Asslam o alekum friends and members
ap sb se guzarash hay k apni request k bare me best info like novel name, author name, jis digest me novel publish hoa us ka name , month and year, and agr ap ko us novel ki story ya main charecters yad hen to woh btaen ta k ap ka matlooba novel talash krne me asani ho and apni request k poora hone ka sabar se intizar kren k kbi kbi koi novel available ni hota ya us novel k bare me kuch pata ni hota is leay us request me der b ho sakti hay. Meri poori koshish hoti hay k ap ki request jald se jald poori ho sake. baqi sb members se b meri guzarash hay k agr ap koi req dekhen or ap ko us novel ka pata ho to kindly us req pr reply zaroor kren.
Request karne wale members se guzarash hay k
- Request krte hoey sath me apna name zaroor mention kren ta k next time jb ap us req k bare me poochen to hum ko pata ho k ap kis req k bare me pata kr rahe hen.
- Apna email id sath me mention kren ta k bad me ap ko link send kia ja sake.
agr ap ko kahen ksi qisam ki problem ho to ap mujhe mail kr sakte hen
aatish2kx@gmail.com
aatish2kx@gmail.com
ya face book pr mujhe contect kr sakte hen
https://www.facebook.com/aatish2k11 ( IMRAN ALI )
Ap apni request hmare facebook ke page pr b send kr sakte hen
ap sb ke tahawan ka boht shukria.
Ap ka bhai IMRAN ALI
Aoa...mujhe aik novel chahiye uski story kuch yun hai herione do behne hoti hain aur uski bari behn ki shaadi fix ho jaati hai par wo kisi aur ko pasand karti hai aur shaadi wale din bhaag jati hai phir heroine ko uss larke se shaadi karni parti hai par wo usse accept nahin karti phir unka accident ho jaata hai jis mein uske husband ki death ho jaati hai aur phir uske inlaws usko apne dewar se shaadi par force karte hain jo uss se muhabbat karta tha shaadi se pehle plzzzzzz mujhe yeh novel ka naam bta den
ReplyDeleteCheck this
DeleteSheeshay se bani larki by Sadia Amal Kashif
Salam.main NY page 21 pe 2 novel ki request ki this plz in novels ka naam bta den ek heroin ka naam SUNDUS or 2nd novel ki heoin ka naam NABTAHIL that plzzz rply me.
ReplyDeleteAbhi tk ni mila. INSHAALLAH jaldi he mil jaey ga .then ap ko link dey den gay .
DeleteHerione ke shaadi ho jati hai par us ki saas aur nanad us ko like nahi karte aur hero ke nazar se is ko girane ki koshish karti rehti hain herione bhoht achi hoti hero maa ki bation main aa jata hai aur dusri shaadi kar leta hai aur herione ko servent ke Kamron main chor jata hai herione pregant ho jati hai hero ke dusri wife Bohat proud hoti hai hero aur saas ki koi baat nahi manti end par Sab ko asas hota hai ke herione achi thi happy end
ReplyDeleteMuhabbat Dil Par Dastak by Iffat Sahar Tahir ka link please
ReplyDeleteMohabbat dil pe dastak by Effat Sehar Tahir.
DeleteThis comment has been removed by the author.
Deletecan any body tell me Mjhy Hy Hukme Azan by umme maryam novel complete hoga hy ya nee. or uski kitni episode ho chuki hen.
ReplyDeleteG complete ho gaia hai & here is link
DeleteMujhy hai hukam e azan novel by Umme Maryam.
Kuch novel suggest kar den jin main hero ki dursi shaadi us ki maa zabardasti karwaye ya hero apni marzi se kare
ReplyDeleteHappy end hoon
Abi kuch waqt baqi ha by sehar sajid
DeleteBus ik sanam harjai by ume mryam
main teri jogan by hina malik
Yeh sare par suki hoon koi aur batiye
DeleteAssalam u aliku m... plz muihy friends k funny or romantic novel bata dyn jis ki happy ending ho.. orvstory shadi k bad ki ziaada ho... thank u..
ReplyDeletewo jo qarz rakhty thy by farida ashfaq
DeleteDo nut khut dil by sara jabeen
Mujy kundan kr do by effat sehar
Kuch novels suggest kar den college wake jin main pehle hero aur hero Bohat larte hoon pir pyaar ho gaye
ReplyDeletesabz ruton ki jhilmil mby effat sehar
Deletemousam gungunaty hain by fuzia ghazal
mohabbat humsafr meri by anila kiran
Herione ko maa us ke pada hote hi maar gaye aur Ghar wale us ko manoos kehte hoon aur Sab kam us se karwate hoon is type ke koi novels bata den
ReplyDeleteJesy hi mily post ho jaen gy ya hum apko link de den gy INSHAALLAH.
DeleteKhilti kaliyan mehakty sawery by Iqra Sagheer Ahmed .
DeleteYeh jo ek subha ka sitarah hai by Umaira Ahmed .
mujhy ik stori chahye hero apnea greni sath rehta hai usne bahir shadi ki hoti hai greni ko pata nai hot a uske office me heroin job karti hai wo major hoti hai hero ka dost hero se khta hai heroin se shadi karlo or greni pas chordo unki shadi hojati hai WO bahir chala jata hai greni use wapis bulati hai heroin prgnt hoti hai hero bahir wali ko chordeta hai or wapise ajata hai .plz dhond day.arifa
ReplyDeleteMousam e gul ki dastak by fozia ghazal
DeleteNazi ye nahi hai hero ki phly shadi bahir kart a hai or heroin ki famliy Nai hoti hai heroin she shadi ke bad phli ko talaq decker pak ata hai
Deletechk this
Deletehamain icka yaqeen hai by nazia jamal
Aoa...mujhe ek novel chahiye pakeeza mein publish hui thi last year hero ka naam shahjahan tha uske father hero ki shaadi zabardasti apne dost ki beti se karwa dete hain plzzzz yeh novel dhoond den.
ReplyDeleteSahil sahil zangeer hvy by farhana naz malik
DeleteHerione bahir se aati hai gaon main apne dadi dada ke pass hero us ka cousin hai woh heroine se nafrat karta hai ek bar us ke liye swimming suit ke kar aata hai aur us ki Sab cousins ke samne insult karta hai herione Bohat masoom hai ek bar us ke liye cigarettes le Kar aata hai aur kehta hai ke pe lo mujhe pata hai tu Zaida din ache hone ka natak nahi kar sakti bas itni yaad hai Plz koi naam de do
ReplyDeletekis digest ka nvl ha ?
DeleteI think shua ya khawteen ka
DeleteHerione ki shaadi jis larke ke saath hoti hai woh pehle se shaadi suda hota hai par herione ko us ke Ghar wale Nahi batate jab Shaadi ke pehle din he hero is ko kehta hai ke woh pehle se shaadi suda hai aur us ki ek beti bhi hai tu herione Bohat roti hai par hero se kehti hai ke Plz Mujhe tum se kuch nahi chahe Sab apne naam mere saath rehne do hero ke maa nahi hoti woh apni dadi ke saath rehta hai yeh novel 2 ya 3 episodes main hai hero ke pehli wife model hoti hai aur hero ko baad main pata chalta hai ke beti us ki nahi hain woh us ke pehle husband se hai tu woh pehli Biwi ko divorce de deta hai happy end hai
ReplyDeleteAoa. I need to know abt the names of any latest novels of nabila Aziz, nabila abar raja, mariam Aziz... Thnx
ReplyDeleteBunny
nabila ka raqs e bisml hi chal rha ha after this shart ka part 2 aye ga
Deletemarriam nd nabila abrar raja ka new nai aya abi tk koi
OK Thnx :-)
Deletenabila abrar raja ka pakeeza march mn aya ha nvl mata e dil k name say episodc hoga ye
Deleteshart wohi novel hai naa jis m heroine ka name zeast hota hai
Deleteji woi ha
Deleteshart ka part 2 a gya he kya ya kb tk aye ga?
DeleteAoa. Want some stories which hv stories like han tm mjhe qabool ho by shaziz chaudhry or lyk zard zamano ka saw era... Should be having a positive end... Thank u so much... :-)
ReplyDeleteBunny
wo hayat kay silsily by nabila abrar
Deleteujaly door nahi by nayab jelani
hisab e dil rehny do by nabila aziz
Thnx :-)
DeleteAik story parhi thi buhat pehle. Hero doctor hota hai. Shaid specialisation k liye bahir jane lagta hai to us ke dada uska nikah heroin se karwa dete hai. Hero heroin ko pasand nahi karta hota aur jane se pehle heroine ki buhat insult karta hai. Usay nahi pata hota k heroin bhi us k peeche doctor ban rahi hoti hai. Jab wo wapis ata hai to use hospital main dekh kar hairan hota hai. Happy end tha.
ReplyDeletechk this
Deleteik ada thi ye by mumtaz kanwal
Sorry this is not the one I'm searching for. Please jaldi se dhoond dein. Ap ke blog pe hi parha tha.
Deletejesy hi kuj info mili hum share kar den gy.
Deletetum akhri jazira ho by Umme Maryum
DeleteSalam zara.....ap ne Jo news di hay nabila aziz ke novel shart ke part 2 ki.....to ye wohi wala hay naaa jis mein hero mukarram afridi and heroin zeest hoti hay....kia ussi ka sequal or part 2 arahay hay......
ReplyDeleteji woi nvl ha. ici ka agy aye ga but abi nai shyd raqs e bisml k bd ya us k end hony k qareeb
DeleteASLMWLKM please mujhey INDIA K pakeeza aanchal k 1998 se 2008 tak k stories chahiye please please i want to read usmei bahoot hi acchi stories hain thankyou
ReplyDeleteYe 2 writers k hain ap check kr len .
DeleteMrs Sohail Khan
Laraib Momin
Assalamualaikum
ReplyDeleteBhai plzzz Sarab k remaining parts upload kijye na....bahot bechaini se intezar horaha hai
INSHAALLAH jaldi he post kr den gay .thora wt kren
DeleteJazakumullah
Delete11 part available nai ha book form main abi srf 10 tk hi hain
Deleteaoa!! plz share link of recently episodic completed novels of hina rida aanchal digest.
ReplyDeleteMujhy hai hukam e azan by Umme Maryam Complete.
DeleteMashriq ki shehzadi by Roshany Abdul Qayum.
Tum aakhri jazeera ho novel by Umme Maryam
thanx.........
Deleteaoa!! Toota hua tara novel ke jitni b episode a chuki hain plz un ka combine link to share kr tahin
ReplyDeleteCombine link abhi ni bna. 2 epi ka separate link hai .check kr len
DeleteToota hua tara
Aoa mughy aik novel ka name bata dain story main hero abroad sy ata hai .... Sub ghar waly bht khush hoty hain par heroine ko koi khas khushi nhi hoti ... Phir hero a jata hai sub ghar waly ussy bari khushi sy milty hain par heroine ussy milny nhi jati .... Phir sub ky kehny par wo usko milny ati hai tou hero sub cousins ko gift dai raha hota hai phir heroine ko dekh kar kehta hai ky tum tou yaad hi nhi the .... Aik scene main heroine ghar ky garden ky bench par baithy hoti hai tou wo usy zabardasti apna pehna howa locket pehna daita hai usky jany ky baad heroine utar kr ghas par phenk daiti hai suba uski ami usy wo locket daity hain tou usy bht gussa ata hai ... Phir aik scene main heroine apni dost sy hero ki bhuri karti hai ur kahti hai hero might be a smuglar hero heard every thing ... Heroine oper waly portion main apny mom dad ky sath rehti hai uski bari donu behnain married hoti hain usky mother father bht loving hoty hain ur hero sy payar bhi bht karty hain ...... Phir i think usky father ki death ho jati hai then heroine started teaching agy sy mainny nhi parha tha plz ho saky tou is ka name bata dain .....
ReplyDeleteAoa ye novel uncomplete hai plz is ka end complete ker
Deletedeen
w.slam
DeleteEnd esa he hai .Husna Umer se shaddi k leay han kr deti hai. & 1st epi k 2 pages missing hain, 1 available ni hai .or 1 INSHAALLAH aj ya kal add ho jaey ga.
Hello,
ReplyDeleteYour blog is just amazing and you all are doing fabulous work. Keep it up. Well now I come to my reqt plz suggest me some novels like "happy new year by nabila abrar raja". I want the hero very aggressive and very much romantic.
Pls fulfil my reqt as soon as possible plx
Thanks
Kantey bhi lagtey hain gulab novel by Saira Kashish
DeleteAbhi raston pe grift hai by Sara Noureen
Silsile wafa ke novel by Nadia Jahangir
Plz post dosheeza digest feb 2015... um waiting
ReplyDeleteAbhi available ni hai jesy he milta hai INSHAALLAH post ho jaey ga .
DeleteAssalamualaikum.....
ReplyDeleteDocter Afia Siddiqui par likhi hoi " Afia " by Anwar Ghazi mil sakti hai...
badi meherbani hogi...
INSHAALLAH 1 ya 2 din m post ho jaey ge to link dey den gay
DeleteAafiya novel by Anwar Ghazi
DeleteBut it's not complete...real book 370 pages ki hai ye to sirf harfe awwaleen hai
DeleteFilhal to yehi milli hai .ap jis k bat kr rahi hain wo available ni hai .agr mil gae to wo bhi INSHAALLAH post ho jaey ge
Deletewhen will u upload pakeezah digest???n pakeezah digest is uploaded in rspk site n i cudnt find TARK-E-WAFA by nayab jeelani....can u clarify about this???
ReplyDeletethank u
Digest to next month post hoga. But Tarak e wafa by Nayab Jelani complete available hai.
DeleteTarak e wafa by Nayab Jelani
A.A.koi bata sakta hai keh apki website k her page ka web version kio open ho raha hai? Normal page kio nahi?
ReplyDeleteAoa.... mujhe ek novel chahiye hero ka naam muqtada hota hai aur herione laraib hero ke father ko laraib hospital mein milti hai aur uski memory loss hoti hai end par wo apne ghar walon ko mil jaati hai kindly yeh novel dhoond den.
ReplyDeleteRanj e musalsal se guzrey novel by Naseem Irshad
DeleteAoa..mujhe aik novel ki request karni hai i think hina mein publish hui thi hero ki mother ki death ho jaati hai aur wo chaar behn bhai hote hai uske father uski shaadi karwa dete hain but hero pehle kisi aur ko like karta hai jo usse reject kar deti hai ke wo uski ki family ko nahin sambhal sakti hero initially herione ko ignore karta hai but happy ending hoti hai.
ReplyDeleteJesy hi apke novel ka pata chala hum INSHAALLAH post kar den gy.
DeleteAoA MJHAY AIK NOVEL KA NAME PATA KARNA HAY I DONT REMEMBER THE CHARECTERS AND AUTHER BUT I KNOW THE LITTLE STORY THA HERIONE KI SHADI HOREHI HOTI HAY BUT MAYO WALAI DIN DULHA KAY GHAR WALAY INKAR KAR DAITAI HAIN YEA KEH KAR LARKI MODERN NHI HAY PHR HERO KI DADAI HERO SAI USKI SHADI KARWA DAITI HAIN HERO KAI PARENTS NHI HOTY BEHAN BHAI HOTAY HAIN WO BHI CHOTY HERO STABLISHED HONA CHAHTA HAY OR SHADI BHI NHI KARNA CHAHTA WO SAMJHTA HAY KY LRKI USKO USKY GHAR WALO SAY DOR KARDY GI BUT LARKI USKI THINKING KO GHALAT SABIT KAR DAITI HAY END HAPPY ENDING IF SOMONE KNOWS THE NOVEL NAME PLEASE DO INFORM ME
ReplyDeleteTu chahay humain by Shazia mustafa
Deletethnkyou so much
DeleteAoA. Mujhy aik novel ki request karni hai kafi purana novel tha mjhy year, digest yad ni but story yad hai. hota kuch youn hai k aik joint family hai jis me hero jo k abroad se parh k wapis ata hai. start he yahain se hoti hai story jis me aik cousin baqi sb ko news deta hai k hero wapis aa raha hai aur usy lany airport jain gy sb. heroin jis ka name Sania hai sanvli c larki hoti hai jo k har waqt kamon me bz rahti hai. hero jb ata hai tu wo usy boht tang karta hai usky complexion ki waja sy usy KALI KAVI kahta hai. but asal me wo usy pasand karta hai. end me wo usy kahta hai k me tmhary lye rishta laya hon larka Ganja, Kala aur choty Qad ka hai but ku k usy is se bahtar rishta nai mil sakta tu usy sabr karna chaye..... lakin asal me wo khud usy purpose kar raha hota hai. Sania k parents ke death ho chuki hoti hai aur wo wahan apni nani ya dadi k pas rahti hai. Please agar kisi ko is story ka name pata ho tu bata dain
ReplyDeletechk this
Deleteband muthi mn jugno rakhna by iqra sagheer
Aoa plz ye novel pora upload nahi hai to plz isko pora upload kr dein
Deleteonline or dwnld mn kahn sy missing h ?
DeleteNovel wesy to complete hai bech m se 2 page missing hain .1 available ni hai,2sra 1 ya 2 din m INSHAALLAH add kr den gay.
DeleteOnline main or end nahi hai
DeleteEnd ho gaia hai sis .Husna Umer se jub shadi k leay han kerti hai.jo page miss hai INSHAALLAH add ho jaey ga
Deletelast line hai page per aur phir wahi hua jis ka umer ki maa ko dar tha umer ne husna se shadi kay liye haan keh di what kind of ending is that i still think ending is missing koi ending stars ya dots nahi hain aap phir se check kro aur download mein pehle start ka page hai then 32 se start hain phir page no 43 n 51missing hai then 61 kay baad bhi missing hai dont know kitnay coz us k baad phir se 30 se start ho rahay hain and 47 tak ja rahay hain
Deletebtw ye wo novel nahi hai jiski story uper di hai although start is similar rest is not
Deleteaoa yeh india ke mahekta aanchal main chahat ke dhang nirale by zarnain arzoo hero ka naam nadim hota hai aur yeh 1997 ke november ya december month main shaya hui thi
DeleteSis me ny download kr k & read kr he mention kea tha.2 page missing thy .1 available ni hai & 62 ,63 add ho gaia hai.
Deleteagr ap story read kr len to andaza ho jaey k jo page add ni hain un pr adds thy .or ye 2 episodes m novel hai es leay 1st epi 63 pr end hoti hai.jis pr baqi ainda mention hai & then 31 se start hona thi or yehi page missing hai.
Ye waqi requested novel ni hai .Hum dobara search kr lety hain INSHAALLAH mil jaey ga .
Thanks Zara and Nimra for ur efforts but this is not the novel I requested. please search that one. thanks again...
DeleteAssalamualaikum
ReplyDeletemujhe ek Navel chahye jo pakeeza aanchal men sisile waar aata tha kaafi arsa pahle navel aur auther name yaad nahi...kuchh story yaad hai k hero ka name munhas tha aur wo ek ghareeb gharane ka hai aur haeroin bahot maldar gharane ki hai bahot ghsse wali ghareebaon se nafrat karne wali haalat aise pesh aate hain k uski shadi ghareeb hero se hojati hai aur phir us men tabdeeli aajati hai
chk this
DeleteTeri ulfat main sanam by iqra sagheer
Hero Bohat ameer hota hai aur college studant hai us ki ek girlfriend bhi hai aur herione ko woh college ke pehle din bewafaqoof banate hain herione greeb hai aur woh college apna face cover kar ke aati hai hero ko us ka friend challenge karta hai ke woh herione ko apne pyaar ke jaal main bans kar dekhiye hero kehta hai ke yeh middle class larkian ase hi acha hona ka natak karti hai par paise ke liye kuch bhi kar sakti hain
ReplyDeletePlz naam bata do koi happy end hai
Dou shanasa ajnabi novel by Sumera Gul
Deleteii need a novel "Akela '' by Amina Ahmed Iqbal
ReplyDeleteYe book form m hai or available ni hai .jesy he milta hai INSHAALLAH post ho jaey ga
Deletetum bin zeest akaili hogyi thi novel by rubaba bukhari is type ky kuch or novel suggest kar dain
ReplyDeletekis type ki stry ha icki nai prha hva
Deletetum bin zeest akaili hogyi thi novel ki story kuch is tarah hay kay herioin hero ki chachu ki beti hoti hay herion ki father kai accident ho jata hay or unki death hou jati hy tub heroin ki maa young hoti hai or herion bht choti hoti hay is tarah wo hero ki ma ki soutan ban jati hay jis ki waja sai hero ki maaa apni soutan kay sath acha behave nhi karti servant ki tarah treat karti hay or uski beti ko bht harsh treat karti hay hero ka baap bhi apni dosri bivi ko uska haq nhi dila pata
Deletehero ki maa inteqam mai akar heroin ki shadi hero say kara daiti hain or hero heroin ki bht marta peet taa hay phr wo apni maa k behkawai mai kar dosri shadi kar laita hai apni khala ki beti say but uski dusri shadi kai bad he realised that kay usnay apni pahli bivi kay sath acha nhi kiya or wo apni pahli bivi ko apni bharpur tawaja daita hay phr uski maa or dosri bivi mil kar kuch aisai scene creat karti hay kay hero herione ko maarta hay or usay aik gao mai chor ata hay aik saal bad jub hero ko suvh maloom hota hay tw wo usko lainai jata hay or happy ending hoti hay
sis just type pochi thi stry ni :p anyways xactly aisi ni h bt chk this :)
Deletetalu e sehar hai sham e mohabat by nayab
dar e dil by nabila aziz
maye ni murda ishq by nabila
Is story ka link de den
Deletepost ho jaye ga inshallah
DeleteTum bin zeest akeli ho gae thi by Rubab Bukhari
DeleteAoa plz kuch aise novels k name bta dain jin me heroine ko us k ghar wale is ly napasand karte hon k un ko bete ki khawahish ho or betiyan hi hon to wo is wajah se ghar walon k ly unchahi ho
ReplyDeletetumhain zara dair say jana ha by mariam aziz
Deletetere liye hai mera dil by farhat ishtiyq
Aoa. Is their any novel is mein within cast marriages k issue ko discuss kia hua ho. It should be a positive story. Thnx ....
ReplyDeleteBunny
caste marriages ko discuss to nai kya hoga ofcourse hoga to wo kisi or stry based hi :)
DeleteAp yeh novel parh len.
DeleteAb kar meri rafugari by Saira Raza
Aoa.abi request nai krugi. Just want to appreciate the efforts of admin of this blog... Keep it up. Thumbs up !!! :-)
ReplyDeleteBuuny
Aoa...mujhe aik novel ki request ki karni hai shuaa digest 2011 mein publish hua tha heroine ka naam hira tha aur hero ka sarmad dono cousins hote hain hero aur herione mein age difference kaafi zyada hota hai circumstances ki wajah se dono ki shaadi ho jaati hai happy ending thi plzzzzz yeh novel dhoond den.
ReplyDeleteMeri Zindgi hai tu by Sheren Malik.
DeleteAoa mjhe aik reqst krni thi ..... story me hero or us ki mother heroin ki shadi pe jate hai hai bt kisi wajah se larke wale rjct kr dete hai ..or hero ki mother josh me a kr khti hain k heroin ki shadi mere bete se ho gi .....heroin amer hoti bt hero ameer nahi hota.... plz mjhe iss novl ka nam bta dein
ReplyDeleteMohabbat humsafar meri by Rashida Riffat.
DeleteA.O.A mujhy esa novel chahiye jis main hero gunda type ho or heroine sy buhat pyar karta ho likin heroine is ko hate karty ho tu hero us ko kidnape kar ky shadi kary and happy ending story Plzzzzzzzz reply jaldi kar dean I am waiting for reply thanks :-)
DeleteW.slam Sis alag se req kea kren .ezy retha hai
DeleteKhula dar mohabbat ka by Noreen Hanif.
Main mohabbat aur tum novel by Subas Gull
Mein mohabbat aur tum novel by Shazia Mustafa complete.
Sorry mujhy pata nai chala k main ny ghalti sy reply main req kar dy hai agly bar sy dehan rakhon gy and thanks for rely :-) and Plzzzz tell main some more stories because I already read main mohabbat or tum... :-)
DeleteAoa mjhe ek nvl ki reqst krni thi naseem sehar qureshi ka nvl hai abar e bharan hai us ka link dy dain plz mainy recently ap ka blog daikha hai bht acha hai this my frst reqst plz link lazmi dijiye ga :)
ReplyDeletekis digest mn aya ha mnth nd year yd ha apko ?
DeleteShuaa 1992 january hai
Deletedigest pta krain gy ml gya to post ho jye ga inshallah
DeleteOk but koshish kijye ga k mil jaye :)
DeleteAr kitna w8 krna pary ga ?
DeleteAoa.... Aik novel ki request karni hai uni life par based hai mughy itna sahi yaad nhi hai .... Par novel ki starting is tarha hoti hai ky heroine jo uni stdnt hoti hai uni ky bahir fnot path par bethi hero ka wait kr rhi hoti hai .... Hero apna friend ky sath ata hai heroine awaz daiti hai hero ignore karta hai ur apna friend sy kahta hai yeh middle class ki larkiyan jan uper class ky larky dekhti hain istarha chipak jati hain sath ..... Is main hero 4 friends hoty hain heroine ki aik bachpan ki aik friend usky sath parti hai ...... Hero heroine ki kafi friend ship ho jati hai but due to misunderstanding larai ho jati hai .... Last scene main heroine sy uni main hi milny ata hai phir wo razi ho jaty hain ...... Aik scene yeh bhi tha hero heroine ko market main mil jata hai heroine ky sath bhabi hoti hain ur hero ky sath usky mom dad .... Plz is nam bata dain
ReplyDeleteBekhabar main kay tu by Anila kiran
DeleteAoa. Plz tell me about a novel in which heroin is an orphan and engaged with her cosin and her fiance go abroed. Due to some complications heroin got married with step brother of her fiance. Its a paper marriage but hero denied to divorce her on the committed time. I dont know the name of heroin but perhaps the name of hero is Murtaza nick name razzi and his step brother name is Mustafa....... Plz tell me if any one knows........
ReplyDeleteDil kay mousam by marriam aziz
DeleteAoa kch aesi stories bta dein jn me hero heroin cusns hon or dono me kafi age gap ho pr due to some cicumstances un ki shadi ho jai
ReplyDeletesitary sath rahy by farhana hanif
Deletemeharman dilan diya by subas gull
nafraton sy udhar by mehwish iftikhar
Aoa tere pyar ki khushboo kb tk khatm ho ga..abhi ktni episodes baki hain
ReplyDeleteTery pyaar ki khushboo by Qamarosh Ashok
DeleteAoa mene ap se pocha tha k yeh novl end kb tk ho ga...
Deletekoi idea nai ha sis 4 5 epiz to ayen gi or
Deletehello plz upload amna iqbal novels jo yahan pehle nahi upload hue....
ReplyDeleteAmna Iqbal k novels book form m hain .Jesy he koe mily ga INSHAALLAH post kr den gay
DeleteAoa. Plz tell me about a novel in which hero is doctor and heroin is his cousin and orphan and her khala (who is mother of hero) look after her. Hero mom inforce him to get married with her cusin. Hero dislike her and go to abroad. Heroin name shah taaj at the end she also become doctor and end is happy.
ReplyDeleteI found this novel in your request page. This is
ReplyDeleteIk Ada Thi Yeh.....
ji ye guess ho chuka ha phly b :)
Deleteالسلام و علیكم
ReplyDelete..آپکا بلا گ بھی اچھا ہے
آپکی شکرگزار رہوں گی اگر آپ" ذخیرہ آخر ت" پوسٹ کر دیں... مجھے مارکیٹ سے نہیں مل رہا..
sry ye book available nai h
DeleteMain ny ek or sister ki blog pe pocha he..omeed karte hon wo post kar de..
DeleteJazzakallah
Zakhira e Aakhirat Majmoha e Wazaif by Syed Amir Hasan
DeletePlease mujhe koi aisi novels bata dien jis mein hero or heroine adopted ho ya phir sotele parents houn please long novel ho
ReplyDeleteAbad Shehr E Jan Hay novel by Umme Maryam
DeleteRanj e musalsal se guzrey novel by Naseem Irshad
Mujhe hai hukam e azaan Umme Maryam Complete
Please koi aisi long novels bata dien jis mein heroine pe susral mein zulam hota ho but tu shareek safar nahi ho woh meine parhi hui hai
ReplyDeleteap ye read kren phr or bhi bta dety hain
DeleteKoi deepak ho by Rukhsana Nigar Adnan.
salam..i m looking 4 novel which i read sometime ago..i dont remember the author's or story name, or the digest in which it was published...story is like this
ReplyDeleteheroine aur uski best friend quetta medical college m sath parti hn...heroine k friend ku ek larka pasand a jata ha, aur wu us sy shadi krna chahti ha. heroine usy mana b krti ha bt wu shadi kr leti ha...ab us ky friend ky bahi heroine ku kasoorwar smajhty hn ky us ny unki behan k help k ho g ghar sy bhagny k..
kuch time guzar jata ha n heroine apni mother ky sath dosry sher shift ho jati ha, apni frnd ky bahiun sy chup ky...
phr uski shadi ho jati ha..bt jis sy shadi hoti ha wu uski frnd ka bahi hota ha ju bahir hua krta ha..wu badla leny k lye heroine sy shadi krta ha....end m frnd mil jati ha...n hero heroine b apas m thek ho jaty hn....
plzzz agr kisi ku pta hu tu zaror btaye mujhy
Aye junoon dashat hai ke manzil hai novel by Asia Mirza.
DeleteHi,
ReplyDeleteMjy novel suggest krdein khoon baha wale kuch.
Dil ne tanha jheyli raat by Lubna Jadoon.
DeleteWoh ik sitara e meharban novel by Mehwish Iftikhar
Agar woh mehrban hota by Umme Maryam .
Bisat e dil bhi ajeeb shay hai by Afshan Afridi .
Aoa mughy aik novel request karna hai .... This novel is of joint family system .... Heroine bht khoobsorat ur masum hoti hai ... Heroine ki aik cousin extra mod hoti hai ur wo heroine sy kahti hai tum apna husan istamal karo. Modling karo wagera heroine gussay main a kr us lecture daiti hai ..... Hero heroine ki ur apni cousin ko like karta hai wo heroine ko dislike karta hai .... Aik din hero ko pata chalta hai ky uska ur heroine. Ka nikah bachpan main howa howa hai ...... Aik scene main heroine bemar hoti hai ur hero usky room main ata hai ur romantic harkatain karta hai heroine ur zaida bemar ho jati hai .... Heroine hero ko apni cousin sy shadi karny ki ajazat dy daiti hai .... Hero ka accident ho jata hai wo andhy honay ka natak karta hai heroine usko apni ankhain donate karny ka sochti hai hero heroine sy shadi ky liay kahta hai ur shadi wali raat usko bata daita hai he is not blind ... Is novel ka nam bata dain .
ReplyDeleteGulab ruton ke payambar by Fouzia Sana
DeleteSalam....plzzzz marium aziz k best long romantic novels k link de dein.....jo in pages pe post ho chuke hein ink ilawa....plzzzz....thanx
ReplyDeleteAp check kr len.es link m sub novels hain.
DeleteMaryam Aziz
umm e mariyam ka novel hai jo dosheeza digest august 2013 mai aya tha novel ka nam dard ho tum ya darma ho hai plz ye post kr dy 2 episode pai based hai ya phir ye digest 2013 wla upload kr dyn jldi
ReplyDeleteINSHAALLAH kal tk post ho jaey ga. to link dey den gay
DeleteDard ho tum ya darman ho novel by Umme Maryam
Deletei wnt novel it was published in shuaa 2014 written by talat nizami
ReplyDeletethe story was that k aik admi ki jo frst wife hote hai us sy un ke aik bete maha hi hote hai then wo bete ki waja sy scnd marriage krte hai un sy bhi un ke aik bete hi hoti hai
us ke baad un ki snd wife ko uska porana bf mil jata hai aur wo divorce ly kar chale jate hai bf k sath
then phr unke betiyan bare hojate hai scnd wife wale bete ki shaadi wo log tay kr dete hai magar wo bhaag jate hai aur maha ki shaadi wahan ho jate hai boy name was shaheer larke wale maha ko bohot tang krte hai aur maha wapis ghar ajate hai happy ending story
Sir Shuaa m 2014 k sub digest me ny check keay hain .us m ni hai.jesy he milta hai post kr den gay
Deletei want some funny and happy ending novel
ReplyDeleteKuch hat keh novel by Bushra Gondal
DeleteMujhe kundan kar do by Effat Sehar Pasha
Sun aey sajni by Memona Khurshid Ali.
Ujhanon ki dagar per muskarai zindagi novel by saima naz
salam! mujhe aik novel chahiye ye hina main aya tha 2004 ya 2005 main start yahan say hoti hai k heroine kisi waja say ghar say bhag kr ati or raat ka waqt hota hai heroine hero k ghar panah leny ati hai hero ki aik behan bhi us k sath rehti hai or bhaji bhi us k sath rehti hai hero kafi rich hota hai larki ko panah nahi dena chahta but apni behan or bhanji ki waja say majboor ho jata hai uski bhanji or hero main age difference zyada nahi hota is liye wo apas main bht friendly hoty hain or hero k frnd say uski bhanji ki shadi hoti hai end main hero heroine ki bhi shadi ho jati hai is novel main heroine ko jugnoo pakarny ka bhi bht shoq hota hai kindly is novel ko search kr dein plz main kafi time say issy search kr rahi hu
ReplyDeleteI want to know the name of the novel in which hero and herion are cousins but hero dislike her cousin because he thinks that because of her his vparentsv diessd . also hero was teacher in herin college . hero has a younger brother aswell .at the end the girl decids to go abroad because hero dislike her. also herion had a cousin plus friend who was her neighbour aswell .that's all I remember plz tell me the name of the story .I read i in this blog
ReplyDeleteMukhtasar zindagi anginat khawab novel by Mubashra Naz.
DeleteMjhe ek novel ka name pochna hy. I think hero name is sued ibtihaj alam but I'm not fully sure. WO 20 saal heroine se bara hota hy. Heroine ko us k baap k dost se bachane k lye nikah karta hy or apne ghar le ata hy
ReplyDeleteDilon kay milan by qamrosh ashok
DeleteAoa mainy nvl ki requst ki thi but apny btaya he ni k digest mila k ni .
ReplyDeleteagr wahn pe apko ni btya it mnz nahi mila ap dbra req kr lain
Deletemujhe ek novel chahyeh uss mn larki ki shadi k din uss k miyan ki death hojati hy larki k susral waley usay manhoos kehte hy lekin uska susar apne dusre bete se uski shadi kr dyta hy jo bahir hota larki bhi uskay sath bahir chali jati bad mn kuch galtfehmi ki waja se larki pakistan wapis ajati hy lekin jab unka baby hota hy tou dono ki narazgi khatam hojati hy
ReplyDeleteTumhain dil ny pukara ha by nayab jelani
Deletemujh ek novel chahyeh uss mein larki christen hoti hy but hi convert into islam wo ik muslim larkay se shadi krti hy but usski nanad aur ssasuspe zulam krtay hy baad myn larka usspe shak krta hy k uska chakkar larkay k bhai k sath hy nd usay ghar se nikla dyta hy bad mn larkay ki death hojatio hy larki ka ik beta paida hota hy lekin end mn larki ki shadi larkay k bhai se hoijati hy
ReplyDeleteWaqt kay fasly by Asma qadri
DeleteAoa mjhe aliya hira ka novel khelan ko mange chand chaheye
ReplyDeletekis digest nd mnth mna ya nvl ?
DeleteYe to ni pata :(
Deletemn jo request ki hy wo show q nahi ho rahi
ReplyDeleteye to show ho gya ha req kahn ki apny ?
DeleteNovels in which heroine misbehaves with her husband hero due to some reason but in the end apologizes to him Happy ending!!ASAP!!!
ReplyDeleteplz kuch aur detail btaen is se pta nae chal raha q k is trah ki to bohat si stories hoti hen
Deletewell then name all.Details not exactly in my mind!!Sorry abt that.
DeleteAssalam o Alaikum....
ReplyDeletemujy zarguzasht by mushtaq ahmed yousfi chahye......
Huma
Zarguzasht by Mushtaq ahmed yousafi
Deleteshukria zara khan...
DeleteHi, Plz mjhy kuch aesy novels bata den jin mai hero heroine se zbrdasti nikkah ker le but rukhsati na ho or ghar walon ko b pta naa ho, heroine pehly usy psnd na kry bt phr ahista ahista psnd krny lgy wo br br heroine ko milny k liye bulaye bad mai sb theek ho jaye or rukhsati ho jaye... plz aesy novels btayen jin mai sirf ek hi story chaly or happu ending ho
ReplyDeleteDil ke gulshan se mohabbat ke kanwal laya hoon is type k.... plz plz plz meri wish puri ker den.....plzzZzzZzzzzzzzzz..................
Jaan e jan tu jo kahy by rahat wafa
DeleteZara plz ap ko choty novels btaa den...plz itny long novels nai chahiye
DeleteZara plz koi short novels bta dyn... itny long nai plz plz
Deletemn ny ic qism ka koi short nvl ni prha :(
DeleteMujhy ek novel ka name btaa den story kch yun hai k hero or heroine czns hoty hen but kafi arsy bad un k ghar waly apas mai milty hen heroine k taya apny bare bety(hero) k liye heroine ka rishta mangty hen taky unki fmly k apas mai jo bhi prob hen wo theek ho jaye. hero heroine se age mai kafi bara hota hai or hero ki mother or sisters heroine ko psnd ni krti or unki baton mai aa k shadi k bad hero ka bhvr b heroine k sath itna acha nai hota ek bar wo usko thapper b marta hai or ek scene mai hero ofc se ghar ata hai to uska room lock hota hai br br knock krta hai bt wo nai kholti us din uska chota bhai b aya hota hai wo study k liye kisi or country mai rehta hai or srf uska or heroine k taya ka bhvr heroine k sath acha hota ha khair phr jb wo dusri key se room kholta hai to heroine ne apny hath ki nerve kat li hoti hai....hpy end hai plz bta den
ReplyDeleteZindagi gunguna uthi by Qamrosh amber
DeleteKoii plz mujhy aab e hayat ki story bta de k ab tak kya hua hai?
ReplyDeletekindly bata dain k karakuram ka taj mahal by nimra ahmad kis type ki novel hai
ReplyDeleteAsalam o Alikum
ReplyDeleteMain boht deir se ek novel ki talash main hoon per wo mil nahi raha. Usme heroine hero ko shah ji keh ke pukarti hai. Hero police officer hai aur heroine ko hero ke maa baap ne adopt kia hota hai. Please jaldi se bata dein mujhey 2 hafte ho gaye hain lekin mila nahi.
Samira
It is hum bhi wafa nibhaein ge.
DeletePlease Reply ker dain, thank you!
ReplyDeleteSamira
Plz anum khan ka aik novel hai naam yaad nhi us mein larka ka nam ali hota hai our larki musfara jamal khin se nhi mil rha plz upload kr den
ReplyDeleteMujhe os novel ka naam Braden jisme heroine ziddi air insecure hoti hai apne adapted Bhai she nufrat krti hai kio k oske parents osse ziada oske Bhai Jo k hero h krte gain y anchal m publish hua that I think plz help me out
ReplyDeleteMjhe aik novel chahye mjhe nam nh yad uska ka but story thori boht yad h.. Hero heroine ki Phuphu ka beta hota h heroine apne fathr k sath pakstn shft hojati h apni Phuphu k brabr wale ghr me hero ka Nam khubaib or heroine ka yushra hota h hero boht kum bolta h or gusse wala hota h.. Hero ka nikah heroine se hojata h phr un dono k beech mis understandings hojati h but end happy h plzz mjhe is novel ka nam btaden....
ReplyDeleteMjhe aik novel chahye mjhe nam nh yad uska ka but story thori boht yad h.. Hero heroine ki Phuphu ka beta hota h heroine apne fathr k sath pakstn shft hojati h apni Phuphu k brabr wale ghr me hero ka Nam khubaib or heroine ka yushra hota h hero boht kum bolta h or gusse wala hota h.. Hero ka nikah heroine se hojata h phr un dono k beech mis understandings hojati h but end happy h plzz mjhe is novel ka nam btaden....
ReplyDelete