by anum khan just 25 episode hain in rida digest till july 2013 whrz others its uncomplete

    ReplyDelete

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...